naujavanon ke saval
laingik hamle ke baare mein mujhe kya pata hona chahiye?—bhaag 1: ehtiyat baratna
laingik hamla kise kehte hain?
haalaanki alag-alag deshon ke kaanoon ke mutabik is shabd ki alag-alag paribhasha hai, lekin aam taur par “laingik hamle” ka matlab hota hai, kisi ke na chahte huye bhi uske saath yaun sambandh rakhna aur kabhi-kabhi aisa zabardasti karna. ismein balatkar aur bachchon ya naujavanon ke saath laingik durvyavahar shaamil ho sakta hai. itna hi nahin, jab kisi ke saath uske apne hi parivar ka koi jan zabardasti karta hai ya doctor, teacher ya paadri jaisa koi use apni havas ka shikar banata hai to use bhi laingik hamla kehte hain. kuch log jo is tarah ke hamle ke shikar hote hain, fir chahe yah hamla shaareerik roop se ya ashleel baatein kehkar kiya gaya ho, unhein dhamkaya jaata hai ki agar unhonne kisi ko bataya to unki khair nahin.
ek sarve se pata chalta hai ki amreeka ki hi baat lein, to har saal kareeb 25 pratishat logon par laingik hamle kiye jaate hain. unmein se kareeb aadhe logon ki umra 12 se 18 ke beech hai.
aapko kya pata hona chahiye?
bible mein laingik hamle ki kadi ninda ki gayi hai. bible ek ghatna ke baare mein batati hai jo aaj se kareeb 4,000 saal pehle hui thi. do aadmi sadom shahar aaye the aur vahaan sex ke peechhe paagal bheed unka balatkar karna chahti thi. isse hamein pata chalta hai ki yahova ne us shahar ka naash kyon kiya tha. (utpatti 19:4-13) iske alava, kareeb 3,500 saal pehle moosa ko diye kaanoon mein parmeshvar ne israeliyon ko mana kiya tha ki woh apne ghar ke logon ke saath yaun-sambandh na rakhein. ismein yah bhi shaamil tha ki woh un par laingik hamle na karein.—laivyavyavastha 18:6.
zyadatar hamle jaan-pehchanvale karte hain. apne bachchon ke saath sex ke baare mein baat karna naam ki angrezee kitab batati hai, “balatkar ke teen maamlon mein se do aise hote hain jahaan peedit vyakti apne hamlavar ko jaante hain. woh koi ajnabi nahin hota jo achanak kahin se aa dhamakta hai.”
laingik hamle ladka-ladki donon ke saath hote hain. amreeka mein kareeb 10 pratishat laingik hamle ladkon par hote hain. laingik hamle ke khilaf ladnevale vahaan ke ek sanghathan (Rape, Abuse & Incest National Network, RAINN) ka kehna hai ki jo ladke is hamle ke shikar hote hain unmein “ek tarah ka dar baith jaata hai ki kahin is hamle se woh samlaingik na ban jaayen” ya “unhein lagta hai ki ab woh ‘naamard’ ban gaye hain.”
laingik hamle ki badhti vaardaton se hamein hairani nahin hoti. bible mein bhavishyavani ki gayi thi ki “aakhiri dinon” mein kai log “moh-mamta na rakhnevale,” “asanymi” aur “khoonkhar” honge. (2 timuthiyus 3:1-3) yah fitrat un logon mein saaf dikhayi deti hai jo apni havas poori karne ke liye doosron ka naajayaz faayda uthate hain.
laingik hamle ke peechhe peedit vyakti ki galti nahin hoti. yah kehna galat hoga ki laingik hamle ke shikar vyakti ke saath jo hota hai usmein usi ki galti hoti hai. sach to yah hai ki laingik hamla karnevala hi apni kartooton ke liye zimmedar hota hai. fir bhi aap kuch ehtiyat baratkar is khatre se bach sakte hain.
aap kya kar sakte hain?
taiyar rahiye. pehle se tay keejiye ki agar koi aap par sex ke liye dabav daalta hai to aap kya kareinge, fir chahe woh aapka boyfriend ya rishtedar hi kyon na ho. erin naam ki ek javan ladki sujhav deti hai ki agar aap aise kisi bhi haalaat ke liye taiyar rehna chahte hain to aapko pehle se sochna hoga ki kya khatre aa sakte hain aur aap kya kareinge. woh kehti hai, “aisa karna shaayad aapko ajeeb lage lekin jab aise haalaat uthte hain to aap uske shikar hone se bach sakte hain.”
bible batati hai, “khud par kadi nazar rakho ki tumhara chaalchalan kaisa hai, moorkhon ki tarah nahin balki buddhimanon ki tarah chalo. . . . kyonki din bure hain.”—ifisiyon 5:15, 16.
khud se poochhiye: ‘agar koi mujhe galat tareeke se chhoota hai, to main kya karoonga/karoongi?’
haalaat se nikalne ki yojna banaiye. RAINN sanghathan sujhav deta hai ki “aisa shabd chuniye jise bolne par aapke gharvale ya dost jaan jaayen ki aap museebat mein hain. fir jab aap kisi vyakti ke saath hote hain aur uske vyavhar se aapko kuch achha nahin lag raha, to aap turant apne gharvalon ko fon karke woh shabd bol sakte hain jabki us vyakti ko pata bhi nahin chalega. tab aapke dost ya ghar ke log aakar aapko le jaa sakte hain ya koi bahana banakar aapko us haalaat se nikaal sakte hain.” yah baat sach hai ki agar hum aise haalaat mein hi na padein to hum khud ko bahot takleefon se bacha sakte hain.
bible batati hai, “chatur manushya vipatti ko aate dekhkar chhip jaata hai; parantu bhole log aage badhkar dand bhogte hain.”—neetivachan 22:3.
khud se poochhiye: ‘mushkil haalaat se nikalne ke liye mainne kya yojna banayi hai?’
hadein tay keejiye aur use maaniye. misal ke liye, agar aap deting kar rahe hain to aapko apne boyfriend se baat karni chahiye ki kis tarah ka chaalchalan sahi hoga aur kis tarah ka galat hoga. agar use lagta hai ki hadein tay karna bekar ki baatein hain, to shaayad aap galat insan ko det kar rahe hain. aapko aisa saathi dhoondhna chahiye jo aapke staron ka aadar karta ho.
bible batati hai, “pyar . . . badtameezee se pesh nahin aata, sirf apne faayde ki nahin sochta.”—1 kurinthiyon 13:4, 5.
khud se poochhiye: ‘mere star kya hain? kis tarah ka chaalchalan theek nahin hoga?’