yirmayah 7:1-34

  • yahova ke mandir par bharosa karna dhokha hai (1-11)

  • mandir sheelo jaisa ban jaayega (12-15)

  • niyam ke mutabik upasna karne ki ninda ki gayi (16-34)

    • “swarg ki raani” ki pooja (18)

    • hinnom mein bachchon ki bali (31)

7  yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:  “tu yahova ke bhavan ke faatak par khade hokar is sandesh ka ailan kar, ‘yahooda ke sab logo, tum jo yahova ke saamne dandvat karne ke liye in faatkon se andar jaa rahe ho, tum sab yahova ka yah sandesh suno.  senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “tum sab apna chaalchalan sudhaaro aur apne taur-tareeke badlo, tab main tumhein is jagah base rehne doonga.+  tum chhal-bhari baaton par bharosa karke yah mat kaho, ‘yah* yahova ka mandir hai, yahova ka mandir, yahova ka mandir!’+  agar tum vaakai apna chaalchalan sudhaaroge aur apne taur-tareeke badloge, do logon ke beech ke mukadme mein sachcha nyay karoge,+  pardesiyon, anathon* aur vidhvaon ko nahin sataoge,+ is jagah begunahon ka khoon nahin bahaoge aur doosre devtaon ke peechhe nahin jaaoge jisse tumhara nuksan hoga,+  tab main tumhein is desh mein base rehne doonga jo mainne tumhare purkhon ko sada* ke liye diya tha.”’”  “magar tum chhal-bhari baaton par bharosa karte ho.+ isse tumhein koi faayda nahin hoga.  tum chori,+ katla aur vyabhichar karte ho, jhoothi shapath khaate ho,+ baal devta ke liye balidan chadhate ho+ aur un devtaon ke peechhe jaate ho jinhein tum pehale nahin jaante the. tumhein kya lagta hai ki tum aise kaam karte huye bhi 10  is bhavan mein mere saamne aakaar khade ho sakte ho, jisse mera naam juda hai? kya ye sab ghinaune kaam karte huye bhi tum keh sakte ho, ‘hum zaroor bach jaayenge’? 11  kya tumne is bhavan ko, jisse mera naam juda hai, luteron ki gufa samajh rakha hai?+ mainne khud yah dekha hai.” yahova ka yah ailan hai. 12  “‘ab tum sheelo mein mere pavitra-sthan jaao,+ jise mainne apne naam ki mahima ke liye pehale chuna tha.+ vahaan jaakaar dekho ki mainne apni praja israel ki burai ki vajah se us jagah ka kya haal kiya.’+ 13  yahova ailan karta hai, ‘fir bhi tum in kaamon se baaz nahin aaye. main tumhein baar-baar samjhata raha,* magar tumne meri nahin suni.+ main tumhein pukarta raha, magar tumne koi javab nahin diya.+ 14  isliye mainne sheelo ka jo hashra kiya tha, vahi is bhavan ka bhi karoonga jisse mera naam juda hai+ aur jis par tum bharosa karte ho.+ main is jagah ka, jo mainne tumhein aur tumhare purkhon ko di thi, vahi haal karoonga.+ 15  main tumhein apni nazron se door kar doonga, theek jaise mainne tumhare sab bhaaiyon ko, epraim ke sabhi vanshajon ko door kar diya tha.’+ 16  tu in logon ki khaatir prarthna mat karna. inki khaatir mujhe duhai mat dena, na prarthna karna, na fariyad karna+ kyonki main nahin sunoonga.+ 17  tu dekh hi raha hai ki ye log yahooda ke shehron aur yarooshalem ki galiyon mein kya-kya kar rahe hain. 18  bete lakdiyaan ikatthi karte hain, pita unmein aag lagate hain aur patniyaan aata goondhti hain taaki swarg ki raani* ke liye balidan ki tikiyaan bana sakein+ aur woh doosre devtaon ke aage argh chadhate hain. yah sab karke woh mera krodh bhadkate hain.+ 19  yahova ailan karta hai, ‘kya woh aisa karke mujhe dukh pahuncha rahe hain?* nahin, woh khud hi ko dukh pahuncha rahe hain, apna hi apman kar rahe hain.’