kya yahova ke sakshi maante hain ki unka dharm hi sachcha dharm hai?
apne dharm ko sachche dil se maannevala har koi yahi sochega ki uska dharm hi sachcha hai aur parmeshvar ko bhaata hai. nahin to, woh us dharm ko maanta hi kyon?
yeeshu maseeh is dhaarna se sahmat nahin tha ki kai dharm ya raaste hain aur sab-ke-sab uddhaar ki or le jaate hain. iske bajay usne kaha: “sankara hai woh faatak aur tang hai woh raasta, jo jeevan ki taraf le jaata hai aur use paanevale thode hain.” (matti 7:14) yahova ke sakshi maante hain ki unhein woh raasta mil gaya hai. varna woh kisi aur dharm ki talash mein rehte.