yirmayah 9:1-26

  • yirmayah ka gehra dukh (1-3k)

  • yahova ne yahooda se hisab maanga (3kh-16)

  • yahooda ki haalaat par maatam (17-22)

  • garv karo ki tum yahova ko jaante ho (23-26)

9  kaash, mera sir aansuon se bhara kuaan hotaaur meri aankhein unka sota hotin!+ tab main apne desh ke maare huye logon ke liyedin-raat rota rehta.   kaash, veerane mein mere liye ek musafirkhana hota! tab main apne logon ko chhodkar door chala jaata,kyonki woh sab badchalan hain,+dagabazon ka gut hain.   woh apni jeebh kaman ki tarah modte hain,desh mein koi vishvasyogya nahin hai, vahaan bas jhooth ka bolbala hai,+ yahova ailan karta hai, “woh burai-par-burai karte jaate hainaur mujh par koi dhyan nahin dete.”+   “har koi apne padosi se bachkar rahe,apne bhaai par bhi bharosa na kare. kyonki har bhaai gaddar hai,+har padosi doosron ko badnam karnevala hai.+   har koi apne padosi ko thagta hai,koi kisi se sach nahin kehta. unhonne apni jeebh ko jhooth bolna sikhaya hai,+woh bure kaam karte-karte past ho jaate hain.   tu chhal-kapat se ghira hua hai. woh chhal karte hain aur mujhe jaanne se inkar karte hain.” yahova ka yah ailan hai.   isliye senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “main unhein pighlakar parkhoonga,+kyonki main apne logon ki beti ke saath aur kar hi kya sakta hoon?   unki jeebh jhooth bolnevala ghaatak teer hai. woh ek-doosre se shaanti ki baatein to karte hain,magar man mein ghaat lagane ki saazish rachte hain.”   yahova ailan karta hai, “kya main in kartooton ke liye unse hisab na maangoon? kya main aise raashtra se apna badla na loon?+ 10  main pahadon ke liye rounga, maatam manaunga,veerane ke charagah ke liye shokgeet gaaunga,kyonki woh aise jal gaye hain ki vahaan se koi nahin guzarta,maveshiyon ki aavaz nahin sunayi deti. aakash ke panchhi aur jaanvar bhaag gaye hain, sab gaayab ho gaye hain.+ 11  main yarooshalem ko malbe ka dher+ aur geedadon ki maand bana doonga,+yahooda ke shehron ko aisa ujaad doonga ki vahaan ek bhi nivasi nahin rahega.+ 12  kaun itna buddhiman hai ki woh is baat ko samajh sake? yahova ne kisse kaha ki woh jaakaar in baaton ka ailan kare? desh kyon naash ho gaya? yah kyon veerane ki tarah aisa jal gaya haiki yahaan se koi nahin guzarta?” 13  yahova javab deta hai, “kyonki unhonne mera diya kaanoon* thukra diya, uska paalan nahin kiya aur meri baat nahin maani. 14  iske bajay, woh dheeth hokar apni man-marzee karte rahe+ aur baal devta ki moorton ke peechhe chalte rahe, jaise unke pitaon ne unhein sikhaya tha.+ 15  isliye senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘dekh, main in logon ko naagdauna khaane aur zehar mila paani peene par majboor karoonga.+ 16  main unhein un raashtron mein titar-bitar kar doonga jinhein na to woh jaante hain, na unke purkhe jaante the.+ aur main unke peechhe ek talvar bhejoonga aur un par tab tak vaar karta rahoonga jab tak ki unka safaya na kar doon.’+ 17  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai,‘samajh se kaam lo. shokgeet gaanevali aurton ko bulao,+un aurton ko, jo aise geet gaane mein maahir hain. 18  unse kaho ki woh jald aayen aur hamare liye maatam ka geet gaayentaaki hamari aankhon se aansuon ki dhaara bahe,hamari palkein bheeg jaayen.+ 19  siyyon se rone-bilakhne ki aavaz aa rahi hai,+“haay, hum kaise barbad ho gaye hain! hum kitne beizzat kiye gaye hain! kyonki hamein apna desh chhodna pada, unhonne hamare ghar dhaa diye.”+ 20  aurto, yahova ka sandesh suno. usne jo kaha hai, us par kaan lagao. apni betiyonn ko maatam ka yah geet sikhao,ek-doosre ko yah shokgeet sikhao.+ 21  kyonki maut hamari khidkiyon se andar ghus aayi hai,hamari mazboot meenaron mein ghus aayi haitaaki galiyon se hamare bachchon koaur chauk se hamare javanon ko chheen le.’+ 22  tu kehna, ‘yahova ailan karta hai,“logon ki laashein aisi padi raheingi jaise maidan mein khaad padi rehti hai,jaise khet mein kataar-bhar poole pade rehte hain jinhein katai karnevala kaatkar chhod deta hai. aur unhein ikattha karnevala koi nahin hoga.”’”+ 23  yahova kehta hai, “buddhiman aadmi apni buddhi par shekhi na maare,+taakatvar aadmi apni taakat par shekhi na maare,na hi daulatmand aadmi apni daulat par shekhi maare.”+ 24  yahova ailan karta hai, “lekin agar koi garv kare to is baat par garv kareki woh mere baare mein androoni samajh aur gyaan rakhta hai+ki main yahova hoon, jo atal pyar zahir karta hai, nyay karta hai aur dharti par neki karta hai,+kyonki main inhin baaton se khush hota hoon.”+ 25  yahova ailan karta hai, “dekho, woh din aa rahe hain jab main aise har kisi se hisab maangoonga jo khatna karvakar bhi khatnarahit jaisa hai.+ 26  main misra,+ yahooda,+ edom,+ moab+ aur ammoniyon+ se aur veerane ke un sabhi logon se hisab maangoonga jinki kalmein mundi hui hain.+ saare raashtra khatnarahit hain aur israel ke saare gharane ka dil khatnarahit hai.”+

kai footnote

ya “hidayat.”