bhavishyavani 4. parivar mein pyar ki kami
bhavishyavani 4. parivar mein pyar ki kami
‘log lagav nahin rakheinge.’—2 timuthiyus 3:1-3.
● chris united kingdom ke aise sanghathan se juda hai, jo gharelu hinsa ke shikar logon ki madad karta hai. woh batata hai, “mujhe yaad hai ki ek din ek aurat mere paas aayi. uske pati ne use itni buri tarah peeta tha ki use pehchanna hi mushkil ho gaya tha. kuch aurton ke saath itna bura vyavahar kiya jaata hai ki woh doosron se nazrein milakar bhi baat nahin kar paatin.”
aankde kya dikhate hain? afreeka ke ek desh mein ek survey liya gaya. usmein pata lagaya gaya ki lagbhag 3 mein se 1 aurat ka bachpan mein yaun shoshan kiya gaya. usi desh mein ek aur survey liya gaya jisse pata chala ki 33% aadmiyon ko lagta hai ki apni patni par haath uthana galat nahin hai. lekin sirf aurton ke saath hi nahin, aadmiyon ke saath bhi durvyavhar kiya jaata hai. jaise kanada mein 10 mein se 3 aadmi aise hain jinki patniyon ne unke saath durvyavhar kiya.
log kya kehte hain? ‘gharelu hinsa koi nayi baat nahin hai, woh to pehle bhi hoti thi. aaj bas log is baare mein khulkar baat karne lage hain.’
kya yah baat sach hai? ek baat to hai ki aaj log gharelu hinsa ke baare mein khulkar baat kar rahe hain. par kya is vajah se gharelu hinsa kam ho gayi hai? nahin. sach to yah hai ki parivar mein logon ke beech pyar kam ho gaya hai. is vajah se gharelu hinsa ke maamle badhte jaa rahe hain.
aapko kya lagta hai? kya aapko lagta hai ki parivar ke logon ke beech pyar kam ho raha hai jaisa bible mein bataya gaya hai?
ab hum bible se jo paanchvin bhavishyavani padheinge, woh dharti ke baare mein hai. aaiye dekhte hain ki woh kya hai.
[page par bade aksharon mein lekh ki khaas baat]
wales ghareloo durvyavhar helpline ki pravaktta ne kaha, “aksar log durvyavhar ke maamle pulis mein darz nahin karvate. anuman lagaya gaya hai ki jab ek aurat ka pati kareeb 35 baar uske saath durvyavhar kar chuka ho, tab jaakar woh pulis ko batati hai.”