is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

mushkilein hamesha tak nahin raheingi

mushkilein hamesha tak nahin raheingi

mushkilein hamesha tak nahin raheingi

“aakhiri dinon mein sankaton se bhara aisa vakt aayega jiska saamna karna mushkil hoga.”​—2 timuthiyus 3:1.

kya aapne kabhi kuch aisa hote huye dekha hai?

● ek khatarnak beemari ne bahot-se logon ki jaan le li.

● akaal ki vajah se saikdon logon ki maut ho gayi.

● ek bhookamp ne hazaron logon ki jaan le li aur bahot-se logon ko beghar kar diya.

is patrika mein hum is tarah ki ghatnaon se jude kuch aankde dekheinge. hum yah bhi dekheinge ki bible mein pehle se hi bataya gaya tha ki hamare dinon mein is tarah ki ghatnayen hongi. bible mein is vakt ko ‘aakhiri din’ kaha gaya hai.

hum aapko yah nahin batana chahte ki aaj is duniya mein kitni dukh-takleefein hain. aap yah pehle se hi jaante hain. iske bajay hum aapko yah batana chahte hain ki bahot jald ye samasyayen khatm ho jaayengi. is patrika mein bible ki chhe bhavishyavaniyon ke baare mein bataya gaya hai, jo aaj poori ho rahi hain. inse pata chalta hai ki bahot jald ye ‘aakhiri din’ khatm ho jaayenge aur fir ek achha samay aayega. kai log is baat ko nahin maante, lekin hum dekheinge ki hum kyon yakeen kar sakte hain ki ek achha vakt zaroor aayega.