poori duniya mein kitne yahova ke sakshi hain?
aap yahova ke sakshiyon ki ginti kaise karte hain?
hum sirf un logon ko yahova ke sakshiyon mein ginte hain jo har maheene parmeshvar ke raaj ki khushkhabri sunane ke kaam mein hissa lete hain. (matti 24:14) inmein baptisma paaye sakshiyon ke saath-saath woh log bhi shaamil hain jinka ab tak baptisma nahin hua hai, lekin jo prachar mein hissa lene ke yogya bante hain.
kya sakshi banne ke liye ek vyakti ko paisa daan karna hota hai?
nahin. daan dekar koi bhi vyakti sakshi nahin banta, na hi isse use hamare sanghathan mein koi zimmedari ya kaam milta hai. (preshiton 8:18-20) darasal zyadatar maamlon mein kisi ko pata nahin hota ki kisne kitna daan kiya hai. poori duniya mein ho rahe prachar kaam ko aage badhane ke liye har sakshi apni ichha aur haalaat ke mutabik apna samay, taakat aur saadhan lagata hai.—2 kurinthiyon 9:7.
aap kaise jaante hain ki kitne sakshi prachar kar rahe hain?
har maheene, sakshi apni sthaneeya mandli mein report daalte hain ki unhonne prachar mein kitna kiya hai. woh apni marzee se yah report daalte hain.
fir mandli in report mein diye aankde jodti hai aur unki kul ginti apne desh ke shaakha daftar ko bhejti hai. har shaakha daftar apne desh ya ilake ki kul sankhya hamare vishva mukhyalay ko bhejta hai.
har seva saal * ke aakhir mein hisab lagaya jaata hai ki us saal ke dauran har desh mein sakshiyon ka shikhar kitna tha. fir in aankdon ko jodkar pata lagaya jaata hai ki poori duniya mein kitne sakshi hain. yahova ke sakshiyon ki saalana kitab mein har desh ke baare mein baareek report saath hi, prachar mein mile anubhav diye jaate hain. inhein padhkar hamara hausla badhta hai, theek jaise achhi report milne par shuroo ke maseehiyon ka hausla badha tha.—preshiton 2:41; 4:4; 15:3.
kya aap un logon ko ginte hain, jo aapke sanghathan ke saath sangati karte hain lekin prachar nahin karte?
haalaanki hum in logon ko sakshiyon mein nahin ginte lekin apni mandliyon mein inka swagat zaroor karte hain. inmein se zyadatar log har saal maseeh ki maut ke smarak mein haazir hote hain. is sabha ki kul haaziri se agar hum sakshiyon ki ginti alag karein, to hamein pata chal jaayega ki in logon ki ginti lagbhag kitni hai. san 2022 mein smarak ki haaziri 1,97,21,672 thi.
bahot-se log hamari sabhaon mein nahin aate lekin bible ka adhyan karte hain, jiske liye hum unse koi paise nahin lete. san 2022 mein hamne har maheene ausatan 56,66,996 bible adhyan chalaye. inmein se kuch adhyan aise the, jinmein ek nahin balki kai log baithte hain.
sarkar ke record mein sakshiyon ki ginti aapki batayi ginti se zyada kyon hai?
sarkar ki taraf se survey lenevale vibhag aam taur par logon se poochhte hain ki woh kis dhaarmik samooh se hain aur ise record karte hain. misal ke liye, amreeka janganna vibhag batata hai ki “woh yah pata karna chahte hain ki survey mein hissa lenevale khud ko kis dhaarmik samuday ka maante hain.” vibhag yah bhi batata hai ki “logon ne apni jo raay the, uske aadhar par hi” ye aankde diye gaye hain. lekin hum sirf un logon ko yahova ke sakshiyon mein ginte hain jo prachar karte hain aur prachar ki report daalte hain, un logon ko nahin jo sirf khud ko sakshi kehte hain.
^ para. 5 seva saal 1 sitambar se lekar agle saal ke 31 agast tak hota hai. misal ke liye, 2015 ka seva saal 1 sitambar, 2014 se lekar 31 agast, 2015 tak tha.