is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

parichay

bible, parmeshvar ki likhvayi ek pavitra kitab hai aur iske zariye woh hum sabse baat karta hai. parmeshvar ko jaanne ke liye bible ka adhyan karna zaroori hai. (yuhanna 17:3; 2 timuthiyus 3:16) bible mein parmeshvar ne bataya hai ki insan aur dharti ke liye uska kya maksad hai.—utpatti 3:15; prakashitvakya 21:3, 4.

bible ke jaisi aur koi kitab nahin jo logon ki zindagi par gehra asar karti ho. yah hamein badhava deti hai ki hum yahova ki tarah pyar, karuna aur daya dikhayen. yah logon mein ummeed jagati hai aur unhein badi-se-badi mushkil ko sehne ki taakat deti hai. yah duniya ki un baaton ka pardafash karti hai jo parmeshvar ki marzee ke khilaf hain.—bhajan 119:105; ibraniyon 4:12; 1 yuhanna 2:15-17.

bible ibrani, araami aur yoonani bhasha mein likhi gayi thi. poori bible ka ya uske kuch hisson ka kareeb 3,000 bhaashaon mein anuvad kiya gaya hai. itni zyada bhaashaon mein ab tak kisi bhi kitab ka anuvad nahin hua hai. itna hi nahin, bible ab tak ki sabse zyada baanti gayi kitab hai. bible ke baare mein yah ummeed karna sahi bhi hai, kyonki ismein bhavishyavani ki gayi thi: “raaj [jo bible ka khaas sandesh hai] ki is khushkhabri ka saare jagat mein prachar kiya jaayega taaki sab raashtron ko gavahi di jaaye aur iske baad ant aa jaayega.”—matti 24:14.

hum is baat ko samajhte hain ki bible ka sandesh bahot khaas hai. isliye hamne aisa anuvad taiyar karne ki koshish ki hai jo na sirf mool paath ke mutabik ho, balki padhne mein aasan ho aur saaf samajh aaye. is anuvad mein kuch atirikt lekh bhi hain, “bible ke anuvad ke siddhaant,” “is sanskaran ki khaasiyatein” aur “bible hum tak kaise pahunchi.” inmein samjhaya gaya hai ki yah anuvad kin siddhaanton ke aadhar par taiyar kiya gaya hai aur iski kuch khaasiyatein kya hain.

jo log yahova parmeshvar se pyar karte hain aur uski upasna karte hain, woh uske vachan ka aisa anuvad padhna chaheinge jo bilkul sahi ho aur samajhne mein aasan ho. (1 timuthiyus 2:4) isliye hamari koshish hai ki nayi duniya anuvad zyada-se-zyada bhaashaon mein nikaala jaaye aur yahi vajah hai ki hamne hindi mein yah anuvad taiyar kiya hai. pyare paathak, hum ummeed karte hain aur hamari prarthna hai ki ‘parmeshvar ko dhoondhne aur use paane’ mein pavitra shastra ka yah anuvad zaroor aapki madad karega.—preshiton 17:27.

nayi duniya bible anuvad samiti