yirmayah 52:1-34

  • sidkiyah ne baibilon se bagavat ki (1-3)

  • nabookadnessar ne yarooshalem ko ghera (4-11)

  • shehar aur mandir ka naash (12-23)

  • log baibilon le jaaye gaye (24-30)

  • yahoyakeen kaid se riha kiya gaya (31-34)

52  sidkiyah+ jab raja bana tab woh 21 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 11 saal raaj kiya. uski maa ka naam hamootal+ tha jo libna ke rehnevale yirmayah ki beti thi.  sidkiyah, yahoyakeem ki tarah woh saare kaam karta raha jo yahova ki nazar mein bure the.+  yarooshalem aur yahooda ke saath ye buri ghatnayen isliye ghatin kyonki yahova ka krodh un par bhadka hua tha aur aakhir mein usne unhein apni nazron se door kar diya.+ sidkiyah ne baibilon ke raja se bagavat ki.+  sidkiyah ke raaj ke nauvein saal ke dasvein maheene ke dasvein din, baibilon ka raja nabookadnessar* apni poori sena lekar yarooshalem par hamla karne aaya. unhonne yarooshalem ke baahar chhaavni daali aur uske chaaron taraf gherabandi ki deevar khadi ki.+  yah gherabandi sidkiyah ke raaj ke 11vein saal tak rahi.  chauthe maheene ke nauvein din,+ jab shehar mein bhayankar akaal tha aur logon ke paas khaane ko kuch nahin tha,+  tab nabookadnessar ke sainikon ne sheharpanah mein darar kar di. jab kasdi shehar ko ghere huye the tab yarooshalem ke sabhi sainik raat ke vakt us faatak se bhaag nikle, jo raja ke baag ke paas do deevaron ke beech tha aur arba ke raaste se aage badhte gaye.+  magar kasdi sena ne raja sidkiyah ka peechha kiya+ aur yareeho ke veeranon mein use pakad liya. tab raja ki saari sena use chhodkar idhar-udhaar bhaag gayi.  kasdi log raja sidkiyah ko pakadkar baibilon ke raja ke paas hamat desh ke ribla le gaye aur vahaan baibilon ke raja ne use saza sunayi. 10  usne sidkiyah ki aankhon ke saamne uske beton ko maar daala. usne ribla mein yahooda ke sab haakimon ko bhi maar daala. 11  fir baibilon ke raja ne sidkiyah ki aankhein fod di+ aur woh use tambe ki bediyon mein jakadkar baibilon le gaya. usne sidkiyah ko uski maut ke din tak kaid rakha. 12  fir baibilon ke raja ka sevak naboojardan, jo pehredaron ka sardar tha, paanchvein maheene ke dasvein din yarooshalem ke andar gaya. yah nabookadnessar* ke raaj ka 19vaan saal tha.+ 13  naboojardan ne yahova ka bhavan, raajmahal, yarooshalem ke sabhi ghar aur sabhi bade-bade ghar jalakar raakh kar diye.+ 14  pehredaron ke sardar ke saath aayi poori kasdi sena ne yarooshalem ki sheharpanah dhaa di.+ 15  magar pehredaron ka sardar naboojardan kuch gareebon ko, shehar mein bache logon ko aur un logon ko, jo yahooda ke raja ka saath chhodkar baibilon ke raja ki taraf chale gaye the, bandi banakar le gaya. saath hi, bache huye hunarmand kaareegaron ko bhi le gaya.+ 16  pehredaron ke sardar naboojardan ne desh ke kuch aise logon ko chhod diya jo bahot gareeb the taaki woh angooron ke baag mein kaam karein aur jabran mazdoori karein.+ 17  kasdiyon ne yahova ke bhavan mein tambe ke bane khambhon ke tukde-tukde kar diye+ aur yahova ke bhavan mein jo hath-gaadiyaan+ aur tambe ka bada haud+ tha uske bhi tukde-tukde kar diye aur saara taamba nikaalkar baibilon le gaye.+ 18  woh mandir mein istemal honevali handiyaan, belche, baati bujhane ki kainchiyaan, katore,+ pyale+ aur tambe ki baaki saari cheezen utha le gaye. 19  pehredaron ka sardar bade katore,+ aag uthane ke karchhe, katore, handiyaan, deevtein,+ pyale aur chadhave mein istemal honevale katore bhi le gaya jo shuddh sone aur chaandi ke bane the.+ 20  raja sulaiman ne yahova ke bhavan ke liye jo do khambhe, bada haud aur uske neeche tambe ke 12 bail+ aur hath-gaadiyaan banayi thi, un sabmein itna taamba laga tha ki uska taul nahin kiya jaa sakta tha. 21  donon khambhon mein se har khambhe ki unchai 18 haath* aur golai 12 haath thi.+ khambhon ki deevar ki motai chaar angul* thi aur ye andar se khokhle the. 22  donon khambhon ke oopar tambe ka ek-ek kangoora laga tha. donon kangooron ki unchai paanch-paanch haath thi.+ har kangoore ke chaaron taraf jo jaaleedar kaam kiya gaya tha aur anar banaye gaye the woh bhi tambe ke the. 23  har kangoore ke chaaron taraf 96 anar the. jaaleedar kaam ke chaaron taraf kul milakar 100 anar the.+ 24  pehredaron ke sardar ne pradhan yaajak sarayah+ ko aur uske sahayak yaajak sapanyah+ aur teen darbanon ko bhi pakad liya.+ 25  woh shehar se us adhikari ko le gaya jiski kaman ke neeche sainik the, saath hi woh raja ke saat salahkaron ko bhi le gaya jo shehar mein paaye gaye. usne senapati ke sachiv ko bhi pakad liya jo desh ke logon ko sena ke liye ikattha karta tha. aur shehar mein ab bhi jo aam log bache huye the unmein se 60 aadmiyon ko woh pakadkar le gaya. 26  pehredaron ka sardar naboojardan un sabko baibilon ke raja ke paas ribla le gaya. 27  baibilon ke raja ne hamat ke ribla mein un sabko maar daala.+ is tarah yahooda ko uske desh se nikaalkar bandhuai mein le jaaya gaya.+ 28  nabookadnessar* apne raaj ke saatvein saal 3,023 yahoodiyon ko bandhuai mein le gaya.+ 29  nabookadnessar* ke raaj ke 18vein saal+ yarooshalem se 832 logon ko le jaaya gaya. 30  nabookadnessar* ke raaj ke 23vein saal, pehredaron ka sardar naboojardan 745 yahoodiyon ko bandhuai mein le gaya.+ kul milakar 4,600 logon ko bandhuai mein le jaaya gaya. 31  fir yahooda ke raja yahoyakeen ki bandhuai ke 37vein saal+ ke 12vein maheene ke 25vein din, baibilon ke raja eveel-marodak ne yahoyakeen ko riha kar diya aur kaidkhane se baahar le aaya. eveel-marodak usi saal raja bana tha.+ 32  woh yahoyakeen ke saath pyar se baat karta tha aur usne yahoyakeen ko un raajaon se badhkar samman ka pad saunpa jo baibilon mein the. 33  yahoyakeen ne kaidkhane ke kapde badal diye aur usne saari zindagi eveel-marodak ki mez par bhojan kiya. 34  yahoyakeen ko saari zindagi, roz-ba-roz baibilon ke raja ke yahaan se khaana milta raha. apni maut ke din tak usne raja ke yahaan khaana khaaya.

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ek haath 44.5 c.m. (17.5 inch) ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ek angul 1.85 c.m. (0.73 inch) ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.