is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?

bahotayat se poori ki gayi ghati

bahotayat se poori ki gayi ghati

1 aktoobar, 2020

 yahova ke sakshi 200 se bhi zyada deshon mein logon ko sachchai sikhate hain aur zaroorat ki ghadi mein unki madad karte hain. lekin kareeb 35 desh hi aise hain, jo apna kharch khud utha paate hain. to baaki deshon ka kharch kaise poora kiya jaata hai?

 shaasi nikay, bhaai-behenon ki zarooraton ka khaas dhyan rakhta hai taaki woh yahova ki upasna aur prachar kaam achhi tarah kar sakein. isliye sanghathan daan se milnevale paison ka budget banata hai aur soch-samajhkar in paison ka istemal karta hai. maan leejiye, ek shaakha daftar ko zyada daan milta hai. aise mein, woh apna kharch poora karne ke baad bacha hua paisa zarooratmand deshon ko bhej deta hai. is tarah ka intazam pehli sadi ke maseehiyon ne bhi kiya tha. woh apni bahotayat mein se un bhaai-behenon ki madad karte the, jinke paas kam hota tha. is tarah woh ek-doosre ki ‘ghati ko poora’ karte the. (2 kurinthiyon 8:14)

 jab bhaaiyon ko doosre shaakha daftar se aarthik madad mili, to unko kaisa laga? aaiye tanzania desh ke udahran par gaur karein. vahaan zyadatar log har din bas 150 rupaye kamate hain. isliye unke liye raaj-ghar ki marammat karna bahot mushkil tha. lekin doosre shaakha daftar se mile paison ki badaulat maafinga mandli ke raaj-ghar ki marammat ho paayi. is mandli ke bhaaiyon ne kaha, “jab se hamare raaj-ghar ki marammat hui hai, tab se sabhaon mein aanevalon ki haaziri badh gayi hai. hum sanghathan aur poori duniya ke hamare bhaai-behenon ke bahot shukraguzar hain, jo dil se daan karte hain. unhonne dil kholkar jo daan diya uski vajah se aaj hum ek khoobsoorat raaj-ghar mein yahova ki upasna kar paa rahe hain.”

 covid-19 mahamari ki vajah se shreelanka mein hamare kuch bhaai-behenon ko khaane ki kami jhelni padi. inmein hamari behen imara fernando aur unka beta enosh bhi shaamil the. woh doosre deshon se mile daan aur madad ke liye bahot ehsanmand hain. unhonne apni ehsanmandi zahir karne ke liye ek card banaya. ismein unhonne likha, “is mushkil daur mein bhaaiyon ne jis tarah hamari madad ki hai, uske liye hum bahot shukraguzar hain. hum bahot khush hain ki hum is parivar ka hissa hain. hum yahova se prarthna karte hain ki in aakhiri dinon mein woh aap sabhi bhaai-behenon ka khyal rakhe.”

imara aur enosh farnaando

 hamare bhaai-behen chahe jahaan bhi rehte hon, woh ek-doosre ki madad karne se kabhi peechhe nahin hatte. enosh ka hi udahran leejiye. usne apne liye ek chhoti-c daan peti banayi taaki woh in paison ko daan karke zarooratmand parivaron ki madad kar sake. behen guadalupe alvarez ne bhi kuch aisa hi jazba dikhaya. woh mexico ke ek aise shahar mein rehti hai, jahaan logon ki aamdani bahot kam hai ya na ke barabar hai. fir bhi usse jitna ban padta hai, woh daan karti hai. woh kehti hai, “main yahova aur uske pyar ke liye bahot ehsanmand hoon. main jaanti hoon ki mere daan kiye gaye paison se zarooratmand bhaai-behenon ki madad ki jaayegi.”

 shaakha daftar khushi-khushi daan ke paison ko vahaan bhejta hai, jahaan zyada zaroorat hai. brazil ki shaakha-samiti mein seva kar rahe bhaai anthony carvalho kehte hain, “kai saalon tak doosre deshon ki shaakha daftaron ne hamein aarthik madad di hai. unki madad se hamare kaam mein kaafi badhotri hui. ab hamari aarthik haalat pehle se achhi hai. isliye ab hum bhi doosre shaakha daftaron ki aarthik taur par madad kar sakte hain. brazil ke bhaai is baat ko achhi tarah samajhte hain ki unke daan se doosre deshon ke bhaaiyon ko prachar kaam mein madad mil sakti hai.”

 yahova ke sakshi apne bhaai-behenon ki madad karne ke liye kya kar sakte hain? doosre desh ke kisi shaakha daftar ko seedhe daan bhejne ke bajaye woh raaj-ghar mein rakhe daan-peti mein daan daal sakte hain, jis par likha hota hai, “poori duniya mein honevale kaam ke liye.” woh donate.pr418.com ke zariye bhi daan kar sakte hain. aap jo bhi daan dete hain, uski hum dil se kadar karte hain.