kya vaakai mein “saat mahapap” hote hain?
shastra se javab
bible mein aisi koi soochi nahin di gayi hai jinmein “saat mahapap” ginkar bataye gaye hon. lekin bible yah zaroor sikhati hai ki gambheer paap karte rehne se ek insan ko uddhaar nahin milega. udahran ke liye, naajayaz yaun-sambandh, moortipooja, jaadoo-tona, gusse se bhadakna aur piyakkadpan jaise kaamon ko bible “shareer ke kaam” kehti hai. ismein yah bhi bataya gaya hai ki “jo log aise kaamon mein lage rehte hain woh parmeshvar ke raaj ke vaaris nahin honge.”—galatiyon 5:19-21. *
kya bible mein ‘woh saat baatein’ nahin batayi gayi hain jinse ‘prabhu ghrina karta hai’?
bilkul batayi gayi hain. bible ke vaald-bulke anuvad mein neetivachan 6:16 kehta hai, “prabhu chhe baaton se bair rakhta aur saat baaton se ghrina karta hai.” lekin neetivachan 6:17-19 mein jo soochi di gayi hai usmein saare paap nahin bataye gaye hain. iske bajaye, usmein har tarah ki galat baaton ko mote taur par bataya gaya hai jinmein hamari soch, baatein aur kaam shaamil hain. *
shabd “mahapap” ka kya matlab hai?
bible ke kuch anuvadon mein 1 yuhanna 5:16 mein shabd “mahapap” aaya hai. udahran ke liye, the new american bible mein yah aayat is tarah likhi gayi hai, “paap aisa bhi hota hai jo mahapap hai.” yahaan istemal huye shabd ka anuvad is tarah bhi kiya jaa sakta hai, “aisa paap bhi hai jiska anjam maut hai.” bible mein ek aur tarah ke paap ke baare mein bataya gaya hai ‘jiska anjam maut nahin hota.’ to fir in donon mein kya fark hai?—1 yuhanna 5:16.
bible saaf batati hai ki vaise to har paap ka anjam maut hai, magar yeeshu maseeh ke firauti balidan ke aadhar par hum paap aur maut se bach sakte hain. (romiyon 5:12; 6:23) isliye jis ‘paap ka anjam maut hai’ woh aisa paap hai jo maseeh ke firauti balidan ke aadhar par bhi maaf nahin kiya jaa sakta. jo insan is tarah ka paap karta hai woh itna dheeth ho jaata hai ki woh kabhi apna ravaiya ya chaalchalan badalne ko taiyar nahin hota. is tarah ke paap ke baare mein bible batati hai ki ‘use kabhi maaf nahin kiya jaayega.’—matti 12:31; luka 12:10.
^ para. 1 galatiyon 5:19-21 mein jo soochi di gayi hai usmein 15 gambheer paap ke udahran diye gaye hain. magar usmein saare paap nahin bataye gaye hain kyonki us soochi ke aakhir mein likha hai, “aur aisi hi aur buraiyaan.” isliye logon ko samajh se kaam lena chahiye aur ‘aisi hi aur buraiyon’ ko pehchanna chahiye jo vahaan nahin batayi gayi hain.
^ para. 2 neetivachan 6:16 mein ek ibrani muhavre ka udahran milta hai jismein do sankhyayen di gayi hain. doosri sankhya zor dene ke liye istemal ki jaati thi. aise udahran kai aayton mein milte hain.—ayyoob 5:19; neetivachan 30:15, 18, 21.