kya kudartee aafton ke vakt yahova ke sakshi doosron ki madad karte hain?
ji haan, kudratee aafton ke vakt yahova ke sakshi logon ki madad karte hain. bible ki ek kitab galatiyon 6:10 mein likha hai: “hum sabke saath bhalai karein, magar khaaskar unke saath jo vishvas mein hamare bhaai-behen hain.” isliye hum naa sirf sakshiyon ki balki doosron ki bhi madad karte hain. aur sabse badhkar us vakt aayi museebat ki ghadi mein hum unka dukh baantte hain aur bible se unko dilasa dene ki koshish karte hain.—2 kurinthiyon 1:3, 4.
yah hum kaise karte hain
jis ilake mein aafat aati hai, vahaan ki mandliyon ke zimmedar maseehi bhaai apne logon se sampark karne ki koshish karte hain. ye zimmedar bhaai jaanne ki koshish karte hain ki woh kis haal mein hain aur unhein kya madad chahiye. us vakt jitna unke bas mein hota hai, woh karte hain aur saari report vahaan ke shaakha daftar ko bhej dete hain.
agar udhar ke sakshiyon ke liye madad dena mushkil ho raha ho, to yahova ke sakshiyon ka shaasi nikay zaroori cheezen un tak pahunchane ke liye doosre intazam karta hai. aisa karke woh pehli sadi ke maseehiyon ki misal par chalte hain jab unhonne akaal ke vakt ek-doosre ki madad ki thi. (1 kurinthiyon 16:1-4) fir us desh ka shaakha daftar raahat pahunchane ki zimmedari vipatti raahat-samiti (Disaster Relief Committees) ko saunpta hai. doosri jagahon ke sakshi bhi apni marzee se vahaan aakar logon ki har tarah se madad karte hain.—neetivachan 17:17.
kharch kaise uthaya jaata hai
raahat kaam mein jitna kharcha hota hai uska saara paisa us daan se uthaya jaata hai, jo yahova ke sakshi apni ichha se dete hain. (preshiton 11:27-30; 2 kurinthiyon 8:13-15) iske alava jo log is raahat kaam mein haath batate hain woh ise muft mein karte hain. isliye raahat dene ke liye jo paisa rakha jaata hai, usmein se koi hissa raahat-samiti ko ya un logon ko nahin jaata jo us kaam ki dekh-rekh karte hain. jo bhi daan milta hai uska hum bahot soch-samajhkar istemal karte hain.—2 kurinthiyon 8:20.