parivar ke liye madad | shaadi ka bandhan
technology ka sahi istemal kaise karein?
technology ka sahi istemal karna bahot zaroori hai. * kyonki iska aapki shaadishuda zindagi par kaafi asar padta hai. technology ke istemal se pati-patni ka rishta mazboot ho sakta hai ya fir kamzor. aapki shaadishuda zindagi par iska kya asar ho raha hai?
aapko kya pata hona chahiye?
agar mobile ya tablet ka sahi istemal kiya jaaye, to isse pati-patni ko kaafi faayda ho sakta hai. jaise, jab pati-patni din bhar ek-doosre se door rehte hain, to woh mobile ke zariye baat kar sakte hain.
“ek chhote-se message se bhi bahot fark padta hai. jaise, ‘i love you’ ya ‘tumhari yaad aa rahi hai.’”—jonathan.
agar mobile ya tablet ka sahi istemal na kiya jaaye, to isse pati-patni ka rishta kamzor ho sakta hai. jaise, kuch log din-raat mobile par lage rehte hain aur is vajah se woh apne saathi ko samay nahin de paate.
“kai baar aisa hota hai ki mere pati mujhse baat karna chahte hain, par nahin kar paate. kyonki main apne phone mein lagi rehti hoon.”—julissa.
kuch log kehte hain ki woh apni patni ya pati se baat karne ke saath-saath mobile ka bhi istemal kar sakte hain. lekin samaaj ke baare mein khojbeen karnevali sherry terkle kehti hai, ‘logon ko lagta hai ki woh ek vakt par kai kaam kar sakte hain. magar yah sach nahin. kyonki ek-saath bahot saare kaam karne se kaam bante nahin, bigad jaate hain.’ *
“jab main apne pati se baat karti hoon, to mujhe khushi hoti hai. lekin baat karte-karte jab woh kuch aur kaam karne lagte hain, to mujhe achha nahin lagta. aisa lagta hai maano mere vahaan hone ya na hone se unhein koi fark hi nahin padta.”—sarah.
sau baat ki ek baat: aap jis tarah mobile ya tablet ka istemal kareinge, usse ya to aapka rishta mazboot hoga ya fir kamzor.
aap kya kar sakte hain?
tay keejiye ki sabse zaroori kya hai. bible mein likha hai: ‘pehchano ki zyada ahmiyat rakhnevali baatein kya hain.’ (filippiyon 1:10) khud se poochhiye, ‘kya main apna zyadatar vakt mobile par bitata hoon ya fir apne pati ya patni ke saath?’
“jab pati-patni restaurant mein khaana khaane jaate hain, to ek-doosre ke saath samay bitane ke bajay woh apne-apne mobile se chipke rehte hain. yah dekhkar bahot bura lagta hai. hamein mobile ka gulam nahin banna chahiye aur yah yaad rakhna chahiye ki ek-doosre ke saath hamara rishta sabse zyada zaroori hai.”—matthew.
samay tay keejiye. bible mein likha hai: “khud par kadi nazar rakho ki tumhara chaalchalan kaisa hai, moorkhon ki tarah nahin balki buddhimanon ki tarah chalo. apne vakt ka sahi istemal karo.” (ifisiyon 5:15, 16) khud se poochhiye, “kya main gair-zaroori message ko fauran padhne ke bajay baad mein padh sakta hoon?”
“phone silent mode par rakhne se mujhe kaafi faayda hota hai. fir jab main fursat mein hota hoon, tab message ka javab deta hoon. aisa kabhi-kabhar hi hota hai, jab mujhe bahot zaroori phone, message ya e-mail aate hain, jinka javab mujhe fauran dena hota hai.”—jonathan.
ho sake to office ka kaam ghar par mat keejiye. bible mein likha hai: “har cheez ka ek samay hota hai.” (sabhopdeshak 3:1) khud se ye saval keejiye: ‘kya office ka kaam ghar par karne se mere paarivarik jeevan par asar pad raha hai? agar haan, to sochiye ki kya asar ho raha hai? meri patni is baare mein kya sochti hai?’
“technology ki madad se hum office ka kaam kahin-bhi aur kabhi-bhi kar sakte hain. isliye main is baat ka khaas dhyan rakhta hoon ki jab meri patni saath ho, to main office ka koi kaam na karoon aur na hi apne phone ko baar-baar dekhoon.”—matthew.
mobile ya tablet ke istemal ke baare mein apne saathi se baat keejiye. bible mein likha hai: “har koi apne faayde ki nahin balki doosre ke faayde ki sochta rahe.” (1 kurinthiyon 10:24) apne saathi se baat keejiye ki aap jis tarah mobile ya tablet ka istemal kar rahe hain, kya usmein koi ferbadal karne ki zaroorat hai? aap is lekh mein diye kuch sujhavon par gaur kar sakte hain.
“main aur mere pati ek-doosre ko har baat batate hain. agar hammein se kisi ek ko bhi lagta hai ki hum mobile ya tablet par kuch zyada hi samay bita rahe hain, to hum khulkar bata dete hain taaki aage chalkar koi mushkil khadi na ho. hum ek-doosre ki raay ko bhi dhyan se sunte hain.”—danielle.
sau baat ki ek baat: technology ki vajah se hamara kaam aasan ho jaata hai. magar uske gulam mat baniye.