yuhanna ke mutabik khushkhabri 3:1-36
3 neekudemus+ naam ka ek fareesi, jo yahoodiyon ka ek dharm-adhikari tha,
2 raat ke vakt yeeshu ke paas aaya+ aur usse kaha, “rabbi,+ hum jaante hain ki tu parmeshvar ki taraf se aaya shikshak hai. isliye ki tu jo chamatkar karta hai, woh koi bhi insan tab tak nahin kar sakta,+ jab tak ki parmeshvar uske saath na ho.”+
3 yeeshu ne use javab diya, “main tujhse sach-sach kehta hoon ki jab tak koi dobara paida na ho,*+ woh parmeshvar ka raaj nahin dekh sakta.”+
4 neekudemus ne kaha, “ek insan bada hokar dobara kaise paida ho sakta hai? kya woh apni maa ke garbh mein vaapas jaa sakta hai aur dobara paida ho sakta hai?”
5 yeeshu ne use javab diya, “main tujhse sach-sach kehta hoon, jab tak koi paani aur pavitra shakti se paida na ho,+ tab tak woh parmeshvar ke raaj mein daakhil nahin ho sakta.
6 jo shareer se paida hua hai, woh shaareerik hai aur jo pavitra shakti se paida hua hai, woh swarg ka hai.
7 meri is baat par taajjub mat kar ki tum logon ke liye dobara paida hona zaroori hai.
8 hava jahaan chahe vahaan behti hai aur tu hava chalne ki aavaz sunta hai, magar tu nahin jaanta ki yah kahaan se aati hai aur kahaan jaa rahi hai. jo koi pavitra shakti se paida hota hai woh aisa hi hai.”+
9 yah sunkar neekudemus ne usse kaha, “yah sab kaise ho sakta hai?”
10 yeeshu ne javab diya, “tu israeliyon ka ek guru hokar bhi ye baatein nahin jaanta?
11 main tujhse sach-sach kehta hoon, hum jo jaante hain usi ke baare mein batate hain aur hamne jo dekha hai usi ki gavahi dete hain, magar tum log hamari gavahi kabool nahin karte.
12 main tumhein dharti ki baatein bata raha hoon fir bhi tum yakeen nahin karte, to agar main tumhein swarg ki baatein bataun, to kaise yakeen karoge?
13 itna hi nahin, koi bhi insan swarg par nahin chadha,+ magar sirf ek hi hai jo swarg se utra hai+ aur woh hai insan ka beta.
14 theek jaise moosa ne veerane mein us saanp ko unche par chadhaya,+ usi tarah zaroori hai ki insan ke bete ko bhi unche par chadhaya jaaye+
15 taaki har koi jo us par yakeen kare woh hamesha ki zindagi paaye.+
16 kyonki parmeshvar ne duniya se itna pyar kiya ki usne apna iklauta beta de diya+ taaki jo koi us par vishvas kare, woh naash na kiya jaaye balki hamesha ki zindagi paaye.+
17 parmeshvar ne apne bete ko duniya mein isliye nahin bheja ki woh duniya ko saza sunaye, magar isliye bheja ki duniya uske zariye uddhaar paaye.+
18 jo us par vishvas karta hai, use saza nahin di jaayegi.+ jo us par vishvas nahin karta, use saza sunayi jaa chuki hai kyonki usne parmeshvar ke iklaute bete ke naam par vishvas nahin kiya.+
19 nyay is aadhar par kiya jaata hai: raushni duniya mein aayi,+ magar logon ne raushni ke bajay andhkar se pyar kiya kyonki unke kaam dusht the.
20 jo bure kaamon mein laga rehta hai, woh raushni se nafrat karta hai aur raushni mein nahin aata taaki uske bure kaamon ka pardafash na ho jaaye.
21 magar jo sahi kaam karta hai woh raushni mein aata hai+ taaki saabit ho ki usne ye kaam parmeshvar ki marzee ke mutabik kiye hain.”
22 iske baad, yeeshu aur uske chele yahoodiya ke dehaton mein gaye aur usne vahaan unke saath kuch vakt bitaya aur logon ko baptisma diya.+
23 magar yuhanna bhi saalim ke paas enon naam ki ek jagah baptisma de raha tha, kyonki vahaan bahot paani tha+ aur log aate rahe aur baptisma lete rahe.+
24 us vakt tak yuhanna ko jail mein nahin daala gaya tha.+
25 tab shuddh kiye jaane ke rivaz ko lekar kisi yahoodi ke saath yuhanna ke chelon ki behas chhid gayi.
26 fir yuhanna ke chele uske paas aaye aur usse kehne lage, “guru, woh aadmi jo yardan ke us paar tere saath tha aur jiske baare mein toone gavahi di thi,+ woh baptisma de raha hai aur sab uske paas jaa rahe hain.”
27 yuhanna ne kaha, “jab tak ek insan ko swarg se na diya jaaye, tab tak woh ek bhi cheez nahin paa sakta.
28 tum khud is baat ke gavah ho ki mainne kaha tha, main maseeh nahin hoon+ magar mujhe uske aage bheja gaya hai.+
29 jiske paas dulhan hai vahi doolha hai.+ magar jab doolhe ka dost khada hota hai aur doolhe ko baat karte sunta hai, to uski aavaz sunkar use bahot khushi hoti hai. isliye meri yah khushi poori ki gayi hai.
30 yah zaroori hai ki woh badhta jaaye aur main ghatta jaaun.”
31 jo oopar se aata hai woh baaki sabke oopar hai.+ jo dharti se hai, woh dharti ka hota hai aur dharti ki baatein bolta hai. jo swarg se aata hai, woh baaki sabke oopar hai.+
32 usne jo dekha aur suna hai, uski woh gavahi deta hai,+ magar koi aadmi uski gavahi par yakeen nahin karta.+
33 jisne uski gavahi par yakeen kiya hai usne is baat par apni muhar lagayi hai* ki parmeshvar sachcha hai.+
34 parmeshvar ne jise bheja hai, woh parmeshvar ki baatein batata hai+ isliye ki parmeshvar thoda-thoda karke* pavitra shakti nahin deta.
35 pita bete se pyar karta hai+ aur usne sabkuch uske haath mein saunp diya hai.+
36 jo bete par vishvas karta hai woh hamesha ki zindagi paayega.+ jo bete ki aagya nahin maanta woh zindagi nahin paayega,+ balki parmeshvar ka krodh us par bana rehta hai.+