is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

2017 mein chal rahi ek gilead school ki class ki tasveer

daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?

gilead school—duniya ke har kone se aaye vidyarthi

gilead school—duniya ke har kone se aaye vidyarthi

1 disambar, 2020

 har saal duniya-bhar se, khaas poore-samay ke sevkon ko watchtower bible school of gilead mein haazir hone ke liye bulaya jaata hai. yah school, new york ke patterson shahar mein watchtower shiksha keindra mein rakha jaata hai. * is school mein unhein yahova ke sanghathan mein alag-alag zimmedariyaan nibhane ke liye zaroori prashikshan diya jaata hai. is prashikshan se woh duniya-bhar mein mandliyon aur shaakha-daftaron ko mazboot kar paate hain. saath hi, mandli aur shaakha-daftaron ke kaam mein haath bata paate hain.

 vaakai, gilead ek antarrashtreeya kism ka school hai. iski ek misal leejiye. 2019 mein hui 147vin class mein 29 deshon se 56 vidyarthi aaye the. inmein se kuch vidyarthi circuit nigran, mishnaree aur khaas pioneer the. to kuch bethel mein khaas poore-samay ki seva kar rahe the.

 school ka pehla session shuroo hone se kaafi pehle, taiyariyaan shuroo ho jaati hain. vishva mukhyalay ka yaatra vibhag, school mein aanevale vidyarthiyon ke liye plane ki ticketein khareedta hai. jaise, 147vin class mein aanevale vidyarthiyon ke liye apni seva ki jagah se patterson tak aane-jaane ka kharch lagbhag 79,000 rupaye (1,075 dollar) tha. iske alava, jo vidyarthi soloman dveep-samooh se aanevale the, unhein patterson pahunchne ke liye 4 baar plane badalna pada aur fir vaapas ghar jaane ke liye 3 baar. is tarah soloman dveep-samooh se aaye vidyarthiyon ne 35,400 kilometer lamba safar tay kiya! aur har vidyarthi ke liye lagbhag 1,68,000 rupaye (2,300 dollar) kharch huye. yaatra vibhag ek computer program ki madad se sasti ticketein book karta hai. lekin ticket book hone ke baad bhi, yah computer program agle kai hafton ya maheenon tak sasti ticketein dhoondhta rehta hai. iske alava, kuch log airline se mile points aur mileage daan karte hain. yaatra vibhag in points ka bhi istemal karke ticketein book karta hai.

 alag-alag deshon se aanevale vidyarthiyon ko amreeka mein aane ke liye visa ki zaroorat hoti hai. vishva mukhyalay ka kaanoon vibhag in vidyarthiyon ko visa paane mein unki madad karta hai. visa aur registration ke liye har vidyarthi ke liye lagbhag 37,000 rupaye (510 dollar) kharch hote hain.

 in vidyarthiyon ko jo prashikshan diya jaata hai, usse hamein kya faayda hota hai? dakshin-poorvi eshiya mein hendra gunawan naam ka ek pracheen hai. unki mandli mein gilead school se graduate huye ek pati-patni hain. hendra gunawan kehte hain, “pehle hamari mandli mein ek bhi pioneer nahin tha. magar jabse ye pati-patni hamari mandli mein aayen hain, tab se bhaai-behenon ka josh aur bhi zyada badh gaya hai. kai bhaai-behen to pioneer ban gaye hain aur ek behen ko ‘raaj pracharakon ke liye school’ mein jaane ka mauka mila!”

 sergio panjaitan naam ka ek bhaai, dakshin-poorvi eshiya ke ek bethel mein kaam karta hai. woh kehta hai, “gilead vidyarthiyon ko jo prashikshan milta hai, vo na sirf unke liye, balki hamare liye bhi aasheesh hai. unhein kitna kuch seekhne ko milta hai! lekin is vajah se woh khud ko doosron se behtar nahin samajhte. unhonne jo bhi seekha hai, use woh doosron ke saath baantte hain. is tarah hamara hausla badhta hai aur badle mein hum bhi doosron ka hausla badhate hain.”

 is school ka kharcha kaise uthaya jaata hai? ‘poori duniya mein honevale kaam ke liye’ daan se. ismein se zyadatar daan donate.pr418.com mein bataye gaye alag-alag tareekon se milta hai. aap dil kholkar jo daan dete hain, uske liye bahot-bahot shukriya. is daan ki madad se hi yah antarrashtreeya school chala paana mumkin hota hai.

^ is school ke course ko yahova ke sakshiyon ka school vibhag taiyar karta hai. school vibhag, shaasi nikay ki shiksha-samiti ki madad se school ka course taiyar karta hai. gilead school mein alag-alag log sikhate hain. jaise: school vibhag ke shikshak, mehman vakta aur shaasi nikay ke sadasya.