bhavishyavani 5. prithvi ki tabahi
bhavishyavani 5. prithvi ki tabahi
‘parmeshvar prithvi ko tabah karnevalon ko khatm kar dega.’—prakashitvakya 11:18.
● pirri naam ka ek aadmi nigeria ke kpor gaanv mein rehta hai. woh taadi nikaalne ka kaam karta hai. lekin jab se niger delta mein tel ka risav hua hai, tab se uske liye rozee-roti kamana bahot mushkil ho gaya hai. woh kehta hai, “paani dooshit ho gaya hai, machhliyaan mar rahi hain aur hamari tvacha bhi kharab ho rahi hai. mujhe samajh mein nahin aa raha ki main apne parivar ka pet kaise paaloon.”
aankde kya dikhate hain? kuch jaankaron ka maanna hai ki har saal samundar mein kareeb 65 laakh ton kooda feinka jaata hai. ismein se aadha to plastic hota hai jise galne mein saikdon saal lag jaate hain. dharti ko dooshit karne ke alava, insan prakriti mein paayi jaanevali cheezon ka bahot zyada istemal kar raha hai. is vajah se inki maatra tezee se ghatti jaa rahi hai. jaankaron ka kehna hai ki insan ek saal mein jitni cheezon ka istemal karta hai, utna dharti ko banane mein kareeb ek saal paanch maheene lag jaate hain. australia ke ek jaane-maane akhbar mein likha tha ki agar aabadi isi tarah badhti gayi aur isi tarah cheezon ka istemal hota gaya, to guzara chalana mushkil ho jaayega aur 2035 tak hamein ek aur dharti ki zaroorat padegi.
log kya kehte hain? ‘aaj technology bahot badh gayi hai, isliye insan kisi-na-kisi tarah haalaat theek kar lega.’
kya yah baat sach hai? bahot-se log pradooshan rokne ki koshish kar rahe hain, lekin pradooshan din-b-din badhta hi jaa raha hai.
aapko kya lagta hai? kya ishvar hi is dharti ko bacha sakta hai?
in paanch bhavishyavaniyon ke alava, bible mein yah bhi bataya gaya tha ki aakhiri dinon mein kuch achhi baatein hongi. aaiye ek aur bhavishyavani par dhyan dein.
[page par bade aksharon mein lekh ki khaas baat]
erin tambar amreeka ke samudri tat ke paas rehti hain. san 2010 mein mexico ki khaadi mein huye tel ke risav ke baad unhonne kaha, “mera ghar ek bahot hi sundar jagah par tha, lekin ab sab satyanash ho gaya hai.”
[page par box]
kya ishvar ka dosh hai?
bible mein pehle se hi likha tha ki hamare samay mein haalaat bahot kharab ho jaayenge, to kya iska matlab hai ki ishvar hamein dukh deta hai? is saval ka javab jaanne ke liye bible hamein kya sikhati hai? kitab ka adhyay 11 padhiye. ise yahova ke sakshiyon ne prakashit kiya hai.
[chitra ka shrey]
U.S. Coast Guard photo