yona 3:1-10

  • yona parmeshvar ki aagya maankar neenve gaya (1-4)

  • sandesh sunkar neenve ke logon ne pashchatap kiya (5-9)

  • parmeshvar ne neenve ka naash nahin kiya (10)

3  yahova ne doosri baar yona se kaha,+  “jaa! us bade shehar neenve+ ko jaa aur use woh sandesh suna, jo main tujhe batata hoon.”  yona ne yahova ki aagya maani aur woh neenve+ gaya.+ neenve bahot bada shehar tha,* itna bada ki paidal uska chakkar lagane mein teen din lag jaate the.  yona shehar mein aaya. woh poore ek din paidal chalkar yah ailan karta raha, “ab se 40 din baad neenve tabah ho jaayega.”  yah sunkar neenve ke logon ne parmeshvar par vishvas kiya+ aur upvas ka ailan kiya. fir chhote se lekar bade tak, sab logon ne taat odha.  jab neenve ke raja ke paas sandesh pahuncha, to woh apni raajgaddi se utha. usne apne shaahi kapde utare aur taat odhkar raakh par baith gaya.  yahi nahin, usne poore shehar mein yah ailan karvaya,“raja aur uske bade-bade adhikariyon ne yah farman diya hai: aadmi ho ya jaanvar, gaay-bail ho ya bhed-bakri, koi kuch na khaaye, paani ki ek boond bhi na peeye  aur sab taat odhein. log gidgidakar parmeshvar ki duhai dein, apni dusht raahon se firein aur doosron ka bura karna chhod dein.  kya pata, sachcha parmeshvar apne faisle par dobara gaur kare aur apni jaljalahat hum par se hata le ki hum mit na jaayen.” 10  jab sachche parmeshvar ne unke kaamon ko dekha ki kis tarah woh apni dusht raahon se fir gaye hain,+ to usne apne faisle par dobara gaur kiya. aur woh neenve par kehar nahin laaya.+

kai footnote

shaa., “neenve parmeshvar ke liye bahot bada shehar tha.”