is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

bhavishyavani 3. beemari

bhavishyavani 3. beemari

bhavishyavani 3. beemari

“mahamariyaan faileingi.”—luka 21:11.

● bonzali ek swasthya adhikari tha. woh afreeka ke ek aise desh mein rehta tha jahaan grih-yuddh chal raha tha, oopar se vahaan marburg virus bhi fail gaya tha. vahaan ek khadan mein kaam karnevalon ko bhi yah virus ho gaya tha, isliye bonzali unka ilaj kar raha tha. usne bade shehar ke adhikariyon se madad maangi thi, lekin use koi javab nahin mila. chaar maheene baad jaakar unhonne kuch kiya, lekin tab tak haalat bahot bigad chuke the. khud bonzali ko hi yah virus lag chuka tha aur uski maut ho gayi thi.

aankde kya dikhate hain? pneumonia, dast, aids, tb aur malaria jaisi beemariyon ki vajah se har saal kai logon ki jaan chali jaati hai. san 2004 ki baat karein, to sirf in paanch beemariyon ki vajah se ek karod saat laakh logon ki jaan chali gayi, yaani har teen second mein ek vyakti ki maut hui.

log kya kehte hain? ‘aabadi badh rahi hai, to zahir-si baat hai ki aur zyada log beemar padeinge.’

kya yah baat sach hai? haalaanki aabadi badh rahi hai, lekin saath hi ilaj ke naye-naye tareeke bhi nikal aaye hain. to us hisab se beemariyaan kam honi chaahiye. lekin beemariyaan to badhti hi jaa rahi hain.

aapko kya lagta hai? jaise bible mein pehle se bataya gaya tha, kya aaj logon ko badi-badi beemariyaan ho rahi hain?

bhookamp, akaal aur beemariyon ki vajah se laakhon logon ki zindagi tabah ho gayi hai. lekin ek aur badi samasya hai jisse log joojh rahe hain. jin logon ke beech ek vyakti surakshit mahsoos karta hai, woh hi uske saath durvyavhar karte hain. agle lekh mein hum dekheinge ki bible mein is baare mein kya bataya gaya hai.

[page par bade aksharon mein lekh ki khaas baat]

doctor michael osterholm ne kaha, “jab aapko koi badi beemari lag jaati hai, to yah utna hi khaufanak hota hai jitna ki ek jangali jaanvar ka vaar. lekin jab aap dekhte hain ki aapke chaaron taraf log beemari se tadap rahe hain, to use dekhna aur bhi mushkil hota hai.”

[chitra ka shrey]

© William Daniels/​Panos Pictures