satark rahiye!
insanon par aaya sharnarthi sankat—laakhon log bhaag rahe ukraine se
24 farvari, 2022 ko roos ki sena ne ukraine par hamla kar diya, jis vajah se insanon par ek bhaari keher toot pada hai, laakhon logon ki jaan khatre mein hai. aam naagrikon ko apna desh ya shehar chhodkar bhaagna pad raha hai. *
“chaaron taraf bambari ho rahi thi. woh manzar bahot hi bhayanak tha. jab hamein pata chala ki shehar ko khaali karne ke liye train se logon ko doosri jagah bheja jaa raha hai, to hamne bhi jaane ka faisla kar liya. har vyakti ko sirf ek hi bag le jaana tha. apni poori zindagi ek hi bag mein sametna hamare liye bahot mushkil tha. hum sirf kuch zaroori kaagzat, davaiyaan, paani aur khaane ki kuch cheezen le paaye. baaki sab hamein chhodna pada. hum kisi tarah bachte-bachate railway station pahunche.”—ukraine ke kharkiv shehar ki rehnevali nataliia.
“hamein nahin laga tha ki yuddh hoga. par fir hamare shehar ke kuch ilakon mein bam visfot hone laga. yah itna zabardast tha ki mere ghar ki khidkiyaan khadkhadane lagin. tabhi mainne desh chhodne ka faisla kar liya. agle din subah 8 baje mainne kuch zaroori saaman liya aur train pakadkar laviv chali gayi. fir vahaan se mainne poland ke liye ek bus pakdi.”—ukraine ke kharkiv shehar ki rehnevali naadiya.
is lekh mein in savalon ke javab hain:
sharnarthiyon ke taur par bhaagne ki asli vajah kya hai?
ukraine se logon ko isliye bhaagna pad raha hai kyonki roos ki sena ne vahaan hamla kar diya hai. lekin bible se pata chalta hai ki is samasya ki asli vajah kuch aur hi hain:
duniya ki sarkarein logon ki zaroortein poori karne mein naakam rahi hain. woh aksar apni taakat ka naajayaz faayda uthakar doosron ko satati hain aur un par zulm karti hain.—sabhopdeshak 4:1; 8:9.
shaitan, jise bible mein “is duniya ka raja” kaha gaya hai, insanon ko bure kaam karne ke liye uksata hai. usne aisa karne mein koi kasar nahin chhodi. isliye bible ki yah baat kitni sahi hai ki “saari duniya shaitan ke kabze mein padi hui hai.”—yuhanna 14:30; 1 yuhanna 5:19.
sadiyon se insanon ko ek-ke-baad-ek kai vipattiyon ya aapdaon ka saamna karna pad raha hai. oopar se aaj hum us daur mein ji rahe hain jiske baare mein bible mein pehle se kaha gaya tha: “aakhiri dinon mein sankaton se bhara aisa vakt aayega jiska saamna karna mushkil hoga.” (2 timuthiyus 3:1) yahi nahin, bible mein likha hai ki in dinon mein yuddh honge, prakritik vipattiyaan aaayengi, akaal padega aur mahamariyaan faileingi. ye aisi museebatein hain jo kai baar logon ko apna shehar ya desh chhodne par majboor kar deti hain.—luka 21:10, 11.
sharnarthi kis par aas laga sakte hain?
bible mein bataya gaya hai ki hamara srishtikarta yahova * aisa parmeshvar hai jo logon se pyar karta hai aur unki takleefein samajhta hai. use sharnarthiyon aur un logon ki bhi bahot fikra hai, jinhein majbooran apna ghar-baar chhodkar bhaagna padta hai. (vyavasthavivran 10:18) usne vaada kiya hai ki woh apni sarkar ke zariye aisi har samasya mita dega jiski vajah se logon ko apna ghar-baar chhodna padta hai. yah sarkar swarg mein kaayam hai aur bible mein ise parmeshvar ka raaj kaha gaya hai. yah raaj sabhi insani sarkaron ko mita dega aur fir poori dharti par usi ka shaasan hoga. (daaniyel 2:44; matti 6:10) yahova apne is raaj ke zariye shaitan ka bhi naash kar dega. (romiyon 16:20) jab parmeshvar ka raaj dharti par shaasan karega to deshon ko baantnevali sarhadein nahin hongi. sabhi insan ek parivar jaise honge. fir kabhi kisi ko apna ghar-baar chhodkar nahin bhaagna padega, kyonki bible mein likha hai, “har koi apni angooron ki bel aur apne anjeer ke ped tale baithega aur koi use nahin darayega, kyonki yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.”—mika 4:4.
aaj insanon par jo sharnarthi sankat toot pada hai, use parmeshvar ka raaj hi door kar sakta hai. woh ise jad se khatm kar dega. kaise? aaj insanon ko jin kaarnon se sharnarthi banna padta hai, yahova apne raaj ke zariye unhein hamesha ke liye khatm kar dega. jaise,
yuddh: ‘yahova yuddhon ko mita dega.’ (bhajan 46:9) parmeshvar yah kaise karega, yah jaanne ke liye “aanevala kal sunhara hoga!” lekh padhein.
