aanevala kal sunhara hoga!
kya aapko lagta hai ki aanevala kal achha hoga? kuch log maante hain ki aage sabkuch theek ho jaayega. aaj bhale hi unke jeevan mein bahot-si pareshaniyaan hain, fir bhi woh ummeed nahin khote. lekin kya sach mein aanevala kal achha hoga? zaroor hoga. bible mein likha hai ki aage chalkar hum sabko ek khushhal jeevan milega.
bible mein aanevale kal ke baare mein kya likha hai?
aaj logon ki zindagi mein badi-badi pareshaniyaan hain. bible mein likha hai ki ye pareshaniyaan hamesha tak nahin raheingi. bahot jald ye khatm ho jaayengi. bible mein likhi kuch baaton par gaur keejiye.
samasya: ghar nahin hai
bible mein likha hai: “woh ghar banakar usmein baseinge.”—yashayah 65:21.
aanevala kal: sabka apna-apna ghar hoga.
samasya: gareeb hain, naukri nahin hai
bible mein likha hai: “mere chune huye apni mehnat ke fal ka poora-poora maza leinge.”—yashayah 65:22.
aanevala kal: sabke paas aisa kaam hoga jisse unhein khushi milegi.
samasya: anyay
bible mein likha hai: “haakim nyay se shaasan kareinge.”—yashayah 32:1.
aanevala kal: jaat-paat ya ameeri-gareebee ko lekar kisi ke saath anyay nahin hoga. sabko barabar hak milega.
samasya: khaana nahin milta
bible mein likha hai: “dharti par bahotayat mein anaj hoga, pahadon ki chotiyon par anaj ki bharmar hogi.”—bhajan 72:16.
aanevala kal: sabko achha khaana milega. khaane-peene ki koi kami nahin hogi. kisi ko bhi bhookhe pet nahin sona padega.
samasya: jurm aur khoon-kharaba
bible mein likha hai: “har koi apni angooron ki bel aur apne anjeer ke ped tale baithega aur koi use nahin darayega.”—mika 4:4.
aanevala kal: logon ko kisi baat ka dar nahin hoga, kyonki bure log honge hi nahin. sirf “nek log dharti ke vaaris honge.”—bhajan 37:10, 29.
samasya: yuddh
bible mein likha hai: “ek desh doosre desh par fir talvar nahin chalayega aur na log fir kabhi yuddh karna seekheinge.”—yashayah 2:4.
aanevala kal: duniya mein chaaron taraf shaanti hogi. (bhajan 72:7) yuddh nahin hoga, to koi maara nahin jaayega aur apnon ko khone ka gam nahin hoga. kisi ko yuddh ke dar se apna ilaka chhodkar kahin bhatakna nahin padega.
samasya: beemari
bible mein likha hai: “desh ka koi nivasi na kahega, ‘main beemar hoon.’”—yashayah 33:24.
aanevala kal: koi bhi apang ya beemar nahin hoga. (yashayah 35:5, 6) bible mein yah bhi likha hai ki ‘maut nahin rahegi.’—prakashitvakya 21:4.
samasya: prithvi aur uske vaatavran ko nuksan ho raha hai
bible mein likha hai: “veerana aur sookha maidan khushi se jhoom uthega, banjar zameen khushiyaan manayegi, kesar ke baag ki tarah khil uthegi.”—yashayah 35:1.
aanevala kal: poori dharti khoobsoorat baag ki tarah ban jaayegi aur sab log khushi se raheinge. shuroo mein jab ishvar ne dharti banayi, to usne yahi chaha tha.—utpatti 2:15; yashayah 45:18.
bible mein jo likha hai kya use hum sach maan sakte hain?
