naujavanon ke saval
main kya khaaun aur kya nahin?
aap jaante honge ki bina soche-samjhe kuch bhi khaane se aapki sehat kharab ho sakti hai. agar hum javani mein paushtik cheezen khaane ki aadat na daalein to shaayad bade hone par bhi un cheezen ko khaane ka hamara man na kare. isliye zaroori hai ki hum abhi se khaane-peene ki achhi aadat daalein.
khaane-peene ki achhi aadat ka kya matlab hai?
bible kehti hai ki hamein ‘sanyam baratnevala’ hona chahiye aur yahi baat hamare khaane-peene ki aadat par bhi laagoo hoti hai. (1 timuthiyus 3:11) yah siddhaant man mein rakhiye aur ye baatein bhi yaad rakhiye . . .
sahi khaane-peene mein sabkuch shaamil hai. sahi khaane-peene mein kareeb paanch tarah ki cheezen shaamil hain. ye hain, doodh se bani cheezen, protein, fal, sabziyaan aur anaj. kai log vazan ghatane ke liye in cheezon mein se kuch khaana band kar dete hain. iska unki sehat par bura asar hota hai, kyonki unke shareer ko saari paushtik cheezen nahin mil paatin.
ise aazmaiye: khaane-peene ki cheezon ke faayde jaanne ke liye ya to khojbeen keejiye ya apne doctor se baat keejiye. udahran ke liye:
carbohydrate se aapko taakat milegi. protein aapke shareer ko beemariyon se ladne ki taakat dega. isse shareer ke tissue (ootak) bante hain aur chot lagne par ghaav bhar jaate hain. sahi kism ka aur sahi maatra mein chikna bhojan khaane se aapko dil ki beemariyon ka khatra kam hoga aur aap taro-taaza mehsoos kareinge.
“meri hamesha yahi koshish rehti hai ki mere khaane mein har tarah ki cheezen shaamil hon. mujhe nahin lagta ki kabhi-kabhar kuch meetha ya fast food khaane mein koi burai hai. lekin koi khaane mein sirf yahi sab khaaye, to yah sahi nahin. isliye sanyam rakhna zaroori hai.”—brenda
sahi khaane-peene ka matlab hai, galat aadaton se bachna. jaise bhar-pet khaana na khaana ya thoons-thoons ke khaana ya fir hamesha had-se-zyada sakhti baratna.
ise aazmaiye: ek maheene tak aap kya khaa rahein hain, iski soochi banaiye. kya aap aksar oopar batayi galtiyaan kar baithte hain? sahi khaane-peene ki aadat daalne ke liye aapko kya ferbadal karne honge?
“main kuch din bahot zyada khaana khaati thi, aur aisa khaana jismein bahot-si calorie thi aur kuch din kam khaana khaati thi, jismein kam calorie thi. baad mein mainne faisla liya ki main calorie ginne ke bajay is baat ka dhyan rakhoongi ki main zyada khaana na khaaun aur pet bhar jaane ke baad khaana khaati na rahoon. bhale hi achhi aadat daalne mein kuch vakt laga lekin ab main khaane-peene ka khaas dhyan rakhti hoon.”—hailey
main yah aadat kaise barkarar rakh sakta hoon?
pehle se sochiye. bible kehti hai, “mehantee ki yojnayen zaroor safal hongi.” (neetivachan 21:5) khaane-peene ki achhi aadat daalne ke liye zaroori hai ki aap is baare mein thoda soch-vichar karein.
“achhi sehat ke liye kya khaana chahiye iske liye aapko taiyari karne ki zaroorat hai. aisa khaana ghar par pakana hota hai. iske liye shaayad zyada mehnat karni pade, par yah faaydemand hota hai aur isse aapke paise bhi bacheinge.”—thomas
achhi cheezen khaane ki aadat daaliye. bible kehti hai, “jo buddhi tujhe faayda pahunchati hai use sambhaalkar rakhna.” (neetivachan 3:21) buddhi se kaam lene se aap paushtik khaana khaane ke aise tareeke dhoondh nikaleinge jo aapke liye faaydemand hain.
“mainne har din ek galat cheez chhodkar, ek achhi cheez khaane ki aadat daali. jaise chocolate ke bajay main seb khaane lagi. dekhte-hi-dekhte main har din paushtik khaana khaane lagi.”—kia
khud se had-se-zyada ki ummeed mat keejiye. bible kehti hai, “magan hokar apna khaana khaa.” (sabhopdeshak 9:7) khaane ki achhi aadat daalne ka yah matlab nahin ki khaana khaane mein aapko maza nahin aana chahiye aur na hi iska yah matlab hai ki aap har nivale ka hisab rakhein. agar aapko apna vazan ghatana hai, to bhi yaad rakhiye ki aapka maksad sehatmand banna hai. isliye khud se had-se-zyada ki ummeed mat keejiye.
“haal hi mein mainne kareeb 14 kilo vazan ghataya aur is dauran mainne apne aapko na kabhi bhookha rakha aur na hi kisi cheez se poori tarah parhez kiya, fir chahe vo meetha hi kyon na ho. main jaanti thi ki is kaam mein zyada samay lagega aur mujhe khaane-peene ke baare mein apna nazariya badalna hai.”—melanie