yirmayah 51:1-64

  • baibilon ke khilaf bhavishyavani (1-64)

    • woh maadiyon ke aage achanak gir padegi (8-12)

    • kitab farat nadi mein feinki gayi (59-64)

51  yahova kehta hai, “main baibilon aur leb-kaamai* ke nivasiyon konaash karne ke liye ek zabardast aandhi chalanevala hoon.+   main usanevalon ko baibilon bhejoonga,woh use fatak deinge aur uska desh khaali kar deinge.sankat ke din woh har kone se us par toot padeinge.+   teerandaz apni kaman na chadhaye. koi apna bakhtar pehankar khada na ho. uske javanon par bilkul daya na karna.+ uski poori sena ka naash kar dena.   woh sab kasdiyon ke desh mein ghaat hokar dher ho jaayenge,uski sadkon mein unhein bheda jaayega.+   kyonki israel aur yahooda ko unke parmeshvar, senaon ke parmeshvar yahova ne nahin chhoda hai. woh vidhva jaise nahin hain.+ magar israel ke pavitra parmeshvar ki nazar mein unka desh* poori tarah doshi hai.   baibilon se bhaag jaao,apni jaan bachakar bhaago.+ uske gunah ki vajah se tum naash mat hona. kyonki yah yahova ke badla lene ka samay hai. woh use uske kiye ki saza de raha hai.+   baibilon yahova ke haath mein sone ka pyala thi,usne saari dharti ko madhosh kar diya tha. raashtron ne uski daakh-madira pi hai,+iseeliye woh paagal ho gaye hain.+   baibilon achanak gir padi hai, toot gayi hai.+ uske liye zor-zor se ro-o!+ uska dard door karne ke liye balsan le aao, shaayad woh theek ho jaaye.”   “hamne baibilon ko changa karne ki koshish ki, magar woh changi na ho saki. use chhod do, chalo hum sab apne-apne desh laut jaayen.+ woh saza ke laayak hai, uske gunah aasman tak pahunch gaye hain,baadlon tak pahunch gaye hain.+ 10  yahova ne hamari khaatir nyay kiya hai.+ aao, hum siyyon mein apne parmeshvar yahova ke kaamon ka bakhan karein.”+ 11  “apne teeron ko tez karo,+ golakar dhaalein uthao.* yahova ne maadiyon ke raajaon ke man ko uksaya hai,+kyonki usne baibilon ko tabah karne ki thaan li hai. yahova badla le raha hai, apne mandir ke liye badla le raha hai. 12  baibilon ki sheharpanah ke khilaf jhanda khada karo.+ pehra aur sakht kar do, pehredaron ko tainat karo. ghaat laganevale sainikon ko taiyar karo. kyonki yahova ne ranneeti taiyar ki hai,woh baibilon ke nivasiyon ko saza dene ka vaada poora karega.”+ 13  “hey aurat, tu jo nadi-nehron par baithi hui hai,+jiske paas dher saara khazana hai,+tera ant aa gaya hai, tu munafa kamane ki had tak pahunch gayi hai.+ 14  senaon ke parmeshvar yahova ne apne jeevan ki shapath khaakaar kaha hai,‘main tujhe sainikon se bhar doonga jo tiddiyon ki tarah anginat honge,woh tujhe harakar jeet ke naare lagayenge.’+ 15  usi ne apni shakti se dharti banayi,apni buddhi se upjaoo zameen ki mazboot buniyad daali+aur apni samajh se aakash failaya.+ 16  jab woh garajta hai,to aakash ke paani mein halchal hone lagti hai,woh dharti ke kone-kone se baadlon* ko oopar uthata hai. baarish ke liye bijli* banata haiaur apne bhandaron se aandhi chalata hai.+ 17  sabhi insan aise kaam karte hain maano unmein samajh aur gyaan nahin hai. har dhaatu-kaareegar apni gadhi hui moorat ki vajah se sharminda kiya jaayega,+kyonki uski dhaatu ki moorat* ek jhooth hai,woh moortein bejan hain.*+ 18  woh ek dhokha* hain,+ bas is laayak hain ki unki khilli udayi jaaye. jab unse hisab lene ka din aayega, to woh naash ho jaayengi. 19  yakub ka bhaag in cheezon ki tarah nahin hai,kyonki usi ne har cheez rachi hai,vahi uski virasat ki laathi hai.+ uska naam senaon ka parmeshvar yahova hai.”+ 20  “tu mere liye yuddh ka hathiyar hai, ek latth hai,kyonki main tere zariye raashtron ko choor-choor kar doonga, raajyon ko tabah kar doonga. 21  ghode aur uske savaar ko choor-choor kar doonga, yuddh-rath aur uske savaar ko choor-choor kar doonga. 22  aadmi aur aurat ko choor-choor kar doonga. boodhe aur javan ko choor-choor kar doonga. javan ladke aur javan ladki ko choor-choor kar doonga. 23  charvahe aur uske jhund ko choor-choor kar doonga. kisan aur uske jutai karnevale jaanvaron ko choor-choor kar doonga. raajyapalon aur adhikariyon ko choor-choor kar doonga. 