tab kya agar mujhe school jaana bilkul pasand nahin hai?
aap kuch aisa kar sakte hain
padhai ke baare mein sahi nazariya. yah samajhne ki koshish keejiye ki padhai se aapko kya faayde honge. ho sakta hai aapko apni padhai mein kuch cheezen zaroori na lagein, kam-se-kam abhi to nahin. fir bhi, alag-alag vishyon ki padhai karne se aap apne aas-paas ki duniya ko aur achhi tarah samajh paayenge. isse alag-alag sanskriti ke logon se baat karne ki aapki kaabileeyat badhegi, jisse aapko “sab kism ke logon ke liye sabkuch” banne mein madad milegi. (1 kurinthiyon 9:22) kuch aur nahin to kam-se-kam aap apni sochne-samajhne ki kaabileeyat ko aur badha paayenge. yah aisi kaabileeyat hai jisse aage chalkar aapko zaroor madad milegi.
apne teacher ke baare mein sahi nazariya. agar aapko lagta hai ki aapka teacher pakaoo hai, to us par dhyan dene ke bajay us vishay par dhyan deejiye, jo woh padha raha hai. yaad rakhiye ki aapke teacher ne vahi vishay shaayad kai baar doosri klason mein bhi padhaya hoga. isliye us vishay ko pehle jaise josh ke saath padhana shaayad uske liye chunauti bhara ho.
ise aazmaiye: notes leejiye, izzat se baat karke zyada jaankari maangiye aur padhaye jaa rahe vishay ke liye josh banaye rakhiye. aapka josh dekhkar doosron ka josh bhi badhega.
apni kaabileeyaton ke baare mein sahi nazariya: school mein aap apne chhipe huye hunar se roo-b-roo ho paate hain. paulus ne timuthiyus se kaha, “parmeshvar ka jo vardan tujhe . . . mila tha, use tu ek jvala ki tarah jalaye rakh.” (2 timuthiyus 1:6) timuthiyus ko jo vardan mile the woh pavitra shakti se mile the, fir bhi use in ‘vardanon’ ko nikharne mein mehnat karni thi taaki woh bekar na jaayen. beshak school mein achhe number laane ki kaabileeyat seedhe-seedhe aapko parmeshvar ne nahin di hai. fir bhi aapmein kuch aise hunar hain, jo anokhe hain. padhai se aap apne andar chhipi aisi kaabileeyaton ko pehchan sakte hain aur unhein badha sakte hain, jinka aapko shaayad kabhi pata bhi nahin tha.