yuhanna ke mutabik khushkhabri 2:1-25

  • kaana mein shaadi; paani ko daakh-madira mein badla (1-12)

  • yeeshu mandir ko shuddh karta hai (13-22)

  • yeeshu jaanta hai, insan ke dil mein kya hai (23-25)

2  fir teesre din galeel mein kaana naam ki jagah ek shaadi ki daavat thi aur yeeshu ki maa bhi vahaan thi.  yeeshu aur uske chelon ko bhi shaadi mein bulaya gaya tha.  jab vahaan daakh-madira kam pad gayi, to yeeshu ki maa ne usse kaha, “unki daakh-madira khatm ho gayi hai.”  magar yeeshu ne usse kaha, “hum kyon iski chinta karein?* mera vakt ab tak nahin aaya hai.”  uski maa ne seva karnevalon se kaha, “woh tumse jo kahe, vahi karna.”  vahaan patthar ke chche matke rakhe the, jaisa yahoodiyon ke shuddh karne ke niyamon ke mutabik zaroori tha.+ har matke mein 44 se 66 litre* paani sama sakta tha.  yeeshu ne unse kaha, “matkon ko paani se bhar do.” tab unhonne matke munh tak labalab bhar diye.  fir usne kaha, “ab ismein se thoda lekar daavat ki dekhrekh karnevale ke paas le jaao.” tab woh le gaye.  daavat ki dekhrekh karnevale ne woh paani chakha jo ab daakh-madira mein badal chuka tha. magar woh nahin jaanta tha ki yah madira kahaan se aayi (jabki seva karnevale jaante the jinhonne matke se paani nikaala tha). tab usne doolhe ko bulaya 10  aur usse kaha, “har koi badhiya daakh-madira pehale paayenge hai aur jab log peekar dhutt ho jaate hain, to halki daakh-madira deta hai. magar toone ab tak is behtareen daakh-madira ko alag rakha hua hai.” 11  is tarah yeeshu ne galeel ke kaana mein pehala chamatkar kiya aur apni shakti dikhayi+ aur uske chelon ne us par vishvas kiya. 12  iske baad yeeshu, uski maa, uske bhaai+ aur chele kafarnahoom gaye,+ magar vahaan zyada din nahin thahre. 13  yahoodiyon ka fasah ka tyohar+ paas tha aur yeeshu yarooshalem gaya. 14  usne vahaan mandir mein maveshi, bhed aur kabootar+ bechnevalon ko aur paise badalnevale saudagaron ko apni-apni gaddiyon par baitha dekha. 15  tab usne rassiyon ka ek koda banaya aur un sabhi ko unki bhedon aur unke maveshiyon ke saath mandir se baahar khaded diya. usne saudagaron ke sikke bikhra diye aur unki mezen palat di.+ 16  usne kabootar bechnevalon se kaha, “yah sab lekar yahaan se nikaal jaao! mere pita ke ghar ko baazar* mat banao!”+ 17  tab uske chelon ko yaad aaya ki yah likha hai, “tere bhavan ke liye josh ki aag mujhe bhasm kar degi.”+ 18  yah dekhkar yahoodiyon ne usse kaha, “tu hamein kaun-saa chamatkar dikha sakta hai+ jisse hum jaanein ki tujhe yah sab karne ka adhikar mila hai?” 19  yeeshu ne unhein javab diya, “is mandir ko gira do aur main teen din ke andar ise khada kar doonga.”+ 20  tab yahoodi kehne lage, “yah mandir banane mein 46 saal lage the aur tu ise teen din mein khada kar dega?” 21  magar mandir se uska matlab tha, uska apna shareer.+ 22  jab use mare huon mein se zinda kiya gaya, to uske chelon ko yaad aaya ki woh yah baat kaha karta tha.+ aur unhonne shastra ka aur yeeshu ki baat ka yakeen kiya. 23  jab woh fasah ke tyohar ke vakt yarooshalem mein tha, to bahot-se logon ne uske chamatkar dekhkar uske naam par vishvas kiya. 24  magar yeeshu ne khud ko unke bharose nahin chhoda kyonki woh sabko jaanta tha. 25  aur logon ke baare mein jaanne ke liye use kisi insan ki zaroorat nahin thi kyonki woh jaanta tha ki insan ke dil mein kya hai.+

kai footnote

shaa., “hey aurat, mujhe kya aur tujhe kya?” kisi ki baat par etraz karne ke liye yah muhavra kaha jaata tha. “aurat” kehna beizzati karna nahin tha.
shaayad yahaan dravya maap bat ka zikra kiya gaya hai jo 22 li. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya “vyapar ki jagah.”