daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?
2020 ke shetreeya adhiveshan “hamesha khush raho!” ke video kaise taiyar kiye gaye?
14 agast, 2020
hamare shetreeya adhiveshan ke video dil-chhoo jaate hain. unki madad se hum bible ko gehrai se samajh paate hain. 2020 ke shetreeya adhiveshan “hamesha khush raho!” mein 114 video dikhaye gaye, jinmein se 43 bhaashan shaasi- nikay ke sadasya aur unke madadgar bhaaiyon ne pesh kiye. aap andaza laga sakte hain ki is tarah ke video taiyar karne mein kitni mehnat lagi hogi aur kitna paisa kharch hua hoga!
is behtareen kaaryakram ko taiyar karne mein hamare 900 bhaai-behenon ne madad ki, jo poori duniya ke alag-alag hisson mein rehte hain. unhonne khushi-khushi apna samay aur hunar is kaam mein lagaya. yah do saal mein poora hua. is kaam mein bhaai-behenon ne 1 laakh ghante bitaye. jinmein se 70 hazar ghante sirf bible drama ka video taiyar karne mein laga. yah video 76 minute ka hai, jiska vishay hai, nahemayah: “jo khushi yahova deta hai woh tumhari taakat hai!”
aap shaayad sonche ki is kaam mein kitna paisa laga hoga. tyag ki bhaavna dikhanevale un swayansevakon ki buniyadi zarooraton ka khyal rakha gaya. saath hi un bhaai-behenon ko takneeki madad, zaroori upkaran aur doosri suvidhayen bhi di gayi.
audio-video vibhag mein kaam karnevale ek bhaai jared gossman batate hain ki “shaasi-nikay ki shiksha-samiti dil se chahti hai ki video mein alag-alag deshon ke ilakon aur unki sanskritiyon ko bhi shaamil kiya jaaye. jisse saaf nazar aaye ki duniya-bhar mein faile hamare bhaaiyon ki biradri mein ekta aur atoot pyar hai. is lakshya ko paane mein 11 deshon se, 24 teemon ne saath milkar is project par kaam kiya. itne bade paimane par kaam karne ke liye kaafi paise, achhi yojna aur badhiya taalmel ki zaroorat thi.”
hamare zyadatar video banane mein khaas tarah ke upkarnon aur kai set ki zaroorat hoti hai. misal ke liye nahemayah: “jo khushi yahova deta hai woh tumhari taakat hai”. is drama ka set mt. ebo studio ke andar banaya gaya, jo patterson ke kareeb hai. yah shahar amreeka ke new york mein hai. is drama ka video taiyar karte samay is baat ka khaas dhyan rakha gaya ki dil se diye gaye daan ka sahi istemal ho aur video dekhkar aisa lage maano saari ghatnayen aankhon ke saamne ho rahi hon. isliye bhaaiyon ne halke desighnvale set taiyar kiye. in deevaron ko hoo-ba-hoo vaise hi banaya gaya, jaise pracheen yarushalem ki deevarein thi. ye deevar patli lakdiyon se banayi gayi thi, jinke oopar spanj lapeta gaya tha. ye 6 meter (ya 20 futa) unche the. unhein is tarah ranga gaya, maano woh sachmuch ke patthar hon. in “deevaron” ko aasani se sarkaya jaa sakta tha, isliye doosre drishyon mein bhi ye kaam aaye. sirf bible drama ka hi set banane mein kareeb 1laakh dollar (kareeb 70 laakh rupae) lage. is tarah ki deevar banane se kam set mein hi kaam chal gaya. *
is jaankari se 2020 ke adhiveshan ke liye hamare dilon mein kadardani aur bhi badh gayi. hamein poora yakeen hai ki is kaaryakram ko taiyar karne mein jo mehnat ki gayi, usse poori duniya mein yahova ke naam ki mahima hogi. aapne dil kholkar donate.pr418.com ke jariye daan diya, uske liye shukriya!
^ nahemayah: “jo khushi yahova deta hai woh tumhari taakat hai!” drame ka set, covid-19 mahamari failne ke pehle banaya gaya tha. us vakt logon ke beech doori banaye rakhne ki zaroorat nahin thi.