laash ko jalane ke baare mein bible kya kehti hai?
shastra ka javab
laash ko jalane ke baare mein bible mein saaf taur par koi nirdesh nahin diya gaya hai. mare huon ko dafnane ya jalane ke baare mein bible mein koi aagya nahin di gayi hai.
bible mein likha hai ki parmeshvar ke kuch vafadar sevkon ne apne azeezon ki laash ko dafnaya tha. misal ke liye, abraham ne apni patni saara ki maut par use dafnane ki jagah paane ke liye kaafi mehnat ki thi.—utpatti 23:2-20; 49:29-32.
bible mein yah bhi likha hai ki kuch vafadar sevkon ne mare huon ki laashein jala di thi. misal ke liye, jab israel ke raja shaaool aur uske teen bete yuddh mein maare gaye, to unki laashein dushmanon ke ilake mein hi reh gayin aur un laashon ka apman kiya gaya. jab yah baat kuch vafadar israeli yoddhaon ko pata chali, to woh shaaool aur uske beton ki laashein vahaan se le gaye, unhein jala diya aur avsheshon ko dafna diya. (1 shamooel 31:8-13) bible batati hai ki un aadmiyon ki laashein jalakar aur unke avsheshon ko dafnakar unhonne galat nahin kiya.—2 shamooel 2:4-6.
laash ko jalane ke baare mein kuch galat dhaarnayen
galat dhaarna: laash ko jalane se shareer ka apman hota hai.
sachchai: bible batati hai ki jab ek insan mar jaata hai, to woh mitti mein mil jaata hai. (utpatti 3:19) jab ek laash sad jaati hai, to woh mitti mein hi mil jaati hai. laash ko jalane par bhi vahi hota hai, kyonki shareer raakh ban jaata hai. fark itna hai ki jalane se laash jaldi se mitti mein mil jaati hai.
galat dhaarna: bible ke zamane mein sirf un logon ki laashein jalayi jaati thi jinse parmeshvar khush nahin tha.
sachchai: yah sach hai ki kuch vishvasghati logon ki laashein jala di gayi thi. jaise, aakan aur uske parivar ki laashein. (yahoshoo 7:25) lekin sabhi vishvasghati logon ki laashein nahin jalayi jaati thi. (vyavasthavivran 21:22, 23) jaise pehle bataya gaya hai, kuch vafadar logon ki laashein bhi jalayi gayi thi. jaise, raja shaaool ke bete yonatan ki laash.
galat dhaarna: ek vyakti ki laash ko jala dene se parmeshvar use zinda nahin kar paayega.
sachchai: chahe ek insan ki laash jala di jaaye ya dafna di jaaye, chahe uski laash samundar mein doob gayi ho ya use jangli jaanvaron ne khaa liya ho, parmeshvar ko isse koi fark nahin padta. (prakashitvakya 20:13) woh sarvashaktiman hai, isliye woh badi aasani se us insan ke liye ek naya shareer taiyar kar sakta hai.—1 kurinthiyon 15:35, 38.