naujavanon ke saval
mammi-paapa ka bharosa kaise jeetoon?
aapko kya pata hona chahiye?
mammi-paapa ka bharosa jeetne ke liye aapko bharosemand hona chahiye. jab hum bank ka loan samay par chukate hain, to bank hum par bharosa karke zyada loan deta hai. theek usi tarah, agar aap mammi-paapa ka kehna maanein, to aap unka bharosa jeet paayenge aur bhavishya mein woh aapko zyada chhoot deinge. lekin agar aap aisa nahin kareinge, to woh aap par bharosa nahin kareinge aur aapko chhoot bhi nahin deinge.
bharosa jeetne mein samay lagta hai. jab aapke mammi-paapa dekheinge ki woh aapse jo bhi kehte hain, woh aap karte hain, to woh aap par bharosa kareinge aur aapko zyada chhoot deinge.
sachchi kahani: “jab main thoda bada hua to samajh gaya ki mammi-paapa mujhse kya chahte hain. isliye main woh sab kaam karne ka dikhava karne laga jo unhein achhe lagte taaki woh mujh par bharosa karein, jabki chupke-chupke main vahi karta tha jo main karna chahta tha. nateeja yah hua ki mammi-paapa mujh par bharosa nahin karte the. kuch samay baad mainne seekha ki zyada aazadi paane ka sirf ek hi tareeka hai ki main mammi-paapa se kuch na chhipaun. mammi-paapa ka bharosa jeetne ke liye aapko bharosemand hona chahiye.”—craig.
aap kya kar sakte hain?
hamesha sach boliye, fir chahe aisa karna mushkil lage. hum sab galtiyaan karte hain. lekin agar aap apni galtiyaan chhipane ke liye jhooth boleinge ya poori baat nahin batayenge, to mammi-paapa aap par bilkul bhi bharosa nahin kareinge. par jab aap hamesha sach boleinge, to mammi-paapa dekh sakeinge ki aap samajhdar ho rahe hain isliye apni galti ke liye khud ko zimmedar maan rahe hain. fir woh aap par bharosa kar paayenge.
“hum galtiyaan karne ki vajah se nahin balki galtiyon ko chhipane ki vajah se kai baar bharosa kho dete hain.”—anna.
pavitra shastra mein likha hai, “hum sab baaton mein imandari se kaam karna chahte hain.”—ibraniyon 13:18.
zara sochiye: jab mammi-paapa aapse poochhte hain ki aap kahaan jaa rahe hain aur vahaan kya kareinge, to kya aap unhein sab sach-sach batate hain? ya jab woh poochhte hain ki aap kahaan gaye the aur vahaan aapne kya kiya, to kya aap saari baat batate hain? ya fir unhein aadhi-adhoori jaankari dete hain?
zimmedar baniye. mammi-paapa ke banaye sabhi niyamon ko maaniye. ghar par apne kaam karne mein taal-matol mat keejiye aur har kaam samay par keejiye. mammi-paapa ke bina kahe school ka kaam poora keejiye. bataye gaye samay par ghar aaiye.
“maan leejiye mammi-paapa aapko doston ke saath baahar jaane ki ijazat dete hain aur kehte hain ki aap nau baje tak vaapas aa jaayen. par agar aap saadhe das baje vaapas aayenge, to yah mat sochiye ki mammi-paapa agli baar aapko doston ke saath baahar jaane deinge.”—ryan.
pavitra shastra mein likha hai, “har koi apni zimmedari ka bojh khud uthayega.”—galatiyon 6:5, footnote.
zara sochiye: kya aapne saabit kiya hai ki aap saare kaam samay par karte hain? aapko ghar par jo kaam diye jaate hain, woh sab karte hain? mammi-paapa ke banaye saare niyam maante hain, woh bhi jo aapko pasand nahin hain?
sabra rakhiye. agar aapne mammi-paapa ka bharosa toda hai, to sabra rakhiye kyonki dobara unka bharosa jeetne mein samay lagega.
“main badi ho rahi thi fir bhi mammi-paapa mujhe zyada zimmedari nahin dete the, isliye main bahot nirash ho gayi. fir mujhe ehsas hua ki umra badhne ka matlab yah nahin ki main samajhdar ban rahi hoon. isliye mainne mammi-paapa se kaha ki woh mujhe kuch aisa kaam dein jisse main saabit kar sakoon ki woh mujh par bharosa kar sakte hain. unka bharosa jeetne mein samay laga par mainne unka bharosa jeet liya. mainne yah bhi seekha ki sirf bade hone se bharosa nahin jeeta jaata balki apne kaamon se jeeta jaata hai.”—rachel.
pavitra shastra mein likha hai, “tum kya ho, iska saboot dete raho.”—2 kurinthiyon 13:5.
zara sochiye: aap aise kaun se kaam kar sakte hain jinse aap mammi-paapa ka bharosa dobara jeet sakein?
ise aazmaiye: mammi-paapa ka bharosa jeetne ke liye kuch lakshya rakhiye. jaise, aap apna har kaam samay par kareinge, kaam karne mein taal-matol nahin kareinge, samay se ghar aayenge ya aise hi kuch aur lakshya. mammi-paapa ko bataiye ki aapne aisa karne ki thaani hai. unse poochhiye ki unka bharosa jeetne ke liye aapko aur kya karna hoga. bible ki yah salah maanne ki poori koshish keejiye, “tumhein apni purani shakhsiyat ko utaar feinkna chahiye jo tumhare pehle ke chaalchalan ke mutabik hai.” (ifisiyon 4:22) jaise-jaise samay guzrega, mammi-paapa zaroor dekh paayenge ki aap ek zimmedar insan ban rahe hain.