kya aap yahova ke sakshiyon ke yahaan paadri varg hota hai jise tankhvah di jaati hai?
yahova ke sakshi, pehli sadi ke maseehiyon ke namoone par chalte hain, isliye unmein paadri varg aur aam janta varg jaisa bhedbhav nahin hota. baptisma paaye sabhi sakshi parmeshvar ke thehraye sevak hain aur prachar aur sikhane ke kaam mein hissa lete hain. sakshi alag-alag mandliyon mein sangathit hain aur har mandli kareeb 100 logon se milkar bani hoti hai. har mandli mein bible ki gehri samajh rakhnevale tajurbekar purush ‘pracheen’ ke taur par seva karte hain. (titus 1:5) woh yah seva bina kisi tankhvah ke karte hain.