tab kya, jab mujhe pornography ki lat lag jaaye?
aap kya kar sakte hain
jaaniye ki pornography hai kya. pornography ka matlab hai ashleel cheezon se un cheezon ka apman karna, jinhein parmeshvar ne aadar ke laayak thehraya hai. agar aap pornography ko is nazar se dekheinge to aapko “burai se ghrina” karne mein madad milegi.—bhajan 97:10.
anjamon ke baare mein sochiye. jo log pornography se judi cheezon mein hissa lete hain, unki koi izzat nahin reh jaati. aur jo vyakti is tarah ki cheezon ko dekhta hai, uski bhi koi keemat nahin reh jaati. isliye bible hamari bhalai ke liye yah salah deti hai, “chatur manushya vipatti ko aate dekhkar chhip jaata hai.”—neetivachan 22:3.
khud se vaada keejiye. parmeshvar ke ek vafadar sevak, ayyoob ne khud se vaada kiya, “main ne apni aankhon ke saath vaacha baandhi hai, fir main kisi kunvari par kaise aankhein lagaun?” (ayyoob 31:1) aap bhi khud se aise kuch vaade kar sakte hain, jo neeche diye gaye hain:
main akele mein internet ka istemal nahin karoonga.
agar mere computer par achanak koi ashleel cheez ya website saamne aaye, to main turant use band kar doonga.
agar mujhe dobara aisi lat lagne lage, to main kisi samajhdar vyakti se baat karoonga.
is baare mein prarthna keejiye. bible ke ek lekhak ne yahova parmeshvar se madad ki bheekh maangi aur kaha, “meri aankhon ko vyarth vastuon ki or se fer de.” (bhajan 119:37) parmeshvar chahta hai ki aap apni koshishon mein kaamyab hon, aur agar aap is baare mein usse prarthna kareinge, to woh aapko sahi kaam karne ki taakat zaroor dega!—filippiyon 4:13.
is baare mein kisi se baat keejiye. is aadat se chhutkara paane ke liye kisi bharosemand aur kareebee dost se khulkar bata keejiye.—neetivachan 17:17.
yaad rakhiye: jitni baar aap pornography dekhne se khud ko rokte hain, utni baar aap maano iske khilaf ek badi ladai jeette hain. yahova parmeshvar ko apni har ek jeet ke baare mein bataiye aur us ladai ko jeetne ke liye usne aapko jo taakat di hai, uske liye uska dhanyavad keejiye. pornography se door rehne se aap yahova parmeshvar ke dil ko khush karte hain.—neetivachan 27:11.