kya aap yahova ke sakshi kisi amreeki panth se hain?
hamara vishva mukhyalay sanyukt raajya amreeka mein hai. lekin hum kisi amreeki panth se nahin hain aur iski kuch vajah hain:
kuch kehte hain ki panth koi chhota-mota samooh hota hai jo kisi jaane-maane dharm se tootkar alag ho jaata hai. yahova ke sakshi kisi dharm se tootkar alag nahin huye hain. iske bajay, hum maante hain ki pehli sadi ke maseehi jin shikshaon aur aadarshon par chalte the, hamne un par dobara chalna shuroo kiya hai.
yahova ke sakshi 230 se bhi zyada deshon aur ilakon mein zor-shor se prachar kar rahe hain. hum chahe jahaan bhi rehte hon, hum sabse badhkar yahova parmeshvar aur yeeshu maseeh ke vafadar rehte hain, na ki amreeki sarkar ya kisi aur sarkar ke.—yuhanna 15:19; 17:15, 16.
hamari sabhi shikshayen bible par aadharit hain, na ki amreeka ke kisi dharm-guru ki kitabon par.—1 thisslunikiyon 2:13.
hum kisi insani neta ke peechhe nahin, yeeshu maseeh ke peechhe chalte hain.—matti 23:8-10.