kya aap doosre deshon mein jaakar seva karte hain?
ji haan. yahova ke sakshi chahe kahin bhi rahein, unmein parmeshvar ke baare mein sikhane ki gehri lagan hoti hai. doosron ko apne vishvas ke baare mein batana, unki zindagi ka ek aham hissa hai.—matti 28:19, 20.
aisa karne ke liye kuch sakshi doosre deshon mein jaakar seva karte hain. doosri taraf yahi jazba kuch sakshi apne desh mein rehkar dikhate hain. woh apne hi desh mein aisi jagahon par jaate hain, jahaan par logon ko ab tak bible se khushkhabri sunne ka mauka nahin mila hai. kisi bhi haal mein sakshiyon ko yeeshu ki is bhavishyavani ko poora karne mein badi khushi milti hai jismein kaha gaya tha: “tum . . . duniya ke sabse door ke ilakon mein” gavahi doge.—preshiton 1:8.
san 1943 mein ek khaas school ki shurooat hui. usmein sakshiyon ko taaleem the jaati hai ki woh kaise doosre deshon mein jaakar logon ko parmeshvar ke baare mein sikha sakte hain. is school ka naam watchtower bible school of gilead hai aur ab tak kareeb 8,000 sakshi is school se taaleem paa chuke hain.