24  main baibilon ko aur kasdiya ke sabhi nivasiyon ko un sab bure kaamon ka sila doonga,jo unhonne tumhari aankhon ke saamne siyyon mein kiye hain.”+ yahova ka yah ailan hai. 25  yahova ailan karta hai, “hey ujaadnevale pahad,tu jo saari dharti ko ujaad raha hai,+ main tere khilaf kadam uthanevala hoon.+ main apna haath badhakar tujhe chattanon se neeche ludhka doongaaur tujhe jala hua pahad bana doonga.” 26  yahova ailan karta hai, “log tujhse patthar nahin nikaaleinge,na kone ke patthar ke liye, na buniyad daalne ke liye,kyonki tu hamesha ke liye ujaad pada rahega.”+ 27  “desh mein jhanda khada karo,+raashtron mein narsinga foonko. usse ladne ke liye raashtron ko taiyar karo. ararat,+ minni aur ashkanaj+ ke raajyon ko bulao. aisa adhikari thehrao jo usse ladne ke liye sainik bharti kare. ghodon se un par kade baalonvali tiddiyon ki tarah hamla karao. 28  usse ladne ke liye raashtron ko taiyar karo.maadai ke raajaon,+ raajyapalon aur sabhi adhikariyon ko thehraoaur un sab deshon ko thehrao jin par woh raaj karte hain. 29  dharti dolegi aur kaanpegi,kyonki yahova ne baibilon ke saath jo karne ki sochi hai woh zaroor poora hoga.woh baibilon ka aisa hashra kar dega ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega, usmein ek bhi nivasi nahin rahega.+ 30  baibilon ke yoddhaon ne ladna chhod diya hai. woh apne mazboot gadhon mein chhip gaye hain. unki himmat javab de gayi hai.+ woh aurton jaise ho gaye hain.+ baibilon ke gharon ko aag laga di gayi hai. uske bede tod diye gaye hain.+ 31  ek doot daudkar doosre doot se milta hai,ek sandesh denevala doosre sandesh denevale se milta haitaaki baibilon ke raja ko khabar de ki uska shehar chaaron taraf se le liya gaya hai,+ 32  uske ghaaton par kabza kar liya gaya hai,+uski sarkande ki naav aag se jala di gayi hainaur sainik ghabra gaye hain.” 33  kyonki senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “baibilon ki beti khalihan ki zameen jaisi hai. ab vakt aa gaya hai ki use daba-dabakar sakht kiya jaaye. jald hi uski katai ka samay aanevala hai.” 34  “baibilon ke raja nabookadnessar* ne mujhe khaa liya hai,+usne mujhe uljhan mein daal diya hai. mujhe khaali bartan jaisa bana diya hai. ek bade saanp ki tarah mujhe nigal liya hai,+meri umda cheezon se apna pet bhar liya hai. mujhe khangalkar feink diya hai. 35  siyyon ka nivasi kehta hai, ‘mujh par aur mere shareer par jo zulm kiya gaya hai vahi baibilon ke saath ho!’+ yarooshalem nagri kehti hai, ‘mere khoon ka dosh kasdiya ke nivasiyon ke sir pade!’” 36  isliye yahova kehta hai, “ab main tere mukadme ki pairvi karoonga+aur teri taraf se badla loonga.+ main uska samundar aur uske kuyen sukha doonga.+ 37  baibilon pattharon ka dher aur+geedadon ki maand ban jaayegi.+uska aisa hashra hoga ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega aur woh mazak udate huye seeti bajaayenge,usmein ek bhi nivasi nahin rahega.+ 38  woh sab milkar javan sheron ki tarah dahadeinge. sher ke bachchon ki tarah gurrayenge.” 39  yahova ailan karta hai, “jab unki havaas ki aag bhadkegi,to main unke liye daavat rakhoonga aur unhein khoob pilakar madhosh kar doongataaki woh jashna manayen,+iske baad woh hamesha ke liye so jaayenge,fir kabhi nahin utheinge.”+ 40  “main unhein memnon ki tarahaur bakron aur medhon ki tarah halal ke liye le jaaunga.” 41  “dekho! sheshak* par kaise kabza kar liya gaya hai,+jiski poori dharti par badai hoti hai, us par kaise adhikar kar liya gaya hai!+ raashtron ke beech baibilon ka aisa hashra hua hai ki dekhnevalon ka dil dehal jaata hai! 42  baibilon par samundar chadh aaya hai, woh bahot-si lehron mein doob gayi hai. 43  uske shehron ka aisa hashra hua hai ki dekhnevalon ka dil dehal jaata hai,woh ek sookha veerana aur registan ban gayi hai. aisa desh ban gayi hai jahaan koi nahin rahega, jahaan se koi nahin guzrega.+ 44  main baibilon ke bel devta par dhyan doonga+aur uske munh se woh sab nikaaloonga jo woh nigal gaya hai.+ uski taraf fir kabhi raashtra umadte huye nahin jaayenge,baibilon ki sheharpanah dhah jaayegi.