satark rahiye!
prithvi tabah hoti jaa rahi hai—is baare mein pavitra shastra mein kya likha hai?
“hum tezi se us taraf badh rahe hain jab mausam se bahot badi tabahi machegi. bade-bade shehar paani mein doob jaayenge. zabardast loo (garam havayen) chalegi. bhayankar aandhi-toofan aayenge. bahot bade paimane par paani ki kami hogi. ped-paudhon aur jaanvaron ki laakhon prajatiyaan lupt ho jaaayengi. yah sab kori kalpna ya badha-chadhakar kahi gayi baatein nahin hain balki yah vaigyanikon ka kehna hai. woh batate hain ki agar oorja istemal ki neetiyaan nahin badli gayin to yahi anjam hoga.”—yah baat sanyukt raashtra ke mahasachiv, antonio guterres ne kahi. unhonne yah baat mausam mein badlav par kai sarkaron ki charcha ke baad 4 aprail, 2022 ko di gayi report ko dhyan mein rakhte huye kahi thi.
“vaigyanik chetavni de rahe hain ki aanevale saalon mein badalte mausam ki vajah se [amareeka ke] lagbhag sabhi 423 national parkon mein bhayanak tabahi machegi. woh isliye ki taapman ke badhne ka seedha asar khaaskar in parkon par pad saktaa hai. baar-baar di jaanevali yah chetavni bible ki bhavishyvaniyon ki tarah hai: jagah-jagah aag lagegi, baadh aayegi, barfeeli chattanein pighleingi, samundar ka paani badh jaayega aur loo chalegi.”—“yellowstone national park mein baadh se afra-tafri—aanevali badi vipatti ki nishani,” the new york times akhbar, 15 joon, 2022.
kya paryavaran ki samasya kabhi khatm hogi? agar haan, to kaun ise khatm karega? dhyan deejiye ki is baare mein pavitra shastra bible mein kya likha hai.
paryavaran ki samasya ke baare mein pehale se bataya gaya tha
bible mein likha hai ki parmeshvar ‘prithvi ko tabah karnevalon ko khatm kar dega.’ (prakashitvakya 11:18) isse hamein teen baatein pata chalti hain:
1. insanon ke kaamon se prithvi ko kaafi had tak nuksan pahunchega.
2. prithvi ko jis tarah tabah kiya jaa raha hai, woh ek din band hoga.
3. is prithvi par paryavaran ki samasya koi insan nahin balki parmeshvar khatm karega.
hamari prithvi surakshit rahegi
bible mein likha hai ki “prithvi hamesha kaayam rehti hai.” (sabhopdeshak 1:4) is par hamesha log raheinge.
“nek log dharti ke vaaris honge aur us par hamesha ki zindagi jeeyenge.”—bhajan 37:29.
hamari prithvi fir se poori tarah achhi ho jaayegi, paryavaran ki koi samasya nahin hogi.
“veerana aur sookha maidan khushi se jhoom uthega, banjar zameen khushiyaan manayegi, kesar ke baag ki tarah khil uthegi.”—yashayah 35:1.