naujavanon ke saval
srishti ya vikasvad?—bhaag 2: vikasvad par saval kyon karein?
alex badi uljhan mein hai. woh shuroo se maanta aaya hai ki ek parmeshvar hai aur usi ne sabkuch banaya hai. magar aaj uske biology teacher ne daave ke saath kaha ki vikasvad ka siddhaant bilkul sachcha hai aur vigyan ne khojbeen karke ise sachcha saabit kar diya hai. alex class ke saamne bevkoof nahin dikhna chahta. woh man mein sochta hai, ‘jab vaigyanikon ne saabit kar diya hai ki vikasvad ka siddhaant sachcha hai, to main kaun hota hoon un par saval karnevala?’
kya aapke saath kabhi aisa hua hai? shaayad aap bachpan se bible ki is baat ko sahi maante aaye hon ki “parmeshvar ne aakash aur prithvi ki srishti ki.” (utpatti 1:1) magar haal hi mein logon ne aapko yakeen dilane ki koshish ki hai ki yah ek mangadhant kahani hai ki parmeshvar ne duniya ki srishti ki jabki vikasvad ka siddhaant ek sachchai hai. kya aapko unki baat par yakeen kar lena chahiye? aapko vikasvad ke siddhaant par kyon saval uthana chahiye?
vikasvad par saval karne ke do kaaran
sabhi vaigyanik vikasvad ke siddhaant par ekmat nahin hain. barson ki khojbeen ke baad bhi vikasvad ke siddhaant par sabhi vaigyanik ekmat nahin hain.
zara sochiye: vaigyanikon ko jaankar log maana jaata hai, magar jab woh khud vikasvad ko lekar ek-doosre se sahmat nahin hain to kya aap is siddhaant par saval uthakar kuch galat kar rahe honge?—bhajan 10:4.
yah baat maayne rakhti hai ki aap kya maante hain. zachary naam ka ek ladka kehta hai, “agar jeevan ittafak se vajood mein aaya tha to iska matlab hamari zindagi aur vishva mein paayi jaanevali sabhi cheezen bematalab ki hain.” yah baat sochnelayak hai. vaakai, agar vikasvad ka siddhaant sahi hota to zindagi ka koi maksad nahin hota. (1 kurinthiyon 15:32) lekin agar parmeshvar ne sabkuch banaya hai to hum zindagi ke maksad aur hamare bhavishya se jude savalo ke javab paa sakte hain.—yirmayah 29:11.
zara sochiye: kya vikasvad ka siddhaant sahi hai ya kya parmeshvar ne sabkuch banaya hai, is baare mein sachchai jaanne se aapki zindagi par kya fark pad sakta hai?—ibraniyon 11:1.
kuch saval jin par aapko sochna chahiye
yah daava kiya jaata hai: ‘vishva ki har cheez ek bhayanak visfot ki vajah se achanak vajood mein aa gayi.’
woh visfot kisne ki thi ya kis vajah se hui thi?
kis baat mein tuk hai? yah kehne mein ki duniya ki har cheez apne aap aa gayi? ya yah kehne mein ki har cheez kisi aur cheez se nikli hai ya kisi ne use banaya hai?
yah daava kiya jaata hai: ‘insan jaanvaron se viksit hokar bane hain.’
agar insan jaanvaron se viksit hokar bane hain, maan leejiye bandaron se bane hain, to fir insanon aur bandaron ki dimagi kaabileeyat mein itna bada fark kyon hai? *
chhote se chhote jeev bhi itne jatil kyon hain? *
yah daava kiya jaata hai: ‘vikasvad ka siddhaant sach saabit ho chuka hai.’
jo aisa daava karta hai kya usne khud sabooton ki jaanch ki hai?
kitne log aise hain jo vikasvad ko sirf isliye sach maan lete hain kyonki unhein bataya gaya hai ki sabhi samajhdar log us siddhaant par yakeen karte hain?
^ kuch log shaayad kahein ki insan isliye bandaron se zyada buddhiman hain kyonki unka mastishk bandaron se bada hai. lekin yah baat kyon galat hai, jaanne ke liye yah brochure dekhiye—jeevan ki shurooat paanch saval—javab paana zaroori, page 28.
^ yah brochure dekhiye—jeevan ki shurooat paanch saval—javab paana zaroori, page 8-12.