is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?

sabse zaroori kitab taiyar karna

sabse zaroori kitab taiyar karna

1 janvari, 2021

 “main 19 saal se is kitab ka intazar kar raha tha!” yah baat hamare ek bhaai ne kahi. woh kaun-c kitab ka intazar kar raha tha? apni maatribhasha bangali mein, nayi duniya anuvad maseehi yoonani shastra  bible ka. apni bhasha mein nayi duniya anuvad  paakar kai bhaai-behenon ko aisa hi laga. par kya aap jaante hain ki bible ka anuvad karne aur ise chhaapne ke liye kya-kya kiya jaata hai?

 sabse pehle, shaasi nikay ki lekhan-samiti ke nirdeshan mein anuvadakon ki ek team chuni jaati hai. bible ka anuvad karne mein ek team ko kitna vakt lagta hai? new york ke warwick mein, anuvad seva vibhag mein kaam karnevale bhaai nicholas ahladis ne bataya, “bible ka anuvad karne mein kitna vakt lagega yah kai baaton par nirbhar karta hai. jaise, anuvad karne ke liye kitne anuvadak hain, bhasha saral hai ya jatil, woh bhasha bolnevale log bible ke zamane ke baare mein kitna jaante hain aur kya woh bhasha alag-alag ilakon mein alag-alag tarah se boli jaati hai. vaise sirf maseehi yoonani shastra ka anuvad karne mein ek team ko kareeb teen saal lagte hain. aur poori bible ka anuvad karne mein lagbhag chaar ya usse zyada saal. sign language mein bible ka anuvad karne mein to aur bhi vakt lagta hai.”

 bible ka anuvad karne ke liye, anuvadakon ke alava kuch aur logon ki bhi zaroorat hoti hai jo us bhasha ko jaante hon. ye log alag-alag deshon aur jagahon se ho sakte hain. par ye karte kya hain? bible ka jo anuvad kiya jaata hai, ye use padhte hain aur apni raay dete hain ki woh use samajh paa rahe hain ya nahin. ye log muft mein aisa karte hain. inki madad ki vajah se, anuvadak ek aisi bible taiyar kar paate hain jiska anuvad ekdam sahi-sahi hua hai aur jo samajhne mein bhi aasan hai. dakshin afreeka mein rehne vaale ek bhaai ne jo bible anuvadakon ko training dete hain, kaha, “anuvadak is baat ko samajhte hain ki parmeshvar ke vachan ka anuvad karna bahot badi zimmedari hai. isliye woh bahot mehnat karte hain.”

 anuvad poora hone ke baad bible ko chhaapa jaata hai aur us par jild chadhai jaati hai. chhapai karne ke liye kam-se-kam in das “cheezon” ki zaroorat hoti hai. kaagaz, syahi, jild, gond, kavar laainar, chaandi ka work, ribbon,headband,spine stiffener aur capping ka saaman taaki bible jaldi na fate. saal 2019 mein, bible chhaapne ke liye in cheezon par 145 karod se zyada rupaye kharch huye. bible ki chhapai karne aur ise alag-alag deshon mein pahunchane ke liye, chhapaikhanon mein kaam karnevale hamare bhaai-behenon ne 3,00,000 se bhi zyada ghante kaam kiya.

“hum jo kitabein-patrikayen chhaapte hain, unmein bible sabse zaroori kitab hai”

 bible taiyar karne ke liye hum itna samay aur paisa kyon kharch karte hain? antarrashtreeya chhapai vibhag mein kaam karnevale bhaai joel blue kehte hain, “hum jo kitabein-patrikayen chhaapte hain, unmein bible sabse zaroori kitab hai. isliye hum chahte hain ki yah dikhne mein itni sundar ho ki isse hamare parmeshvar ki mahima ho aur iska sandesh bhi logon ko bhaaye.”

 aam logon ke alava, hum un logon ke liye bhi bible taiyar karte hain jo dekh nahin sakte ya jo jelon mein hain. udahran ke liye, nayi duniya anuvad  das braille bhaashaon mein uplabdh hai. Braille bhasha mein, sirf ek bible taiyar karne ke liye lagbhag aath ghante lagte hain. poori bible alag-alag khandon mein taiyar ki jaati hai. agar in sabhi khandon ko ek ke oopar ek rakha jaaye, to yah 7.5 fut uncha hoga. hum jail ke kaidiyon ke liye bina jildvali bible chhaapte hain kyonki jail mein jildvali bible rakhne ki ijazat nahin hai.

 nayi duniya anuvad  logon ke dil par asar karti hai. kaango loktaantrik ganrajya mein tomb naam ki ek jagah hai, jahaan kilooba bhasha boli jaati hai. yah jagah kaango ki raajdhani se kareeb 1,700 kilometer door hai. is mandli ke bhaai-behenon ke paas sirf ek bible thi, woh bhi purani kilooba bhasha mein. isliye sabha ki taiyari karne ke liye bhaai ek-ek karke is bible ka istemal karte the. magar agast 2018 se is mandli ke har sadasya ke paas apni ek nayi duniya anuvad  bible hai aur woh bhi aaj ke zamane ki kilooba bhasha mein.

 jab german bhasha bolnevali ek behen ko apni bhasha mein nayi duniya anuvad  ka naya sanskaran mila, to usne kaha, “ab mujhe bible padhne mein pehle se zyada maza  aata hai. main ise padhne ka intazar karti hoon.” ek vyakti jo jail mein hai, kehta hai, “mujhe nayi duniya anuvad  ki ek copy di gayi. ise padhne se meri zindagi hi badal gayi. main pehli baar bible mein likhi baaton ko achhi tarah samajh paa raha hoon. main yahova ke sakshiyon ke baare mein aur jaanna chahta hoon aur khud bhi ek sakshi banna chahta hoon.”

 jo log nayi duniya anuvad  bible padhte hain, woh bahot ehsanmand hain ki iska anuvad kiya gaya aur ise chhaapa gaya. bhaai-behen donate.pr418.com ke zariye “poori duniya mein honevale kaam ke liye” daan dete hain. bible ko taiyar karne ke liye inhin paison ka istemal kiya jaata hai. aapne dil kholkar jo daan diya, uske liye aapka shukriya.