yirmayah 5:1-31

  • logon ne yahova ki shiksha thukrayi (1-13)

  • naash magar poori tarah nahin (14-19)

  • yahova ne logon se hisab maanga (20-31)

5  yarooshalem ki gali-gali ghoomkar dekho. chaaron taraf nazar daudao, dhyan se dekho. uske har chauk mein dhoondho,agar ek bhi aisa insan mile jo nyay se kaam karta hai,+vishvasyogya bane rehne ki koshish karta hai,to main us nagri ko maaf kar doonga.   woh kehte to hain, “yahova ke jeevan ki shapath!” magar unki shapath jhoothi hoti hai.+   hey yahova, kya teri aankhein aise logon ko nahin dhoondhtin jo tere vishvasyogya hain?+ toone unhein maara, magar un par koi asar nahin hua.* toone unhein kuchal diya, fir bhi unhonne sabak nahin seekha.+ unhonne apna chehra chattan se bhi zyada sakht bana liya hai,+unhonne palatkar lautne se inkar kar diya hai.+   mainne socha, “ye chhote log honge. ye moorkhta se pesh aate hain kyonki ye yahova ki raah nahin jaante,apne parmeshvar ka faisla nahin jaante.   main bade logon ke paas jaaunga aur unse baat karoonga,unhonne zaroor yahova ki raah par dhyan diya hoga,apne parmeshvar ke faisle par dhyan diya hoga.+ magar un sabne apna jua tod diya,apne bandhan kaat daale.”   isliye jangal ka ek sher un par hamla karta hai,veerane ka ek bhediya unhein faad khaata hai,ek cheeta unke shehron ke paas ghaat lagaye baithta hai. vahaan se baahar aanevale har kisi ki boti-boti kar di jaati hai. kyonki unhonne bahot-se apradh kiye hain,baar-baar vishvasghat kiya hai.+   main tera yah gunah kaise maaf kar sakta hoon? tere beton ne mujhe chhod diya hai,woh uski shapath khaate hain jo parmeshvar nahin.+ mainne unki zaroortein poori kin,magar woh badchalni karte rahe,toli banakar veshya ke ghar jaate rahe.   woh havaas mein doobe bekaboo ghodon ki tarah hain,har koi doosre ki patni ke peechhe jaata hai.+   yahova ailan karta hai, “kya main in kartooton ke liye unse hisab na maangoon? kya main aise raashtra se apna badla na loon?”+ 10  “aao, uske angoor ke seedheedar baagon par hamla karo, unhein barbad kar do,magar unhein poori tarah naash mat karna.+ uski failti daaliyaan todkar le jaao,kyonki woh yahova ki nahin hain. 11  israel ke gharane aur yahooda ke gharane nemujhe daga dene mein had kar di hai.” yahova ka yah ailan hai.+ 12  “unhonne yahova ka inkar kiya hai,woh baar-baar kehte hain, ‘woh kuch nahin karega.*+ hum par koi aafat nahin aanevali. hum par na talvar chalegi, na akaal padega.’+ 13  bhavishyavaktaon ki baatein khokhli hain,unmein vachan* nahin hai. unke saath aisa hi ho!” 14  isliye senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “ye log aisa kehte hain,isliye main tere munh mein apne vachnon ko aag bana doonga,+in logon ko lakdi bana doongaaur woh aag inhein bhasm kar degi.”+ 15  yahova ailan karta hai, “hey israel ke gharane, main door ke ek desh se tujh par hamla karanevala hoon.+ woh aisa raashtra hai jo muddaton se vajood mein hai,jo purane zamane se hai,jiski bhasha tu nahin jaanta,jiski boli tu nahin samajh sakta.+ 16  unka tarkash khuli kabraa jaisa hai,woh sab-ke-sab soorma hain. 17  woh teri fasal aur teri roti khaa jaayenge,+tere bete-betiyonn ko khaa jaayenge,teri bhed-bakriyon aur tere maveshiyon ko khaa jaayenge,teri angoor ki belon aur tere anjeer ke pedon ko khaa jaayenge. woh talvar se tere kileband shehron ko naash kar deinge, jin par tujhe bharosa hai.” 18  yahova ailan karta hai, “magar un dinon mein bhi main tumhein poori tarah naash nahin karoonga.+ 19  jab woh tujhse poochheinge, ‘hamare parmeshvar yahova ne hamare saath ye sab kyon kiya?’ to tu unse kehna, ‘jis tarah tum logon ne mujhe chhodkar apne desh mein ek paraye devta ki seva ki, usi tarah tum ek aise desh mein, jo tumhara nahin hai, paraye logon ki seva karoge.’”+ 20  yakub ke gharane mein yah ailan karo,yahooda mein yah sandesh sunao, 21  “moorkho aur naasamajh logo, suno:+ unki aankhein to hain magar woh dekh nahin sakte,+unke kaan to hain magar woh sun nahin sakte.+ 22  yahova ailan karta hai, ‘kya tumhein mera dar nahin hai? kya tumhein mere saamne thar-thar nahin kaanpna chahiye? mainne hi samundar ke liye ret ki had baandhi thi,uske liye ek sada ka niyam thehraya tha taaki woh apni had paar na kare. samundar ki lehrein kitna bhi uchhlein magar woh jeet nahin saktin,kitna bhi garjein magar kinara laangh nahin saktin.+ 23  lekin in logon ka man hatheela aur baagi hai,ye mujhe chhodkar apne raaste chalne lage.+ 24  ye kabhi apne man mein nahin kehte, “aao, hum apne parmeshvar yahova ka dar maanein,jo vakt par hamein baarish deta hai,patjhad aur vasant ki baarish deta hai,jo hamare liye katai ke tay hafton ki hifazat karta hai.”+ 25  tumhare apne hi gunahon ne inhein aane se rok diya hai,tumhare apne hi paapon ne tumhein achhi cheezon se door kar diya hai.+ 26  mere logon ke beech dusht log paaye jaate hain. jaise baheliye jhukkar ghaat lagate hain, vaise hi woh bhi taak mein rehte hain. woh khatarnak fande bichhate hain. woh insanon ko pakadte hain. 27  panchhiyon se bhare ek pinjre ki tarahunke ghar chhal ki kamai se bhare rehte hain.+ iseeliye woh taakatvar aur maalamal ho gaye hain. 28  woh mote aur chikne ho gaye hain,burai unmein umadti rehti hai. woh anathon* ke mukadme ki pairvi nahin karte+taaki unka apna kaam ban sake,woh gareebon ko insaf dilane se inkar karte hain.’”+ 29  yahova ailan karta hai, “kya main in kartooton ke liye unse hisab na maangoon? kya main aise raashtra se apna badla na loon? 30  desh mein jo hua hai woh bhayanak aur bahot ghinauna hai: 31  bhavishyavakta jhoothi bhavishyavani karte hain,+yaajak apne adhikar ka galat istemal karke doosron ko dabate hain. mere apne logon ko yah sab bahot pasand hai.+ magar jab ant aayega to tum kya karoge?”

kai footnote

shaa., “woh kamzor nahin huye.”
ya shaayad, “woh vajood mein nahin hai.”
yaani parmeshvar ka vachan.
ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”