is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

parichay

parichay

12 sujhav aazmayen, apne parivar ko sukhi banayen

aksar sunne mein aata hai ki falaan vyakti ne yah galti ki, jis vajah se uski shaadi toot gayi ya uska parivar bikhar gaya.

  • san 2011 aur 2015 ke beech bhaarat ke kuch shehron mein talak ki arziyaan dugni ho gayin, kuch shehron mein to teen guna badh gayin.

  • kuch jaankar maata-pitaon ko salah dete hain ki woh hardam bachchon ki taareef karein, to kuch kehte hain ki woh sakhti bartein. maata-pita uljhan mein rehte hain ki unhein kya karna chahiye.

  • bachche javani paar kar lete hain, lekin unhonne zindagi mein kaamyab hone ke liye koi hunar nahin seekha hota hai.

jaaniye ki aap kya kar sakte hain, taaki aapka parivar sukhi rahe . . .

  • aap apni shaadi ka bandhan mazboot kar sakte hain, taaki yah atoot rahe aur aapke jeevan mein khushiyaan laaye.

  • maata-pita apne bachchon ko pyar se sudhar sakte hain.

  • naujavan aise hunar seekh sakte hain, jo saari zindagi unke kaam aayenge.

aap yah kaise kar sakte hain? sajag hoiye! ke is ank mein aise 12 sujhav diye gaye hain, jinhein aazmane se aapka parivar sukhi ho sakta hai.