naujavanon ke saval
srishti ya vikasvad?—bhaag 4: main doosron ko kaise samjha sakta hoon ki main srishti par kyon vishvas karta hoon?
aap maante hain ki sab cheezon ki srishti ki gayi hai, magar aap school mein yah baat khulkar batane se hichkichate hain. ho sakta hai aapki school ki kitabon mein vikasvad ke siddhaant ko badhava diya jaata hai, isliye aapko dar hai ki aapke teacher aur class ke bachche aapka mazak udayenge. aap poore yakeen ke saath kaise unhein samjha sakte hain ki aap srishti par vishvas karte hain?
aap zaroor samjha sakte hain!
aap shaayad sochein, ‘main itna hoshiyar nahin hoon ki vigyan ke baare mein baat karoon aur vikasvad par bahas karoon.’ ek vakt par danielle bhi aisa hi sochti thi. woh kehti hai, “mujhe yah sochkar hi bura lagta tha ki mujhe apne teacher aur class ke bachchon ki baat galat saabit karni hai.” daayna ka bhi kuch yahi kehna hai, “jab woh vigyan ke bade-bade shabdon ka istemal karke bahas karte the to main uljhan mein pad jaati thi.”
magar aapka maksad bahas jeetna nahin hai. aur achhi baat yah hai ki aapko vigyan ka bahot bada jaankar hone ki zaroorat nahin hai. vigyan mein bahot hoshiyar na hone par bhi aap doosron ko bata sakte hain ki aapko kyon is baat par yakeen karna sahi lagta hai ki sab cheezon ki srishti ki gayi hai.
ise aazmaiye: bible mein ibraniyon 3:4 mein batayi yah maamooli-si baat kehkar aap tark kar sakte hain, “har ghar ka koi-na-koi bananevala hota hai magar jisne sabkuch banaya woh parmeshvar hai.”
kairal naam ki ek ladki ibraniyon 3:4 mein bataye siddhaant ke mutabik doosron se is tarah tark karti hai: “maan leejiye aap ek ghane jangal mein chal rahe hain. vahaan insanon ke hone ki gunjaish door-door tak nazar nahin aati. fir tabhi aapki nazar zameen par padti hai aur aapko ek toothpick dikhayi padta hai. tab aap kya kaheinge? zyadatar log yahi kaheinge, ‘yahaan koi aur bhi aaya hai.’ agar toothpick jaisi chhoti-si cheez kisi samajhdar prani ke hone ka saboot deti hai to sochiye yah poora vishva aur ismein paayi jaanevali saari cheezon se aur kitna bada saboot milta hai!”
agar koi kahe, “agar yah sach hai ki sab cheezon ki srishti ki gayi hai, to fir srishtikarta ko kisne banaya?”
aap keh sakte hain, “maana ki hum srishtikarta ke baare mein saari baatein nahin samajh sakte. magar iska yah matlab nahin ki koi srishtikarta nahin hai. misal ke liye, aapke mobile phone ko jisne banaya uske baare mein aap saari baatein nahin jaante honge. fir bhi aap maante hain ki use zaroor kisi ne banaya hai, hai ki nahin? [javab ke liye rukiye.] magar srishtikarta ke baare mein aisi kai baatein hain jo hum jaan sakte hain. agar aap jaanna chaheinge to mujhe aapko batane mein khushi hogi ki mainne srishtikarta ke baare mein kya seekha hai.”
taiyar rahiye
bible batati hai ki “jo koi tumhari aasha ki vajah jaanne ki maang karta hai, uske saamne apni aasha ki pairvi karne ke liye hamesha taiyar raho, magar aisa komal swabhav aur gehre aadar ke saath karo.” (1 patras 3:15) isliye ab in do baaton par dhyan deejiye. aap kya kaheinge aur kis tarah kaheinge.
aap kya kaheinge. yah baat bahot maayne rakhti hai ki aap parmeshvar se kitna pyar karte hain kyonki yahi pyar aapko uske paksh mein baat karne ke liye ubhar sakta hai. lekin doosron ko sirf yah batana ki aap parmeshvar se bahot pyar karte hain, unhein yakeen nahin dila sakta ki parmeshvar ne hi sabkuch banaya hai. agar aap srishti mein paayi jaanevali kuch cheezon ki misalein deinge to aap unhein achhi tarah samjha sakte hain ki is baat par kyon yakeen kiya jaa sakta hai ki parmeshvar ne hi sabkuch banaya hai.
aap kis tarah kaheinge. poore yakeen ke saath boliye, magar na to rukhai se aur na hi aise baat keejiye maano aap saamnevale ko neecha dikha rahe hon. agar aap logon ki dhaarnaon ke baare mein aadar se baat kareinge aur is baat ko maaneinge ki unhein jo chahe maanne ka adhikar hai, to log aapki baat par gaur karna chaheinge.
“mere khyal se yah dhyan rakhna bahot zaroori hai ki hum jisse baat karte hain uski kabhi beizzati na karein, na hi aise baat karein maano hamein sabkuch pata hai. saamnevale ko neecha dikhane se us par ulta asar pad sakta hai.”—elaine.
apne vishvas ke baare mein samjhanevale prakashan
alicia naam ki ek ladki kehti hai, “agar hum taiyari na karein to hamein lag sakta hai ki chup rehna hi behtar hai varna mujhe sharminda hona padega.” jaise alicia ne kaha, taiyari karna kaamyab hone ke liye zaroori hai. jenna kehti hai, “main srishti par kyon vishvas karti hoon, ise saabit karne ke liye jab main pehle se koi misal sochkar rakhti hoon jo samajhne mein aasan ho, to mujhe baat karne mein itni jhijhak nahin mehsoos hoti.”
aapko aisi misalein kahaan mil sakti hain? kai javanon ko in prakashanon se bahot madad mili hai:
was life created?
jeevan ki shurooat paanch saval—javab paana zaroori
srishti ke ajoobe parmeshvar ki mahima karte hain (angrezee video)
sajag hoiye! patrika mein shrriankhala lekh, “kya ise racha gaya tha?” (watchtower online library ke khojein baks mein [uddharan chinhon ke saath] “kya ise racha gaya tha” type keejiye.)
zyada khojbeen ke liye watchtower online library istemal keejiye.
iske alava, aapko “srishti ya vikasvad?” shrriankhala ke pichhle lekhon ko padhne se bhi kaafi madad mil sakti hai.
ise aazmaiye: aisi misalein chuniye jo aapko yakeen dilati hain ki parmeshvar ne sabkuch banaya hai. unhein yaad rakhna aapke liye aasan hoga aur aap poore yakeen ke saath unke baare mein baat kar paayenge. practice karke dekhiye ki aap apne vishvas ke baare mein doosron ko kaise batayenge.