+ 20  isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘dekh, mere krodh aur jaljalahat ka pyala is jagah par undela jaayega,+ insan aur jaanvar par, maidan ke pedon aur zameen ki upaj par undela jaayega. mere krodh ki aag jalti rahegi, yah kabhi nahin bujhegi.’+ 21  senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘chadhao, chadhao, balidanon ke saath poori hom-baliyaan chadhao aur unka gosht khud khaao.+ 22  kyonki jis din main tumhare purkhon ko misra se baahar laaya tha, us din mainne unse poori hom-baliyon aur balidanon ke baare mein na baat ki thi, na hi unhein aagya di thi.+ 23  magar mainne unse yah zaroor kaha tha: “tum meri aagya maanna, tab main tumhara parmeshvar hounga aur tum mere log hoge.+ main tumhein jis raah par chalne ki aagya doonga tum usi par chalna taaki tumhara bhala ho.”’+ 24  magar unhonne meri nahin suni, meri taraf kaan nahin lagaya.+ iske bajay, woh apni hi yojnaon* ke mutabik chale, dheeth hokar apne dusht man ki sunte rahe+ aur aage badhne ke bajay peechhe jaate rahe. 25  jis din tumhare purkhe misra se nikle the, tab se lekar aaj tak tum aisa hi karte aaye ho.+ isliye main apne sabhi sevkon ko, apne bhavishyavaktaon ko tumhare paas bhejta raha. mainne unhein har din bheja, baar-baar bheja.*+ 26  magar in logon ne meri sunnae se inkar kar diya aur meri taraf kaan nahin lagaya.+ ye dheeth-ke-dheeth bane rahe aur apne purkhon se bhi badtar nikle! 27  tu jaakaar ye saari baatein unse kehna.+ magar woh teri nahin suneinge. tu unhein bulayega, magar woh javab nahin deinge. 28  tu unse kahega, ‘yah woh raashtra hai jisne apne parmeshvar yahova ki aagya nahin maani aur shiksha lene se inkar kar diya. unmein ek bhi aisa insan nahin jo vishvasyogya ho. woh vishvasyogya rehne ke baare mein baat tak nahin karte.’+ 29  apne lambe* baal kaatkar feink de aur sooni pahadiyon par jaakaar shokgeet gaa kyonki yahova ne is peedhi ko thukra diya hai. parmeshvar is peedhi ko chhod dega kyonki isne uska krodh bhadkaya hai. 30  yahova ailan karta hai, ‘yahooda ke logon ne meri nazar mein bure kaam kiye hain. unhonne us bhavan mein, jisse mera naam juda hai, ghinauni moortein khadi karke use dooshit kar diya hai.+ 31  unhonne “hinnom ke vanshajon ki ghaati”*+ mein topet ki unchi jagah banayi hain taaki woh apne bete-betiyonn ko aag mein hom kar dein.+ yah aisa kaam hai jiski na to mainne kabhi aagya di thi aur na hi kabhi yah khayal mere man mein aaya.’+ 32  yahova ailan karta hai, ‘isliye dekh, woh din aa rahe hain jab yah jagah fir kabhi na topet kehlayegi, na hi “hinnom ke vanshajon ki ghaati”* balki “maar-kaat ki ghaati” kehlayegi. woh topet mein tab tak laashein dafnayenge jab tak ki vahaan aur jagah na bache.+ 33  aur in logon ki laashein aakash ke pakshiyon aur dharti ke jaanvaron ka nivala ban jaayengi aur unhein darakar bhaganevala koi na hoga.+ 34  main yahooda ke shehron aur yarooshalem ki galiyon ka aisa haal kar doonga ki vahaan se na to khushiyaan aur jashna manane ki aavazen aayengi, na hi doolha-dulhan ke saath aanand manane ki aavazen.+ saara desh khandhar ban jaayega.’”+

kai footnote

shaa., “ye” yaani mandir aur aas-paas ki imartein.
ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”
ya “hamesha se hamesha tak.”
shaa., “tadke uthkar tumse baatein karta raha.”
ek devi ki upadhi jise woh israeli poojte the jo sachchi upasna se mukar gaye the; shaayad yah prajnan ki devi thi.
ya “gussa dila rahe hain; bhadka rahe hain.”
ya “salah.”
shaa., “main har din tadke uthkar unhein bhejta raha.”
ya “samarpit.”
shabdavli mein “gehennaa” dekhein.
shabdavli mein “gehennaa” dekhein.