yoel 3:1-21

  • yahova sab raashtron ka nyay karta hai (1-17)

    • yahoshapat ki ghaati (2, 12)

    • faisle ki ghaati (14)

    • yahova, israel ke liye kila (16)

  • woh apne logon ko aasheesh deta hai (18-21)

3  “kyonki dekho! un dinon aur us samay,jab main yahooda aur yarooshalem ke logon ko bandhuai se vaapas le aaunga,+   tab main saare raashtron ko bhi ikattha karoongaaur unhein yahoshapat* ki ghaati mein le aaunga. vahaan main apne logon aur apni virasat israel ki khaatir unse mukadma ladoonga,+kyonki unhonne mere logon ko doosre raashtron mein titar-bitar kar diyaaur mere desh ki zameen aapas mein baant li.+   unhonne chitthiyaan daalkar mere logon ko aapas mein baant liya,+woh veshyaon ka kiraya chukane ke liye ladke de dete theaur daakh-madira ke liye ladkiyon ko bech dete the.   hey sor aur seedon, hey palisht ke sabhi praanto,tumne mere saath aisa karne ki himmat kaise ki? kya tum mujhse kisi baat ka badla le rahe ho? agar tum badla le rahe ho,to main fauran tumhein apni kartooton ka fal bhugatne par majboor karoonga.+   tum mera sona-chaandi le gaye,+mera badhiya-se-badhiya khazana apne mandiron mein le gaye,   tumne yahooda aur yarooshalem ke logon ko yoonaniyon ke haath bech diya+taaki unhein unke ilake se door kar diya jaaye.   isliye dekho, tumne unhein jahaan bech diya tha vahaan se main unhein vaapas le aaunga,+tumhein apni kartooton ka fal bhugatne par majboor karoonga.   main tumhare bete-betiyonn ko yahooda ke logon ke haath bech doonga+aur woh unhein door desh sheeba ke logon ke haath bech deinge,kyonki khud yahova ne aisa kaha hai.   raashtron ke beech ailan karo,+‘yuddh ki taiyari karo! soormaon ko udhaaro! saare sainik aage badhein aur hamla karein!+ 10  apne hal ke faal peetkar talvarein banao aur apni daratiyon ko peetkar bhaale* banao. kamzor kahe, “main bada taakatvar hoon.” 11  aas-paas ke sab raashtro, aakaar ikattha ho jaao, madad karo!’”+ hey yahova, apne yoddhaon ko neeche us jagah le aa. 12  “raashtra udhaare jaayen aur yahoshapat ki ghaati mein jaayen,kyonki main vahaan baithoonga taaki aas-paas ke sabhi raashtron ka nyay karoon.+ 13  hansiya chalao, fasal pak chuki hai. neeche aakaar raundo, angoor raundne ka haud bhar gaya hai.+ ras-kund umad rahe hain kyonki unki burai bahot badh gayi hai. 14  faisle ki ghaati mein bheed-ki-bheed jama hai,kyonki faisle ki ghaati mein yahova ka din kareeb hai.+ 15  sooraj aur chaand par andhera chhaa jaayegaaur taare apni chamak kho baitheinge. 16  yahova siyyon se garjega,yarooshalem se buland aavaz mein bolega. aasman aur dharti dolne lageinge,magar yahova apne logon ke liye panah hoga,+israel ke logon ke liye kila hoga. 17  aur tumhein jaanna hoga ki main yahova tumhara parmeshvar hoon, jo apne pavitra pahad siyyon par nivas karta hai.+ yarooshalem nagri ek pavitra jagah ban jaayegi,+ajnabi* fir kabhi vahaan se nahin guzreinge.+ 18  us din pahadon se meethi daakh-madira tapkegi,+pahadiyon par doodh bahega,yahooda ki saari nadiyon mein paani umadne lagega. yahova ke bhavan se ek sota futega,+babool ke pedon ki ghaati ko sinchega. 19  magar misra ujad jaayega,+edom ujda hua veerana ho jaayega,+kyonki unhonne yahooda ke logon ko sataya,+unke desh mein begunahon ka khoon bahaya.+ 20  magar yahooda hamesha aabad rahega,yarooshalem peedhi-peedhi tak aabad rahegi.+ 21  un par jo khoon ka dosh tha, main use mita doonga,+main yahova siyyon par nivas karoonga.”+

kai footnote

matlab “yahova nyayi hai.”
ya “barchhiyaan.”
ya “pardesi.”