is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

satark rahiye!

poori duniya mein ho rahi goleebari ki khaufnak vaardatein—is baare mein pavitra shastra mein kya likha hai?

poori duniya mein ho rahi goleebari ki khaufnak vaardatein—is baare mein pavitra shastra mein kya likha hai?

 julai 2022 ke dauran poori duniya mein goleebari ki chaunka denevali khabrein saamne aayi hain:

  •   “japan ke sabse jaane-maane raajneta [poorva pradhanmantri shinzo abe] ki hatya se desh ke log sadme mein hain. is khabar ne poori duniya ko hilakar rakh diya hai, kyonki maana jaata hai ki japan mein hinsa ki vaardatein bahot kam hoti hain aur bandook rakhne ke baare mein sakht niyam hain.”—10 julai, 2022, the japan times.

  •   “denmark ke copenhagen ke shopping mall mein ek aadmi ne bandook se teen logon ko maar daala. is vajah se vahaan ke log dehshat mein hain.”—4 julai, 2022, reuters.

  •   “dakshin afreeka: soweto township ke ek sharabkhane mein kuch logon ne andhadhundh goliyaan chalayin. is ghatna mein 15 logon ki maut ho gayi.”—10 julai, 2022, the guardian.

  •   “amreeka mein 220 se bhi zyada log bandook se maare gaye. ye vaardatein 4 julai aur uske aas-paas ke dinon mein huin jab chhuttiyaan chal rahi thi.” —5 julai, 2022, cbs news.

 kya kabhi aisa vakt aayega jab is tarah ki vaardatein poori tarah khatm ho jaaayengi? is baare mein bible mein kya likha hai?

hinsa ka ant zaroor hoga!

 bible mein hamare dinon ko ‘aakhiri din’ bataya gaya hai yaani ek aisa samay jab zyadatar log khoonkhar aur bereham honge. (2 timuthiyus 3:1, 3) is vajah se hinsa ki vaardatein badhti jaa rahi hain aur log har vakt khauf mein ji rahe hain. (luka 21:11) lekin bible mein vaada kiya gaya hai ki bahot jald hinsa ka ant ho jaayega. fir ‘log aman-chain se raheinge, haan aise baseron mein, jahaan woh sukhi aur mehfooz raheinge.’ (yashayah 32:18) par hinsa ka ant kaise hoga?

 parmeshvar bure logon ko mita dega aur saare hathiyaron ko nasht kar dega.

  •   “dushton ko dharti se mita diya jaayega.”—neetivachan 2:22.

  •   “dharti ke kone-kone se [parmeshvar] yuddhon ko mita deta hai. teer-kaman tod daalta hai, bhaale choor-choor kar deta hai, yuddh-rathon ko aag mein bhasm kar deta hai.”—bhajan 46:9.

 parmeshvar logon ko shaanti se jeena sikhayega aur is tarah woh hinsa ko jad se mitayega.

  •   “mere saare pavitra parvat par woh na kisi ko chot pahunchayenge, na tabahi machayenge, kyonki prithvi yahova ke gyan se aisi bhar jaayegi, jaise samundar paani se bhara rehta hai.”—yashayah 11:9.

  •   aaj bhi parmeshvar logon ko sikha raha hai ki woh “apni talvarein peetkar hal ke faal aur apne bhaalon ko hansiya” banayen. yaani woh hinsa karna chhod dein aur hathiyaron se door rahein.—mika 4:3.

 bible mein aisi duniya ka vaada kiya gaya hai, jahaan apradh nahin hoga aur log dar mein nahin jeeyenge. is baare mein aur jaanne ke liye yah lekh padhein, “khud ko jurm ka shikar hone se bachaiye!

 hinsa ko hamesha ke liye mita diya jaayega, is baare mein aur jaanne ke liye yah lekh padhein, “dharti par shaanti ab door nahin!