naujavanon ke saval
kya jaadoo-tone mein koi burai hai?
aap kya sochte hain?
kya bhavishya jaanne ke liye taantrikon se salah lene mein, mare huye logon se baat karne mein ya apna raashifal dekhne mein koi burai hai?
kya jaadui kahaniyaan sach hoti hain ya yah sirf mangadhant baate hain? kya aisi baatein karna khatarnak ho sakta hai?
is lekh se aap jaan paayenge ki kyon jaadoo-tone ke kaam aapko mazedar lag sakte hain, lekin aapko kyon inse saavdhan rehna chahiye.
aapko kyon is baare mein jaanna chahiye?
aaj manoranjan mein badh-chadhkar jaadoo-tona dikhaya jaata hai. fir chahe woh filmein hon, tv kaaryakram, video-games ya kitabein hon. iska asar bahot se naujavanon par ho raha hai aur woh jyotish-vidya, jaadoo-tone aur tantra-mantra mein dilchaspi le rahe hain. par woh aisa kyon kar rahe hain? zara aage bataye kaarnon par dhyan deejiye.
jigyasa: woh jaanna chahte hain ki kya bhoot-pret aur dusht swargdoot sach mein hote hain?
chinta: woh jaanna chahte hain ki unka bhavishya kaisa hoga?
ichha: woh apne un azeezon se baat karna chahte hain jinki maut ho chuki hai.
shaayad ye kaaran apne-aap mein galat na hon. jaise, har koi apne bhavishya ke baare mein jaanna chahta hai aur hamein apne un azeezon ki yaad bhi aati hai jinki maut ho chuki hai. lekin hamein saavdhan rehna chahiye kyonki aisa karna khatarnak ho sakta hai.
aapko kyon isse saavdhan rehna chahiye?
bible saaf-saaf batati hai ki hamein jaadoo-tone se jude har kaam se door rehna chahiye. jaise, ismein likha hai,
“tummein aisa koi na ho jo... jyotishi ka kaam karta hai, jaadoo karta hai, shakun vicharta hai, tona-totka karta hai, mantra foonkkar kisi ko kaaboo mein karta hai, bhavishya batata hai, mare huon se sampark karne ka daava karta hai ya usse poochhtachh karta hai. jo koi aise kaam karta hai woh yahova ki nazar mein ghinauna hai.”—vyavasthavivran 18:10-12.
bible jaadoo-tone ko galat kyon batati hai?
bible sikhati hai ki jab kuch swargdooton ne parmeshvar ki baat nahin maani to woh uske dushman ban gaye. (utpatti 6:2; yahooda 6) inhin bure swargdooton ko bible dusht swargdoot kehti hai, jo aaj alag-alag tareekon se logon ko gumrah kar rahe hain. jaise, jyotishiyon ke zariye bhavishya jaanne ki koshish karna ya taantrikon ke zariye bhoot-preton se sampark karna. isliye jab bhi hum koi aisa kaam karte hain, to asal mein hum dusht swargdooton ke yaani parmeshvar ke dushmanon ke sampark mein aate hain.
jaadoo-tona is jhooth ko badhava deta hai ki insan khud apna bhavishya jaan sakta hai. lekin asal mein sirf parmeshvar hi bhavishya ke baare mein jaanta hai. woh kehta hai, “ant mein kya hoga yah main shuroo mein hi bata deta hoon aur jo baatein ab tak nahin huin, unhein bahot pehle se bata deta hoon.”—yashayah 46:10; yakub 4:13, 14.
jaadoo-tona is jhooth ko bhi badhava deta hai ki mare huye log hamse baat kar sakte hain jabki bible mein likha hai, “mare huye log kuch bhi nahin jaante... kabra mein na koi kaam hai na soch-vichar, na gyaan, na hi buddhi.”—sabhopdeshak 9:5, 10.
isliye yahova ke sakshi jaadoo-tone se juda koi kaam nahin karte. woh aisa manoranjan bhi nahin karte jismein aatmaon aur bhoot-preton ke baare mein dikhaya jaata hai. maariya naam ki ek ladki kehti hai, “main aisi koi film ya tv kaaryakram nahin dekhti jismein bhoot-preton ke baare mein ya unse judi kisi bhi cheez ke baare mein dikhaya jaata hai.” *
aap kya kar sakte hain?
jaadoo-tone se juda koi kaam ya manoranjan mat keejiye taaki aap saaf zameer ke saath yahova parmeshvar ki upasna kar sakein.—preshiton 24:16.
bible mein di pehli sadi ke maseehiyon ki achhi misal par chaliye. (preshiton 19:19, 20) agar aapke paas bhi jaadoo-tone se judi koi cheez hai to use nasht kar deejiye.
yaad rakhiye: jab bhi aap jaadoo-tone se juda manoranjan ya koi kaam nahin karte to aap dikhate hain ki aap yahova parmeshvar ke saath hain aur uska dil khush karna chahte hain.—neetivachan 27:11.
^ iska matlab yah nahin ki sabhi kaalpanik kahaniyaan jaadoo-tone ke baare mein hoti hain. lekin maseehi bible se apne zameer ko sikhate hain aur aise har kaam aur manoranjan se door rehte hain jismein jaadoo-tone dikhaya jaata hai.—2 kurinthiyon 6:17; ibraniyon 5:14.