kya jaanvar marne ke baad swarg jaate hain?
shastra se javab
pavitra shastra bible sikhati hai ki jitne bhi jeev dharti par paaye jaate hain, unmein se insan hi swarg jaayenge. aur woh bhi sirf kuch hi insan. (prakashitvakya 14:1, 3) vahaan woh yeeshu ke saath raja aur yaajak ke taur par raaj kareinge. (luka 22:28-30; prakashitvakya 5:9, 10) lekin jo insan mar chuke hain unmein se zyadatar insanon ko is dharti par rehne ke liye zinda kiya jaayega.—bhajan 37:11, 29.
bible mein kahin nahin bataya gaya hai ki paaltoo jaanvar ya kutte swarg jaayenge. jaanvar woh kaam nahin kar sakte jisse woh “swarg ke bulave” ke liye chune jaayen. (ibraniyon 3:1) woh kaam hain, parmeshvar ka gyaan lena, us par vishvas karna aur uski aagya maanna. (matti 19:17; yuhanna 3:16; 17:3) sirf insanon ko is maksad se banaya gaya hai ki woh hamesha ji sakein.—utpatti 2:16, 17; 3:22, 23.
swarg jaane ke liye dharti ke praniyon ko mare huon mein se zinda kiya jaana zaroori hai. (1 kurinthiyon 15:42) bible mein aise kai byaure darz hain jab mare huon ko zinda kiya gaya tha. (1 raja 17:17-24; 2 raja 4:32-37; 13:20, 21; luka 7:11-15; 8:41, 42, 49-56; yuhanna 11:38-44; preshiton 9:36-42; 20:7-12) in byauron mein jinhein zinda kiya gaya, woh sabhi insan the na ki jaanvar.
marne par jaanvaron ka kya hota hai?
bible ke hisab se jaanvar aur insan donon ka jeevan parmeshvar ki nazar mein ek saman hai. jaise ek mauke par jab kar dene ki baat aayi, to parmeshvar ne insanon aur jaanvar donon ke maamle mein barabar kar ki maang ki. (ginti 31:28) bible sikhati hai ki insan aur jaanvar do cheezon se milkar bane hain, “zameen ki mitti” aur “jeevan ki saans.” (utpatti 2:7) insan ho ya jaanvar, marne ke baad donon mitti mein mil jaate hain. (sabhopdeshak 3:19, 20) doosre shabdon mein kahein to unka vajood poori tarah mit jaata hai. *
kya jaanvar paap karte hain?
nahin. paap karne ka matlab hai aisi soch aur bhaavnayen rakhna ya aise kaam karna jo parmeshvar ke staron ke khilaf hain. paap karne ke liye ek prani mein achhe-bure ka faisla karne ki kaabileeyat honi chahiye. lekin jaanvaron mein yah kaabileeyat nahin hoti. woh apni chand dinon ki zindagi mein apni sahaj-buddhi ya apne swabhav ke mutabik kaam karte hain. (2 patras 2:12) haalaanki woh koi paap nahin karte fir bhi unki maut hoti hai.
kya jaanvaron ke saath berahmi se pesh aana sahi hoga?
nahin. parmeshvar ne insanon ko jaanvaron par adhikar diya hai. lekin iska yah matlab nahin ki woh unke saath berahmi se pesh aayen. (utpatti 1:28; bhajan 8:6-8) parmeshvar sabhi jaanvaron ki parvah karta hai, fir chahe woh chhoti-si chidiya hi kyon na ho. (yona 4:11; matti 10:29) usne apne upasakon ko aagya di ki woh jaanvaron ke saath achhe se pesh aayen.—nirgaman 23:12; vyavasthavivran 25:4; neetivachan 12:10.
^ para. 4 zyada jaankari ke liye bible hamein kya sikhati hai? kitab ka adhyay 6 dekhiye.