log kyon marte hain?
shastra se javab
jab hamare kisi azeez ki maut hoti hai, tab khaaskar us vakt hamare man mein saval uthta hai ki log kyon marte hain. bible kehti hai, “maut paida karnevala dank paap hai.”—1 kurinthiyon 15:56.
kyon sabhi log paap karte hain aur marte hain?
pehle insan aadam aur havva ne apni jaan isliye ganvayi kyonki unhonne parmeshvar ke khilaf paap kiya tha. (utpatti 3:17-19) parmeshvar se unki bagavat ka ek hi anjam tha, maut kyonki parmeshvar “jeevan ka sota” hai.—bhajan 36:9; utpatti 2:17.
aadam ki vajah se yah khot yaani paap uske vanshajon mein aa gaya. bible kehti hai, “ek aadmi se paap duniya mein aaya aur paap se maut aayi, aur is tarah maut sab insanon mein fail gayi kyonki sabne paap kiya.” (romiyon 5:12) sabhi log paap karte hain isliye woh marte hain.—romiyon 3:23.
maut ko kaise mitaya jaayega?
parmeshvar ek aise samay ka vaada karta hai jab “woh mrityu ko sada ke liye naash karega.” (yashayah 25:8) iske liye parmeshvar maut ki jad yaani paap ko mita dega. parmeshvar aisa yeeshu maseeh ke zariye karega jo “duniya ka paap door le jaata hai.”—yuhanna 1:29; 1 yuhanna 1:7.