is jaankari ko chhod dein

parivar ke liye madad

agar koi mere bachche ko tang kare, to kya karoon?

agar koi mere bachche ko tang kare, to kya karoon?

 agar koi school mein aapke bachche ko tang karta hai, to aap kya kareinge? school mein shikayat karke us badmash ko saza dilayenge ya fir apne bachche ko int ka javab patthar se dena sikhayenge? koi bhi kadam uthane se pehle yah jaanne ki koshish keejiye ki tang karne ka kya matlab hai. *

 tang karne ke baare mein mujhe kya pata hona chahiye?

 tang karne ka kya matlab hai? jab bachche ko lagatar  aur jaanboojhkar  maansik ya shaareerik taur par sataya jaata hai, to use tang karna kehte hain. isliye, agar kabhi-kabhar bachche ki koi beizzati karta hai ya us par cheekhta-chillata hai, to use tang karna nahin kehte.

 iska matlab samajhna kyon zaroori hai: kuch log sochte hain ki agar koi unke bachche ko thoda-saa  bhi pareshan karta hai, to iska matlab hai ki woh use tang kar rahe hain. apne bachche ki chhoti-moti pareshaniyon ko til ka taad mat banaiye. kyonki aisa karne se aap maano anjane mein hi bachche ko sikha rahe honge ki woh apni samasyaon se khud nahin nipat sakta. agar aap aaj apne bachche ko pareshani se nipatna sikhayenge, to woh bade hone ke baad bhi apni samasyayen khud hal kar paayega.

 bible ka siddhaant: “kisi baat ka jaldi bura mat maan.”​—sabhopdeshak 7:9.

 mudde ki baat: haalaanki kuch haalaat mein aapko apne bachche ki samasya suljhani pade. magar kuch maukon par bachche ko khud hi apni pareshaniyon ka hal dhoondhne deejiye. is tarah woh doosron ke saath apni samasya khud suljhana seekhega aur sabra ka gun badha paayega.​—kulussiyon 3:13.

 magar us vakt kya karein, jab aapka bachcha yah kehta ki use baar-baar aur jaanboojhkar sataya jaa raha hai?

 main kaise madad kar sakta hoon?

  •   apne bachche ki baat dhyan se suniye. yah pata lagane ki koshish keejiye ki (1) bachche ke saath kya hua aur (2) doosre bachche kyon use sata rahe hain. poori baat jaane bagair koi faisla mat leejiye. khud se poochhiye ‘kya mujhe maamle ki poori jaankari hai?’ poori baat samajhne ke liye shaayad aapko bachche ke teacher se ya badmash bachche ke maata-pita se baat karni pade.

     bible ka siddhaant: “jo sunne se pehle hi javab deta hai, woh moorkhta ka kaam karta hai aur apni beizzati karata hai.”​—neetivachan 18:13.

  •   agar koi aapke bachche ko tang karta hai, to use samjhaiye ki badle mein woh jo kahega ya karega usse maamla sulajh sakta hai ya fir ulajh sakta hai. bible mein likha hai: “narmi se javab dene par krodh shaant ho jaata hai, lekin chubhnevali baat se gussa bhadak uthta hai.” (neetivachan 15:1) agar aapka bachcha int ka javab patthar se deta hai, to uski pareshani kam hone ke bajay aur bhi badh sakti hai.

     bible ka siddhaant: “agar koi tumhein chot pahunchaye to badle mein use chot mat pahunchao aur agar koi tumhari beizzati kare to badle mein uski beizzati mat karo.”​—1 patras 3:9.

  •   bachche ko samjhaiye ki agar woh badla nahin leta, to iska matlab yah nahin ki woh darpok hai. iske bajay, shaant rehkar woh dikha sakta hai ki uske andar himmat hai aur woh kisi ke haath ki kathputli nahin banna chahta. aisa karke woh badmashon ko bhaga sakta hai.

     agar koi internet ke zariye aapke bachche ko pareshan karta hai, tab uska shaant rehna aur bhi zyada zaroori hai. lekin agar woh palatkar badmashon ko message karega, to yah aisa hoga maano woh “aag mein ghee” daal raha hai. is tarah aapke bachche ko tang karne ke liye badmashon ko chhoot mil jaayegi aur woh use baar-baar satate raheinge. isliye, samajhdari isi mein hogi ki woh badmashon ke message ka koi javab hi na de. agar aapka bachcha shaant rahega, to woh dikhayega ki us par badmashon ka koi asar nahin ho raha. aise mein ho sakta hai ki badmash use tang karna chhod dein.

     bible ka siddhaant: “jahaan lakdi nahin, vahaan aag bujh jaati hai.”—neetivachan 26:20.

  •   jahaan tak ho sake, aapka bachcha un logon se bachkar reh sakta hai, jo use tang karte hain. woh aisi jagah jaane se bhi bach sakta hai, jahaan badmash hote hain. jaise, agar use pata hai ki badmash bachchon ka group kahaan hota hai, to woh us raaste se jaane ke bajay koi doosra raasta le sakta hai.

     bible ka siddhaant: “hoshiyar insan khatra dekhkar chhip jaata hai, magar naadan badhta jaata hai aur anjam bhugatta hai.”—neetivachan 22:3.

aapko shaayad apne bachche ki teacher se ya badmash bachche ke maata-pita se baat karni pade

 ise aazmaiye: apne bachche ko yah samjhaiye ki is pareshani ko hal karne ke liye kya karna theek hoga aur kya nahin. jaise,

  •  agar woh badmash bachche ko yoon hi nazarandaz karta hai, to kya hoga?

  •  agar woh himmat karke badmash bachche ko kehta hai ki ‘mujhe tang mat karo’ to kya hoga?

  •  agar woh badmash bachche ki shikayat teacher se karta hai, to kya hoga?

  •  agar woh badmash ki baaton ko hansi mein taal deta hai, to kya hoga?

 chahe badmash aapke bachche ko seedhe-seedhe sataye ya fir internet ke zariye, dhyan rakhiye ki har haalaat se nipatne ka tareeka alag-alag hota hai. isliye apne bachche ke saath milkar samasya ka hal dhoondhiye. use yakeen dilaiye ki is mushkil haalaat mein aap uske saath hain.

 bible ka siddhaant: “sachcha dost har samay pyar karta hai aur museebat ki ghadi mein bhaai ban jaata hai.” —neetivachan 17:17.

^ haalaanki yah lekh ladkon ko dhyan mein rakhkar likha gaya hai, lekin ismein batayi baatein ladkiyon par bhi laagoo hoti hain.