naujavanon ke saval
chintaon ka saamna kaise karoon?
kis vajah se aapko chinta hone lagti hai?
kya aapko bhi neeche bataye logon ke jaisa hi lagta hai?
“main har vakt sochta rehta hoon, ‘kahin kuch ho gaya, to . . . ?’ ‘kahin hamari car ka accident ho gaya to . . . ?’ ‘agar hamara havai jahaz gir gaya to . . . ?’ mujhe un baaton ki chinta rehti hai, jinke baare mein doosre log shaayad hi kabhi sochein.”—charles.
“mujhe har vakt chinta rehti hai. mujhe aisa lagta hai ki main mehnat to bahot karti hoon, lekin kuch nateeja nahin nikalta. yah bilkul vaisa hi hai, jaise ek hamster (ek tarah ka chooha) pahiye par ghoomta to rehta hai, magar woh kahin pahunchta nahin!”—ain.
“jab log mujhse kehte hain, ‘tumhare to bade maze hain kyonki tum ab bhi school mein ho,’ tab main khud se kehta hoon, ‘unhein nahin pata ki mujhe school mein kitna tanav rehta hai!’”—daniel.
‘pressure cooker ki tarah mere dimag mein kuch-na-kuch chalta hi rehta hai. main hamesha yah chinta karti rehti hoon ki pata nahin aage kya hoga ya main apna kaam kaise kar paaungi.’—lora.
jeevan ki sachchai: bible mein likha hai ki hum ‘sankaton se bhare aise vakt’ mein ji rahe hain, “jiska saamna karna mushkil” hai. (2 timuthiyus 3:1) is vajah se jitni chinta badon ko hoti hai, utni hi bachchon ko bhi ho sakti hai.
kya chinta karne se hamesha nuksan hi hota hai?
aisa nahin hai. darasal bible mein likha hai ki jab koi apnon ke liye chinta karta hai ki woh khush rahein, to uska chinta karna sahi hai.—1 kurinthiyon 7:32-34; 2 kurinthiyon 11:28.
yah bhi dhyan rakhiye ki chinta hone se ek vyakti sahi kaam bhi kar sakta hai. maan leejiye, agle hafte school mein aapki pareeksha hai. is baat ki chinta hone se shaayad aap is hafte jamkar padhai karein aur is vajah se aapke achhe number aayen.
kuch had tak chinta karne se aap khatre mein padne se bhi bach sakte hain. solah saal ki serena ka kehna hai ki agar aap is baat ko lekar chinta mein hain ki aap kisi galat raah par chal pade hain aur aapka vivek aapko chetavni de raha hai ki aapko kuch badlav karne hain, to yah chinta galat nahin hogi.—yakub 5:14 se tulna keejiye.
jeevan ki sachchai: jab chinta karne se aap sahi kaam karte hain, tab chinta karna faaydemand hota hai.
lekin agar aap is had tak chinta karte hain ki aap theek-se soch hi nahin paate maano aap kisi bhoolbhulaiya mein fans gaye hon, to kya aisi chinta sahi hogi?
udahran: 19 saal ka richard kehta hai, “jab main yah sochta hoon ki pata nahin ye mushkil haalaat aur bhi kitne mushkil ho sakte hain, to mere dimag mein bahot kuch chalne lagta hai. fir us baare mein soch-sochkar mujhe bahot chinta hone lagti hai.”
bible mein likha hai ki “shaant man se shareer bhala-changa rehta hai.” (neetivachan 14:30) vahin chinta karne se bahot-si takleefein ho sakti hain, jaise, sirdard, chakkar aana, pet kharab hona aur zor-zor se dil dhadakna.
agar chinta karne se aapko faayda hone ke bajay nuksan ho raha hai, to aap kya kareinge?
aap kya kar sakte hain?
khud se poochhiye ki kya aapka is tarah chinta karna sahi hai. ‘apni zimmedariyon ke baare mein chinta karna ek baat hai, magar had-se-zyada chinta karna doosri baat hai. yah aisa hai jaise aap us kursi par baithe hain, jis par aap baithe-baithe hil to sakte hain, par kahin jaa nahin sakte.’—katherine.
