kya ek se zyada shaadi karna sahi hai?
shastra se javab
kuch samay ke liye, parmeshvar ne yah ijazat di thi ki ek aadmi ek se zyada patni rakh sakta hai. (utpatti 4:19; 16:1-4; 29:18-29) lekin ek se zyada patni rakhne ka chalan, parmeshvar ne shuroo nahin kiya tha. usne aadam ko sirf ek hi patni di thi.
shuroo se parmeshvar ka maksad tha ki har aadmi ki ek hi patni ho aur usne yeeshu maseeh ke zariye is star ko dobara laagoo karvaya. (yuhanna 8:28) ek baar jab kisi ne yeeshu se shaadi ke baare mein saval kiya, to usne javab diya: “jisne unki srishti ki thi, usne shurooat se hi unhein nar aur naari banaya tha aur kaha tha, ‘is vajah se purush apne pita aur apni maa ko chhod dega aur apni patni se juda rahega, aur woh donon ek tan honge.’”—matti 19:4, 5.
kuch samay baad, yeeshu ke ek chele ne parmeshvar ki prerna se likha: “har aadmi ki apni patni ho aur har stri ka apna pati ho.” (1 kurinthiyon 7:2) bible yah bhi kehti hai ki agar kisi shaadi-shuda bhaai ko maseehi mandli mein khaas zimmedari di jaani ho, to use “ek hi patni ka pati” hona chahiye.—1 timuthiyus 3:2, 12.