pavitra shastra buzurg maata-pita ki dekhbhal ke baare mein kya kehta hai?
shastra se javab
badon ki zimmedari banti hai ki woh apne buzurg maata-pita ka khyal rakhein. pavitra shastra bible mein likha hai ki woh ‘apne ghar ke logon ki dekhbhal karke parmeshvar ke liye apni bhakti dikhayen. woh apne maata-pita ko unka hak chukayen kyonki aisa karna parmeshvar ko bhaata hai.’ (1 timuthiyus 5:4) jab bade apne buzurg maata-pita ki dekhbhal karte hain, to woh bible ki ek aur aagya maan rahe hote hain. woh aagya yah hai ki unhein apne maata-pita ka aadar karna hai.—ifisiyon 6:2, 3.
bible mein saaf-saaf nahin bataya gaya hai ki buzurg maata-pita ki dekhbhal kis tarah ki jaani chahiye. lekin ismein aise vafadar logon ke udahran diye gaye hain jinhonne apne buzurg maata-pita ki dekhbhal ki. bible mein kuch achhi salah bhi di gayi hain, jo dekhbhal karnevalon ki madad kar sakti hain.
bible ke zamane mein parivar ke sadasya buzurgon ki dekhbhal kaise karte the?
unhonne apne haalaat ke mutabik alag-alag tareekon se unki dekhbhal ki.
yoosuf apne buzurg pita yakub se bahot door rehta tha. jab uske liye mumkin hua to usne yakub ko apne paas bula liya. yoosuf ne apne pita ke liye ghar aur khaane ka intazam kiya aur use surakshit mehsoos karaya.—utpatti 45:9-11; 47:11, 12.
root apni saas ke desh mein aakar bas gayi thi. woh apni saas ka bahot khyal rakhti thi.—root 1:16; 2:2, 17, 18, 23.
yeeshu ne apni maut ke kuch hi samay pehle apni vidhva maa mariyam ki dekhbhal karne ke liye apne ek chele ko chuna.—yuhanna 19:26, 27. *
bible mein kya salah di gayi hai jo dekhbhal karnevalon ki madad kar sakti hai?
jo log buzurg maata-pita ki dekhbhal karte hain, unke liye yah kaam hamesha aasan nahin hota. shaayad woh shaareerik aur maansik roop se past ho jaayen. lekin bible ke siddhaant unki madad kar sakte hain.
maata-pita ka aadar keejiye.
bible mein likha hai: “apne pita aur apni maa ka aadar karna.”—nirgaman 20:12.
yah siddhaant kaise laagoo karein? apne maata-pita ki dekhbhal karte vakt is baat ka khyal rakhiye ki woh khud ke liye jitna kar sakte hain utna unhein karne deejiye. is tarah aap dikha rahe honge ki aap unka aadar karte hain. jitna ho sakta hai unhein khud faisle lene deejiye ki unki dekhbhal kaise ki jaani chahiye. saath hi, unki madad karne ke liye aapse jo ban padta hai woh keejiye. aisa karke bhi aap unka aadar kar rahe honge.
haalaat ko samjhiye aur maaf karne ke liye taiyar rahiye.
bible mein likha hai: “insan ki androoni samajh use gussa karne se rokti hai aur thes pahunchne par use andekha karna uski khoobee hai.”—neetivachan 19:11.
is siddhaant ko kaise laagoo karein? agar aapke buzurg maata-pita ki kisi baat se aapko bura lage ya aisa lage ki woh aapki mehnat ki kadar nahin karte, to samajhne ki koshish keejiye ki unhonne woh baat kyon kahi. khud se poochhiye, “agar main unke jaisi samasyaon aur pareshaniyon se guzarta to mujhe kaisa lagta?” tab aap unke haalaat ko achhi tarah samajh paayenge aur unki baaton ka bura nahin maaneinge. aisa karne se aapke beech tanav kam hoga.
doosron se salah-mashvira keejiye.
bible mein likha hai: “salah-mashvira na karne se yojnayen naakam ho jaati hain, lekin bahoton ki salah se kaamyabee milti hai.”—neetivachan 15:22.
is siddhaant ko kaise laagoo karein? apne maata-pita ki sehat se judi samasyaon ke baare mein khojbeen keejiye taaki aap unki achhi dekhbhal kar sakein. jaaniye ki sarkar ki taraf se buzurg logon ki dekhbhal se judi kaun-si sevayen aapke ilake mein uplabdh hain. un logon se baat keejiye jo apne buzurg maata-pita ki dekhbhal karte hain. achha hoga agar parivar ke sabhi sadasya milkar is baare mein baat karein ki aapke maata-pita ko kis tarah ki madad chahiye, woh madad kaise di jaaye aur kaise sabhi sadasya ismein sahyog de sakte hain.
apni maryada mein rahiye.
bible mein likha hai: “jo apni maryada mein rehta hai woh buddhiman hai.”—neetivachan 11:2.
is siddhaant ko kaise laagoo karein? apni seemayen pehchaniye. har insan ke paas ek jaisa samay nahin hota, na hi ek jaisi taakat hoti hai. is vajah se aapke paas bhi shaayad apne maata-pita ki dekhbhal ke liye bahot zyada samay aur taakat na ho. agar aapko lage ki unki dekhbhal karne se aap bahot past ho jaate hain, to parivar ke doosre sadasyon ki madad leejiye. aap chahein to buzurg ya beemar logon ki dekhbhal karnevale peshevar logon se sampark kar sakte hain.
apna khyal rakhiye.
bible mein likha hai: “koi bhi aadmi apne shareer se nafrat nahin karta, balki woh use khilata-pilata hai aur anmol samajhta hai.”—ifisiyon 5:29.
is siddhaant ko kaise laagoo karein? bhale hi aapke paas apne maata-pita ki dekhbhal karne ki zimmedari hai, lekin aapko apni zarooraton ka bhi khyal rakhna chahiye. agar aap shaadishuda hain to apne parivar ki zarooraton ka bhi khyal rakhiye. aapko aaram karna chahiye aur achhi nind bhi leni chahiye. (sabhopdeshak 4:6) jab bhi mumkin ho to apne liye thoda samay nikaliye. yah sab karne se aap shaareerik aur maansik taur par past nahin honge aur apne maata-pita ki dekhbhal achhi tarah kar paayenge.
kya bible koi khaas hidayat deti hai ki maata-pita ki dekhbhal kis tarah ki jaani chahiye?
maata-pita ki dekhbhal kis tarah ki jaani chahiye, is baare mein bible saaf-saaf nahin batati. aam taur par log apne maata-pita ko apne saath rakhte hain aur unki dekhbhal karte hain. lekin kuch parivaron mein aise haalaat khade ho jaate hain ki bachche apne buzurg maata-pita ko aisi jagah rakhne ka faisla karte hain jahaan unki achhe se dekhbhal ki jaa sakti hai. agar aapke saamne aise haalaat khade hote hain to poora parivar milkar faisla kar sakta hai ki sabke liye kya theek rahega.—galatiyon 6:4, 5.
^ para. 6 bible par tippni denevali ek kitab is vaakya ke baare mein kehti hai, “aisa lagta hai ki yoosuf [mariyam ka pati] ko mare huye kaafi saal ho chuke the aur yeeshu hi mariyam ki dekhbhal kar raha tha. ab jabki woh marnevala tha, to uski maa ki dekhbhal kaun karta? . . . yahaan maseeh ne jo kiya usse bachchon ko yah seekh milti hai ki unhein apne buzurg maata-pita ki dekhbhal karni chahiye.”—the n.i.v. matthew henry commentary in one volume, page 428-429.