bible mein likha hai: “tummein aisa kaun hai jo chinta karke ek pal ke liye bhi apni zindagi badha sake?”—matti 6:27.
iska kya matlab hai: agar chinta karne se koi hal nahin nikalta, to isse aapki pareshani badh jaayegi ya yahi aapki ek nayi pareshani ban jaayegi.
ek vakt par ek hi kaam keejiye. “achhi tarah sochiye. aap jis baare mein chinta kar rahe hain, kya woh agle din, agle maheene, agle saal ya agle paanch saal baad maayne rakhega?”—anthony.
bible mein likha hai: “agle din ki chinta kabhi na karna kyonki agle din ki apni hi chintayen hongi. aaj ke liye aaj ki pareshaniyaan kaafi hain.”—matti 6:34.
iska kya matlab hai: kal ki chinta karna buddhimani nahin hogi, kyonki ho sakta hai ki unmein se kuch baatein kabhi hon hi na.
jis haalaat par aapka koi zor nahin, usi mein jeena seekhiye. “kisi haalaat se nipatne ke liye aapse jitna ho sake, woh keejiye. lekin yah bhi maankar chaliye ki sabhi baatein aapke bas mein nahin hain.”—robert.
bible mein likha hai: ‘na to sabse tez daudnevala daud mein hamesha jeetta hai, na hi gyaani hamesha kaamyab hota hai. kyonki museebat ki ghadi kisi par bhi aa sakti hai aur haadsa kisi ke saath bhi ho sakta hai.’—sabhopdeshak 9:11.
iska kya matlab hai: kabhi-kabhi aisa hota hai ki aap apne haalaat nahin badal sakte, lekin unke baare mein aap apni soch badal sakte hain.
apne haalaat ko sahi nazar se dekhiye. ‘mujhe lagta hai ki mujhe kisi maamle ki chhoti-chhoti baaton par zyada dhyan dene ke bajay pehle use achhi tarah samajhna chahiye. mujhe tay karna chahiye ki kaun-si baatein zyada maayne rakhti hain aur fir unhin mein apni taakat lagani chahiye.’—alexis.
bible mein likha hai: ‘pehchaniye ki zyada ahmiyat rakhnevali baatein kya hai.’—filippiyon 1:10.
iska kya matlab hai: jo log har chhoti baat ke baare mein zyada nahin sochte, unhein chintayen kam hoti hain.
kisi se baat keejiye. “jab main chhathi class mein thi, tab school se ghar aane par mujhe bahot chinta hoti thi aur main agle din ke baare mein sochkar ghabra jaati thi. mujhe apne mammi-paapa par poora bharosa tha. unse mujhe bahot madad mili. main bejhijhak apni pareshani unhein batati thi. woh bade dhyan se sunte the. is vajah se main agle din ka saamna kar paati thi.”—marilyn.
bible mein likha hai: “chintaon ke bojh se man dab jaata hai, lekin achhi baat se man khush ho jaata hai.”—neetivachan 12:25.
iska kya matlab hai: mammi-paapa ya dost se baat karne par shaayad aapko koi sujhav mile, jisse aap apni chintayen kam kar paayen.
prarthna keejiye. ‘prarthna karne se mujhe kaafi madad milti hai, khaaskar bol-bolkar prarthna karne se. isse andar-hi-andar ghutne ke bajay main apni pareshani ko shabdon mein bayan kar paati hoon. iske alava, main samajh paati hoon ki yahova ke liye meri chintayen door karna koi badi baat nahin hai.’—laura.
bible mein likha hai: “apni saari chintaon ka bojh [parmeshvar] par daal do kyonki use tumhari parvah hai.”—1 patras 5:7.
iska kya matlab hai: prarthna karne ka yah matlab nahin ki is dauran aap kisi samasya ke baare mein sochte hain aur aapko khud hi uska hal mil jaaye. yah asal mein parmeshvar yahova ke saath hamari baatcheet hai. woh hamse vaada karta hai, “ghabra mat kyonki main tera parmeshvar hoon. main teri himmat bandhaunga, teri madad karoonga.”—yashayah 41:10.