yirmayah 6:1-30

  • yarooshalem ki gherabandi kareeb (1-9)

  • yarooshalem par yahova ka krodh (10-21)

    • log kehte hain, “shaanti hai!” jabki koi shaanti nahin (14)

  • uttar se khoonkhar logon ka hamla (22-26)

  • yirmayah, dhaatu jaanchnevala (27-30)

6  binyameen ke logo, yarooshalem se door kahin aasra lo. takoa+ mein narsinga foonko,+bet-hakkerem mein aag jalakar ishara do! kyonki uttar se ek vipatti tezee se aa rahi hai, ek badi vipatti.+   siyyon ki beti ek khoobsoorat, naazuk aurat jaisi dikhti hai.+   charvahe aur unke jhund aayenge. woh uske chaaron taraf apne tamboo gaadeinge,+har charvaha apne jhund ko charayega.+   “usse yuddh karne ke liye taiyar ho jaao! chalo, hum bhari dopahri mein us par hamla karein!” “haay, din dhalta jaa raha hai,saanjh ki chhaaya badhti jaa rahi hai!”   “chalo, hum raat ko us par hamla karein,uski kileband meenarein dhaa dein.”+   kyonki senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “lakdi kaato, yarooshalem par hamla karne ke liye dhalan khadi karo.+ yah woh nagri hai jisse hisab lena zaroori hai,usmein zulm-hi-zulm hota hai.+   jaise kund apna paani taaza* rakhta hai,vaise hi woh apni burai taazee rakhti hai. vahaan hamesha khoon-kharabe aur tabahi ki cheekh-pukar sunayi padti hai,+vahaan main har pal beemari aur mahamari dekhta hoon.   hey yarooshalem, chetavni par dhyan de, varna mujhe tujhse ghin ho jaayegi aur main tujhse munh fer loonga,+main tujhe aisa ujaadkar rakh doonga ki tere yahaan ek bhi nivasi nahin rahega.”+   senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “woh israel ke sabhi bache huon ko bator leinge, jaise angoor ki bel par bache saare angoor tod liye jaate hain. angoor batornevale ki tarah ek baar fir daaliyon par haath fer.” 10  “main kise bataun, kise khabardar karoon? kaun meri sunega? dekh! unke kaan band hain, isliye woh bilkul dhyan nahin dete.+ dekh! woh yahova ke vachan ki khilli udate hain,+unhein uske vachan raas nahin aate. 11  isliye yahova ke krodh ki aag mere andar dhadhak rahi hai,ise main apne andar aur dabakar nahin rakh sakta.”+ “aag ka yah pyala gali ke bachchon par undel de,+javanon ki toliyon par undel de. un sabko bandi bana liya jaayega, pati ke saath patni ko,buzurgon ke saath unko bhi jo bahot boodhe hain.+ 12  unke ghar doosron ko de diye jaayenge,unke khet aur unki patniyaan bhi de di jaayengi.+ kyonki main desh ke logon ke khilaf apna haath badhaunga.” yahova ka yah ailan hai. 13  “kyonki chhote se lekar bade tak, har koi beimani se kamata hai,+bhavishyavakta se lekar yaajak tak, har koi dhokhadhadi karta hai.+ 14  woh yah kehkar mere logon ka ghaav sirf oopar se theek karte hain,‘shaanti hai! shaanti hai!’ jabki koi shaanti nahin hai.+ 15  kya unhein apne ghinaune kaamon par sharm aati hai? nahin, bilkul sharm nahin aati! unmein sharm naam ki cheez hai hi nahin!+ isliye woh bhi unki tarah gireinge jo gir chuke hain. jab main unhein saza doonga tab woh thokar khaakaar gir padeinge.” yah baat yahova ne kahi hai. 16  yahova kehta hai, “dorahe par khade ho jaao aur dekho. purane zamane ki raahon ke baare mein poochho,poochho ki sahi raah kaun-si hai, fir us par chalo+aur apne ji ko chain dilao.” magar woh kehte hain, “hum us raah par nahin chaleinge.”+ 17  “mainne pehredar thehraye+ jinhonne kaha,‘narsinge ki aavaz par dhyan do!’”+ magar unhonne kaha, “hum dhyan nahin deinge.”+ 18  “isliye raashtro, suno! logo, jaan lo ki unke saath kya honevala hai. 19  dharti ke sabhi logo, suno! main in logon par vipatti laanevala hoon,+yah unki apni hi saazishon ka anjam hoga,kyonki unhonne mere vachnon par koi dhyan nahin diya,mere kaanoon* ko thukra diya.” 20  “tum jo sheeba se mere liye loban laate hoaur door desh se khushboodar vach* laate ho,woh mere liye koi maayne nahin rakhta. tumhari poori hom-baliyaan mujhe sweekar nahin,tumhare balidanon se main khush nahin.”+ 21  isliye yahova kehta hai, “main in logon ke aage rode daaloonga,jinse woh thokar khaakaar gir padeinge,pita aur bete saath gireinge,padosi aur uska saathi bhi gireingeaur woh sab mit jaayenge.”+ 22  yahova kehta hai, “dekho, uttar ke ek desh se log aa rahe hain,dharti ke chhor se ek bade raashtra ko jagaya jaayega.+ 23  woh teer-kaman aur barchhi haath mein liye aayenge. woh bereham hain, kisi par taras nahin khaayenge. woh samundar ki tarah garjeinge,ghodon par savaar hokar aayenge.+ hey siyyon ki beti, woh dal baandhkar aayenge,ek yoddha ki tarah tujh par hamla kareinge.” 24  hamne iski khabar suni hai. hamare haath dheele pad gaye hain,+dar ne hamein jakad liya hai,hum bachcha janti aurat ki tarah tadap rahe hain.+ 25  khet mein mat jaao,na hi sadak par chalo,kyonki dushman ke haath mein talvar hai,chaaron taraf aatank chhaaya hua hai. 26  mere logon ki beti,taat odh le,+ raakh mein lot. tu bilakh-bilakhkar ro, aise maatam mana jaise koi iklaute bete ki maut par manata hai,+kyonki naash karnevala achanak hum par toot padega.+ 27  “mainne tujhe* apne logon ke beech dhaatu shuddh karnevala thehraya hai,jo achhi tarah jaanchta-parakhta hai,tu unke taur-tareekon par gaur kar, unki jaanch kar. 28  woh sab dheeth hain, unke jaise log kahin nahin mileinge,+woh badnam karte firte hain.+ woh tambe aur lohe jaise hain,sab-ke-sab bhrasht hain. 29  dhaunkaniyaan jal gayin,magar aag se sirf seesa nikala. unhein shuddh karne ki zabardast koshish ki gayi, magar koi faayda nahin hua,+jo bure hain unhein alag nahin kiya gaya.+ 30  log unhein khoti chaandi kaheinge,kyonki yahova ne unhein khota paaya hai.”+

kai footnote

ya “thanda.”
ya “meri hidayton.”
ek khushboodar narkat.
yaani yirmayah.