shaayad aap sochein ki bible mein aanevale kal ke baare mein jo bhi likha hai woh bas ek sapna hai. lekin hum aapko badhava dena chahte hain ki is baare mein aap aur jaanne ki koshish karein. kyon? kyonki bible mein jo bhi likha hai woh ishvar ne likhvaya hai. ishvar ke vaadon aur insanon ke vaadon mein fark hai. aaiye dekhein ki hum ishvar ke vaadon ko kyon sach maan sakte hain.
ishvar bharosemand hai. bible mein likha hai ki ishvar “jhooth nahin bol sakta.” (titus 1:2) aur sirf vahi theek-theek bata sakta hai ki aanevala kal kaisa hoga. (yashayah 46:10) bible mein is baat ke kai saboot hain ki ishvar aage ke baare mein jo bhi batata hai woh sach hota hai. zyada jaankari ke liye hum kyon yakeen kar sakte hain ki bible parmeshvar ki taraf se hai? video dekhiye.
ishvar ke paas hamari pareshaniyaan door karne ki taakat hai. bible mein likha hai ki ishvar ‘jo bhi chahta hai woh kar’ sakta hai. (bhajan 135:5, 6) iska matlab hai ki ishvar ko apne vaade poora karne se koi nahin rok sakta. aur ishvar chahta bhi hai ki woh hamari takleefein door kare, kyonki woh hamse pyar karta hai.—yuhanna 3:16.
ab aapke man mein saval uth sakta hai, ‘agar ishvar hamari takleefein door karna chahta hai aur uske paas taakat bhi hai, to fir woh kuch karta kyon nahin? hamein itni takleefein kyon jhelni padti hain?’ javab ke liye parmeshvar ne dukh-takleefein kyon rehne di hain? naam ka video dekhiye.
yah sab kaise hoga?
ishvar apne vaade poora karne ke liye apni ek sarkar yaani raaj laayega. yah sarkar swarg se dharti par hukoomat karegi. ishvar ne yeeshu maseeh ko is raaj ka raja banaya hai. usne yeeshu ko dharti ki dekhrekh karne aur logon ki pareshaniyaan door karne ki shakti di hai. bahot pehle jab yeeshu insan bankar dharti par aaya tha, to usne kai logon ki takleefein door ki thi. usne beemaron ke theek kiya, bhookhe logon ko khaana khilaya, aandhi-toofan ko shaant kiya, yahaan tak ki mare huon ko zinda kiya. (markus 4:39; 6:41-44; luka 4:40; yuhanna 11:43, 44) is tarah usne dikhaya ki bhavishya mein jab woh raja banega aur dharti par ishvar ka raaj hoga, to woh kya-kya karega.
ishvar ke raaj se aapko kya-kya khushiyaan mileingi, is baare mein jaanne ke liye parmeshvar ka raaj kya hai? naam ka video dekhiye.
yah sab kab hoga?
bahot jald! hum kaise yakeen kar sakte hain? bible mein likha hai ki duniya mein kuch aisi ghatnayen hongi jinhein dekhkar hum jaan sakte hain ki ishvar dharti par raaj shuroo karnevala hai. (luka 21:10, 11) aur aaj duniya mein vahi ghatnayen ho rahi hain.
zyada jaanne ke liye “yah raaj dharti par kab hukoomat karega?” lekh padhiye.
bhavishya mein jo hoga woh jaankar aaj aapko kaise himmat mil sakti hai?
bible mein likha hai ki ek achhe bhavishya ki aasha “zindagi ke liye ek langar” ki tarah hai. (ibraniyon 6:19) ek langar toofan mein jahaz ko sambhale rakhta hai. usi tarah jab hamare paas yah aasha hai ki aage chalkar hamein ek badhiya zindagi milegi, to yah aasha aaj hamein zindagi ki pareshaniyon ko jhelne ki himmat de sakti hai. ek achhe bhavishya ki aasha hone ki vajah se hum mushkilon ke samay bahot zyada chinta nahin kareinge, sahi-sahi soch paayenge aur yahaan tak ki beemar hone se bacheinge.—1 thisslunikiyon 5:8.