kya pavitra shastra talak lene ki ijazat deta hai?
shastra se javab
bible talak lene ki ijazat deti hai. lekin yeeshu ne bataya ki sirf ek hi binah par talak liya jaa sakta hai, woh hai vyabhichar yaani shaadi ke baahar yaun-sambandh rakhna. isliye usne kaha, “jo koi vyabhichar ko chhod kisi aur vajah se apni patni ko talak deta hai, aur kisi doosri se shaadi karta hai, woh shaadi ke baahar yaun-sambandh rakhne ka gunehgar hai.”—matti 19:9.
chhal ya dhokhe se diye talak se parmeshvar sakht nafrat karta hai. jo log chhoti-chhoti baat par apne saathi ko talak dete hain, khaaskar kisi aur se shaadi karne ke irade se, unhein parmeshvar khud saza dega.—malaki 2:13-16; markus 10:9..