is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi antyeshti ke baare mein kya maante hain?

yahova ke sakshi antyeshti ke baare mein kya maante hain?

woh antyeshti ke baare mein vahi maante hain jo bible ke mutabik sahi hai. aage bible ki kuch shikshayen batayi gayi hain aur yahova ke sakshi inhin shikshaon ke mutabik antyeshti kaaryakram rakhte hain.

  • apnon ki maut par maatam manana swabhavik hai. jab yeeshu ke chelon ke parivar mein kisi ki maut hui to unhonne maatam manaya tha. (yuhanna 11:33-35, 38; preshiton 8:2; 9:39) hum bhi apnon ki maut par dukh manate hain. is mauke par sharab nahin peete ya mauj-masti nahin karte. (sabhopdeshak 3:1, 4; 7:1-4) iske bajay, aise dukh ke maahaul mein hum doosron se hamdardi rakhte hain.—romiyon 12:15.

  • mare huye kuch nahin jaante. kuch log maante hain ki mare huye kisi-na-kisi roop mein zinda hain aur jeevit logon ki madad kar sakte hain ya unhein nuksan pahuncha sakte hain. bible ke hisab se yah galat hai. (sabhopdeshak 9:5, 6, 10) log galat dhaarna ki vajah se hi kai rivaz maante hain. jaise, shav ke paas poori raat jaagna, antyeshti bahot dhoom-dhaam se karna, barsi manana, mare huon ke liye balidan chadhana, mare huon se baat karna aur unki pooja karna aur vidhva ya vidhur hone ki rasm nibhana. magar yahova ke sakshi chahe kisi bhi sanskriti ya jaati se hon, woh in rivazon ko nahin maante. hum bible mein likhi yah aagya maante hain, “khud ko unse alag karo aur ashuddh cheez ko chhoona band karo.”—2 kurinthiyon 6:17.

  • mare huon ke liye ek aasha hai. bible sikhati hai ki ek aisa samay aayega jab mare huon ko zinda kiya jaayega. iske baad fir kabhi kisi ki maut nahin hogi. (preshiton 24:15; prakashitvakya 21:4) is aasha ki vajah se sadiyon pehle maseehiyon ko dilasa mila tha. hum bhi vishvas karte hain ki hamare apnon ko zinda kiya jaayega. isliye hum had-se-zyada maatam nahin manate.—1 thisslunikiyon 4:13.

  • bible mein salah di gayi hai ki hamein dikhava nahin karna chahiye. (neetivachan 11:2) hum maante hain ki antyeshti ke dauran “apni cheezon ka dikhava” karna ya yah jatana galat hai ki samaj mein hamara kitna bada rutba hai. (1 yuhanna 2:16) hum bahot dhoom-dhaam se antyeshti kaaryakram nahin rakhte jo zyadatar manoranjan ke liye kiya jaata hai ya yah dikhane ke liye ki logon ke paas kitna paisa hai, unhonne kitna mehanga taaboot banvaya hai aur kitne mehange kapde aur gehne pehne hain.

  • hum doosron se yah nahin kehte ki woh bhi antyeshti ke baare mein vahi maanein jo hum maante hain. hum bible ka yah siddhaant maante hain, “hammein se har koi parmeshvar ko apna hisab dega.” (romiyon 14:12) lekin jab bhi hamein mauka milta hai, hum “komal swabhav aur gehre aadar ke saath” logon ko batate hain ki hum kya maante hain.—1 patras 3:15.

yahova ke sakshiyon ka antyeshti kaaryakram kaisa hota hai?

jagah. agar ek parivar antyeshti kaaryakram rakhvana chahe to woh kahin bhi rakhva sakta hain. apne ghar par, raaj-ghar mein, shamshan-ghaat mein ya kabristan mein.

sabha. jis vyakti ki maut hui hai, uske parivarvalon aur doston ko dilasa dene ke liye ek bhaashan diya jaata hai. usmein bataya jaata hai ki bible mein maut ke baare mein kya bataya gaya hai aur bhavishya mein kaise hamare apnon ko zinda kiya jaayega. (yuhanna 11:25; romiyon 5:12; 2 patras 3:13) ho sake to bhaashan mein yah bhi bataya jaata hai ki jis vyakti ki maut hui hai usmein kaun-kaun se achhe gun the, woh kaise parmeshvar ka vafadar raha aur hum usse kya-kya seekhte hain.—2 shamooel 1:17-27.

uske baad shaayad bible par aadharit ek geet gaaya jaaye. (kulussiyon 3:16) fir aakhir mein prarthna ki jaati hai jisse sabhi ko dilasa milta hai.—filippiyon 4:6, 7.

paisa ya chanda nahin maanga jaata. hum kisi bhi dhaarmik seva ke liye ya apni sabhaon ke liye logon se paisa ya chanda nahin maangte. hum antyeshti kaaryakram ke liye bhi paise ki maang nahin karte.—matti 10:8.

kaun aa sakta hai? jo yahova ke sakshi nahin hain, woh bhi raaj-ghar mein antyeshti ka bhaashan sunne aa sakte hain. hamari doosri sabhaon ki tarah is sabha mein bhi har koi aa sakta hai.

kya sakshi doosre dharmon ke logon ke antyeshti kaaryakram mein jaate hain?

yah har sakshi ka apna faisla hai ki woh aise kisi kaaryakram mein jaayega ya nahin. usne bible se jo seekha hai, uske aadhar par woh faisla karta hai. (1 timuthiyus 1:19) lekin yahova ke sakshi aisi kisi bhi dhaarmik rasm mein shaamil nahin hote jo bible ke siddhaanton ke khilaf hai.—2 kurinthiyon 6:14-17.