+ 45  mere logo, usmein se baahar nikaal aao!+ yahova ke krodh ki aag jal rahi hai,+ apni jaan bachakar bhaago!+ 46  desh ko jo khabar milnevali hai, usse tumhara dil kamzor na ho aur na hi tum daro. ek saal ek khabar milegi,doosre saal doosri khabar milegiki desh mein kaisi maar-kaat machi hai, ek shaasak doosre shaasak ke khilaf uth raha hai. 47  isliye dekho! woh din aa rahe hain,jab main baibilon ki khudi hui moorton par dhyan doonga. uska poora desh sharminda kiya jaayega,uske beech uske sabhi log ghaat hokar dher ho jaayenge.+ 48  aakash, dharti aur unmein jo kuch hai woh sabbaibilon ka anjam dekhkar khushi se jayjaykar kareinge,+kyonki uttar se uska vinash karnevale aayenge.”+ yahova ka yah ailan hai. 49  “baibilon ne na sirf israel ke logon ko maar daala,+balki apne beech rehnevale dharti ke sab logon ko maarkar unhein dher kar diya. 50  tum jo talvar se bach jaate ho, aage badhte raho, khade mat raho!+ tum jo door ho, yahova ko yaad karo,tumhare dilon mein yarooshalem ki yaad taaza rahe.”+ 51  “hamein sharminda kiya gaya hai, kyonki hum par taane kase gaye hain. apman ne hamara chehra dhaanp diya hai,kyonki pardesiyon* ne yahova ke bhavan ki pavitra jagahon par hamla kar diya hai.”+ 52  yahova ailan karta hai, “isliye dekh, woh din aa rahe hain,jab main uski khudi hui moorton par dhyan doongaaur uske poore desh mein ghaayal log karaheinge.”+ 53  yahova ailan karta hai, “baibilon chahe aasman ki bulandiyaan chhoo jaaye,+chahe apne unche-unche gadhon ko mazboot kare,fir bhi main uska naash karnevalon ko zaroor bhejoonga.”+ 54  “suno! baibilon mein kaisi cheekh-pukar machi hai,+kasdiyon ke desh mein badi tabahi ka haahakar macha hai.+ 55  kyonki yahova baibilon ka naash kar raha hai,woh uska shor band kar dega.uska naash karnevale samundar ki tarah garjeinge. unka hohalla sunayi dega. 56  naash karnevala baibilon par chadh aayega,+uske yoddha pakde jaayenge,+unki kaman tukde-tukde kar di jaayengi,kyonki yahova saza denevala parmeshvar hai,+ woh use zaroor uske kaamon ka sila dega.+ 57  main uske haakimon aur gyaaniyon ko,uske raajyapalon, adhikariyon aur yoddhaon kokhoob pilakar madhosh kar doonga,+woh hamesha ke liye so jaayenge, fir kabhi nahin utheinge.”+yah us raja ka ailan hai jiska naam senaon ka parmeshvar yahova hai. 58  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “baibilon ki sheharpanah bhale hi chaudi ho, woh poori tarah dhaa di jaayegi,+uske faatak bhale hi unche hon unhein aag laga di jaayegi. desh-desh ke log bekar mein mehnat kareinge,jiske liye raashtra kaam karte-karte past ho jaayenge, woh aag mein jhonk diya jaayega.”+ 59  bhavishyavakta yirmayah ne sarayah ko ek aagya di, jo neriyah ka beta+ aur mahseyah ka pota tha. yirmayah ne sarayah ko yah aagya tab di jab sarayah yahooda ke raja sidkiyah ke saath, uske raaj ke chauthe saal baibilon gaya. sarayah raja ka niji prabandhak tha. 60  yirmayah ne baibilon par aanevali in saari vipattiyon ke baare mein ek kitab mein likha, yaani ye baatein jo baibilon ke khilaf likhi gayi hain. 61  yirmayah ne sarayah se kaha, “jab tu baibilon pahunche aur us nagri ko dekhe to ye saari baatein padhkar sunana. 62  fir kehna, ‘hey yahova, toone is jagah ke baare mein kaha hai ki yah is tarah naash kar di jaayegi ki yahaan koi nahin rahega, na insan na jaanvar. yah hamesha ke liye ujaad padi rahegi.’+ 63  is kitab ko padhne ke baad is par ek patthar baandhna aur farat nadi ke beechon-beech feink dena. 64  fir kehna, ‘isi tarah baibilon doob jaayegi aur fir kabhi oopar nahin aayegi+ kyonki main us par vipatti laanevala hoon. aur woh thakkar past ho jaayenge.’”+ yirmayah ke shabd yahin tak hain.

kai footnote

aisa maaloom padta hai ki yah kasdiya ka ek gupt naam hai.
yaani kasdiyon ka desh.
ya shaayad, “tarkash bhar lo.”
ya “bhaap.”
ya shaayad, “jharokhe.”
ya “dhali hui moorat.”
ya “unmein saans nahin hai.”
ya “bekar.”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
aisa maaloom padta hai ki yah baabel (ya baibilon) ka ek gupt naam hai.
ya “ajnabiyon.”