atyachar aur zulm: “[yahova] unhein atyachar aur zulm se chhudayega.” (bhajan 72:14) jin logon ke andar nafrat koot-kootkar bhari hui hai, woh khud ko kaise badal sakte hain, yah jaanne ke liye “nafrat ko pyar mein kaise badlein?” shrinkhla lekh padhein.
gareebi: “[yahova] duhai denevale gareebon ko bachayega.” (bhajan 72:12) parmeshvar gareebi ko kaise jad se khatm karega, yah jaanne ke liye aage bataye lekh padhein: “kya gareebi ko hamesha ke liye mitaya jaa sakta hai?” aur “kya kabhi aisi duniya hogi jahaan ameeri-gareebi na ho?”
akaal: “dharti par bahotayat mein anaj hoga.” (bhajan 72:16) parmeshvar jald hi aisa vakt laanevala hai, jab sabke paas bharpoor khaana hoga. woh yah kaise karega, yah jaanne ke liye “kya kabhi aisa hoga jab koi bhookha na rahega?” lekh padhein.
kya aaj bible se sharnarthiyon ko koi madad mil sakti hai?
zaroor. bible se sharnarthiyon ko na sirf ek sunhare bhavishya ki aasha milti hai, balki isse aaj bhi unhein madad mil sakti hai. kaise? ismein jo salah di gayi hai use maankar woh aaj apni samasyaon ka saamna kar sakte hain.
bible ki salah: “naadan har baat par aankh moondkar yakeen karta hai, lekin hoshiyar insan har kadam soch-samajhkar uthata hai.”—neetivachan 14:15.
iska kya matlab hai? pehle se sochkar rakhiye ki aapke saamne kaun-se khatre aa sakte hain aur unse bachne ke liye aap kya kar sakte hain. jab aap doosri jagah jaate hain to shaayad aap poori tarah se surakshit na hon aur aapko us ilake ke baare mein poori jaankari na ho. isliye aise logon se khabardar rahiye jo aapki majboori ka galat faayda utha sakte hain.
bible ki salah: “agar hamare paas khaane aur pehanne ko hai, to hamein usi mein santosh karna chahiye.”—1 timuthiyus 6:8.
iska kya matlab hai? sukh-suvidha ki cheezon ke baare mein bahot zyada mat sochiye. aapko jo zaroori cheezen mil rahi hain, unhin mein agar aap santusht honge to aap khush raheinge.
bible ki salah: “jo kuch tum chahte ho ki log tumhare saath karein, tum bhi unke saath vaisa hi karo.”—matti 7:12.
iska kya matlab hai? nayi jagah par sabra se kaam leejiye aur sabke saath pyar se pesh aaiye. aisa karne se log bhi aapke saath pyar se pesh aayenge aur aapki izzat kareinge.
bible ki salah: “kisi ko bhi burai ka badla burai se mat do.”—romiyon 12:17.
iska kya matlab hai? agar aapke saath bura bartav kiya jaaye, to gusse mein aakaar badla lene ki koshish mat keejiye. badla lene se maamla aur bigad sakta hai.
bible ki salah: “jo mujhe taakat deta hai, usi se mujhe sab baaton ke liye shakti milti hai.”—filippiyon 4:13.
iska kya matlab hai? ishvar par bharosa rakhiye aur usse prarthna keejiye. aap jin haalaat se guzar rahe hain, woh aapko unse ladne ki taakat aur himmat de sakta hai.
bible ki salah: “kisi bhi baat ko lekar chinta mat karo, magar har baat ke baare mein prarthna aur minnaton aur dhanyavad ke saath parmeshvar se bintiyaan karo. tab parmeshvar ki woh shaanti jo samajh se pare hai, . . . tumhare dil ki aur tumhare dimag ke sochne ki taakat ki hifazat karegi.”—filippiyon 4:6, 7.
iska kya matlab hai? aap chahe kitne bhi mushkil haalaat mein kyon na hon, parmeshvar se binti keejiye ki woh aapko man ki shaanti de. is baare mein aur jaanne ke liye “prarthna karne se aapko kya faayda hoga” lekh padhein.
^ hamle ke ek din baad sanyukt raashtra sharnarthi agency (UNHCR) ne kaha ki logon ka ukraine chhodkar bhaagna sabse badi aapat sthiti hai. sirf 12 dinon mein 20 laakh se zyada log ukraine se bhaagkar doosre deshon mein chale gaye hain. aur kareeb 10 laakh logon ko ukraine mein hi ek jagah se doosri jagah jaana pada hai.
^ yahova, parmeshvar ka naam hai. (bhajan 83:18) “yahova kaun hai?” lekh padhein.