yirmayah 8:1-22

  • log vahi raasta chunte hain jis par sab chalte hain (1-7)

  • yahova ke vachan ke bina buddhi kahaan? (8-17)

  • yahooda ka ghaav dekhkar yirmayah dukhi (18-22)

    • “kya gilad mein balsan nahin hai?” (22)

8  yahova ailan karta hai, “us samay yahooda ke raajaon, haakimon, yaajkon, bhavishyavaktaon aur yarooshalem ke logon ki haddiyaan unki kabraon se nikaali jaayengi.  unhein sooraj, chaand aur aakash ki saari sena ke saamne bikher diya jaayega, jinse unhein bahot pyar tha, jinki woh seva karte the aur jinke peechhe woh jaate the, jinse salah karte the aur jinke aage dandvat karte the.+ woh na to ikatthi ki jaayengi aur na hi dafnayi jaayengi. woh dharti ke oopar khaad ki tarah padi raheingi.”+  senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, “is dusht gharane ke bache huye logon ko main jin-jin jagahon mein titar-bitar karoonga, vahaan woh jeevan ke bajay maut ki kaamna kareinge.  tu unse kehna, ‘yahova kehta hai,“kya woh gireinge aur dobara nahin utheinge? agar ek palatkar laute to kya doosra bhi nahin lautega?   yarooshalem ke ye log kyon mujhse vishvasghat karne se baaz nahin aate? woh chhal ka raasta nahin chhodte,woh palatkar lautne se inkar karte hain.+   mainne un par dhyan diya, unki baat sunta raha, magar unke baat karne ka tareeka sahi nahin tha. ek bhi insan apni dushtata par nahin pachhtaya, na hi usne poochha, ‘mainne kya kiya hai?’+ har koi baar-baar usi raaste par laut jaata hai jis par sab chalte hain,jaise ghoda sarpat daudta hua jang mein jaata hai.   aakash mein udnevala laglag bhi jaanta hai ki kab use udkar doosri jagah jaana hai,*faakhta, batasi aur saarika* bhi samay par lautte hain.* magar mere apne log yahova ke faisle nahin samajhte.”’+   ‘tum log kaise keh sakte ho, “hum buddhiman hain, hamare paas yahova ka kaanoon* hai”? sach to yah hai ki shaastriyon* ki jhoothi kalam+ ka istemal sirf jhooth likhne ke liye kiya gaya hai.   buddhimanon ko sharminda kiya gaya hai.+ woh ghabra jaayenge aur pakde jaayenge. dekho, unhonne yahova ka vachan thukra diya hai,to fir unke paas buddhi kahaan se hogi? 10  isliye main unki patniyaan doosre aadmiyon ko de doonga,unke khet doosron ke adhikar mein kar doonga,+kyonki chhote se lekar bade tak, har koi beimani se kamata hai,+bhavishyavakta se lekar yaajak tak, har koi dhokhadhadi karta hai.+ 11  woh yah kehkar mere logon ki beti ka ghaav sirf oopar se theek karte hain,“shaanti hai! shaanti hai!” jabki koi shaanti nahin hai.+ 12  kya unhein apne ghinaune kaamon par sharm aati hai? nahin, bilkul sharm nahin aati! unmein sharm naam ki cheez hai hi nahin!+ isliye woh bhi unki tarah gireinge jo gir chuke hain. jab main unhein saza doonga tab woh thokar khaakaar gir padeinge.’+ yah baat yahova ne kahi hai. 13  yahova ailan karta hai, ‘jab main unhein ikattha karoonga to unka ant kar doonga. na angoor ki bel par ek angoor bachega, na hi anjeer ke ped par ek anjeer bachega aur saare patte murjha jaayenge. mainne unhein jo bhi diya tha use woh kho deinge.’” 14  “hum yahaan kyon baithe hain? chalo hum ikatthe hokar kileband shehron mein jaayen aur vahaan mar jaayen.+ kyonki hamara parmeshvar yahova hamein mita dega,woh hamein zehar mila paani pilata hai,+kyonki hamne yahova ke khilaf paap kiya hai. 15  hamne shaanti ki aasha ki thi, magar kuch bhala nahin hua.theek hone ki ummeed ki thi, magar khauf chhaaya raha!+ 16  daan se uske ghodon ka fufkarna sunayi de raha hai. uske ghodon ke hinhinane se poori dharti kaanp rahi hai. dushman aate hain aur poora desh aur uska sabkuch khaa jaate hain,shehar aur uske nivasiyon ko nigal jaate hain.” 17  yahova ailan karta hai, “main tumhare beech saanp bhej raha hoon,aise zahreele saanp jinhein mantra foonkkar kaaboo nahin kiya jaa sakta.woh tumhein daskar hi raheinge.” 18  mera dukh bardasht se baahar hai,mera man rogi hai. 19  door desh se madad ki pukar sunayi de rahi hai,mere apne logon ki beti keh rahi hai,“kya yahova siyyon mein nahin hai? kya uska raja vahaan nahin hai?” “woh kyon apni khudi hui moorton se,nikamme aur paraye devtaon se mera krodh bhadkate hain?” 20  “katai ka daur beet chuka hai, garmiyaan jaa chuki hain,magar hamein nahin bachaya gaya!” 21  apne logon ki beti ka ghaav dekhkar main dukh se behal hoon,+main bahot maayoos hoon. main sadme mein hoon. 22  kya gilad mein balsan* nahin hai?+ kya vahaan koi vaid nahin hai?+ to fir kyon mere logon ki beti ki sehat theek nahin hui?+

kai footnote

ya “apna tay samay jaanta hai.”
ya shaayad, “saaras.”
ya “pravas karte hain.”
ya “ki hidayat.”
ya “sachivon.”
ya “malham.”